RSS
Showing posts with label ghazals. Show all posts
Showing posts with label ghazals. Show all posts

May 21, 2010

ghazals

Hatheli samny rkhna,
k sub anso grain usmay,
jo ruk jaega honton pr,
samjh jana k wo hon main,
kabi jo chand ko dekho,
tu tum yu muskra dena,
jo chal jaye hawa thandi,
tu ankhein bund kr lena,
jo jhonka tez ho sub se,
samajh jana k wo hon main,
jab zyada yad awon main,
tu tum ro lena g bhar k,
agar hichki koi aye,
samjh jana k wo hon main,
agar tum bholna chaho,
muje shayed bhula do tum,
magr jab sans lena tum,
samjh jana k wo hon main¤
.............

Har dam tujheChahaHar dam teri yadAyi,
Kya sham kaSanataKya raat ki tanhai,
Guzar chali thiDabay paoonSham-e-Tanhai,
Tera khyal jo ayaTo ankh bhar ayi
.......

Hua jo kuch bhulana chahiyeh tha,
Usay ab lout ana chahiyeh tha,
Yeh sara bojh mere sar pay Q hai,
Usay b thora ghum uthana chahiyeh tha,
Itni khamosi kia wo koi phool hy,
Me bola phool to us k paon ki dhool hy,
Nadi boli kia wo pani ki tarha bhehta hy,
Me bola wo to mere dil me rehta hy,
Pari boli kia wo jadu ki chari hy,
Me bola us ki hr Ada jadu bhari hy,
Badal bola wo mujse b ziada naram hy,
Me bola are pagal wo to mera "SANAM" he.
wm

Feb 16, 2010

ghazals

Kabhi Yaad Aao to is Tarah,
Kabhi Gungunao to is Tarah,
Mera Dard Phir se Ghazal Bane,
Kabi Dil Dukhao to is Tarah,
Meri Dharknen b Larz uthen,
Kabi Bhool Jao to is Tarah,
Na Sisak Saken na Bilak Saken,
Kabi Chor Jao to is Tarah,
Na Ujar Saken na Sanwr Saken,
"kAbHi YaAd aAo tO iS tAraH"
........

Kabi Andhere Kabi Ujaale
Mohabton k Safar nirale
Ajab sahara bana hy wo b
Kabi gira de Kabi Utha le
Wohi Samandar wohi kinara
Kabi Dabo de Kabi Bacha le!
Me Apne zakhmon ko c to longa
Wo Apna khanjar to Aazma le
Me lamha lamha pighal raha ho
Usey kaho ab nazar hata le..!
.........

Kahen tum apni qismat ka likha tabdeel kr lety,
To shaayad hum bhi apna rasta tabdeel kr lety,
Agr hum waaqaie kam hosla hoty mohabat mein,
Marz barhny se pehly dawa tabdeel kr lety,
Tumhari tarha jeeny ka hunar aata to phir shaayad,
Makaan apna wohi rakhty, Lekin pata tabdeel kr lety.....!
..........

Khauf_e_Dunya se MERE PAASNA Aane Waale
Jaan Rkhte Hain Hatheli Pe Nibhane Waale
Meri Ruswai Mein Ghairon Ka Koi Dosh Nhi
Is Mein Shamil Hain Mere Apne Chahne Waale
Kitna Naadaan Hoon Is Aas Pe Zinda Hoon
Laut Aaein Ge Mujhe Chhor k Jaane Waale
Ab Kahon Tujh ko Main "IbrAhim"
To Bhla Kaise KahonKar k Ehsaan Sar_e_Aam Jataane Waale
Ab To Rsta Hay Na Manzil Hay Na Shanaasa Koi ?
Shukriya ! Shukriya !Is Mor Par Laane Waale !!
.......

Khuda insaan k saath hay or log ussay aasman pe talash kartay hain
Jannat maa k qadmon taley hay or log ussay doosri nekyon main talaash kartay hain
Itminaan-e-Qalb zikar main hay or log issay fikr main talash kartay hain
Sehat rohanyat k irteqa main hay or log issay dawaon main dhoondtay hain
Naymat Khuda k shukr main hay or log issay hirs main talash kartay hain
Rizq sakhawat main hay or log issay mehnat main talash kartay hain.
.........

Kisi Ke Sath Guzrey Pal Barey Rangeen Hotey Hen
Mohabat k ye Roz-o-shab barey haseen hotey hain
ishq karna ha to pehley bikharney ka hunar sikho
Ishq main haadsey Aksar barey sangeen hotey hain..
Kabhi fursat main Aa k dekh is viraan sey ghar main..
Kisi ki yaad main hum b bary ghamgeen hoty hain.
.........

Kutthan safar hai Mohabton ka,
kharab raste hain soch lena
Wo chorr jaate hain ik qadam par,
jo saath chalte hain soch lena
Jo nibah tum se na ho saky to,
na sang rehne ki baat krna
K ishq walon ki rah guzar mein,
CHANNAB aaty hain soch lena:
.......

cute.wasi@live.com and @yahoo.com

ghazals

Is imtehan mai hun,
dil ka hisab kis ko doon,,?
Hisab-e-ishq pe likhi kitab kis ko dun,,?
Har 1 shakhs ko mujh se bohat mohabbat hay,
Sawal ye hay wafa ka jawab kis ko dun,,?
Mera khaloos, mohabbat, wafa, hay sab k liye,
Sochta hun k lubb-e-lubab kis ko dun,,?
Mere liye to sabhi log 1 jaisey hain,
Sakoon kis ko dun mai iztirab kis ko dun,,?
Hujoom-e-husn k melay mai sochta hun main,
K apney haath mai thama gulab kis ko dun,,??
.........

Is kadar Qeemti to na tha mera Chain-o-Sukoon ,
Loot kar lay gaye kisi Anmol Khazanay ki tarha...
.........

Jise ehsas kehte hain,
Wohi to pyar hota hai,
Tumhara dil jo dukhta hai,
Hamein bi dard hota hai,
Tumhari aankh ka aanso,
humein bechain rakhta hai,
Hamare dard k dermyan,
Tumhara lams hota hai,
Tumiain milti hain jab khushiyan,
Hamare lab bi hanste hain,
Tumhain derpesh ho masla,
Dua k hath uthatey hain,
Khuda ko yaad karte hain,
Yehi fariyad karte hain,
Tumhain abaad wo rakhe,
Hamesha shad wo rakhe,
Hamara sath wo rakhe.
..........

Jo Chla Gya Mujhe Chor K...
Main Kabhi Na UsKo Bhula Saka...
Wohi Dorian Wohi Fasle...
Main Kabhi Na InKo Mita Ska...
Kya Usey B Mujh Se Pyar Tha...
Ya Tabassum Us ka shaur ta...
Wo koi ajib sawal ta..
Jo meri samaj main na aa saka...
Meri zindagi ka sakun ta wo...
Mery dil ka ek junon ta...
Meri bandagi mera piyar ta...
Ye bat main na bata saka...
Ye sochta ta main raat bhar...
Jo kbi milyga rah per...
To karunga us se shikayatain...
Wo mila to lab na hila saka.....

Feb 15, 2010

ghazals

Kitni Badal Chuki Hy Rut Jazby B Wo Nai Rahe,
Dil Pe Tere Firaq K Sadme B Nai Rahy,
Mehfil Shab Mein Guftgu ab K Hui To ye Khula,
Baten B Wo Nai Rahen Lehje B Wo Nai Rahy,
Huliye Badal K Rakh Diye Jesy Shb'e'firaq Ne,
Ankhen B Wo Nai Rahen Chehre B Wo Nai Rahy,
Es Ka Maye Jamal B Goya Gharub Ho Chala,
Apne Wafood'e' shoq K Chrche B wo Nai Rahy,
Ye B Hua K Tera Baad Shoq'e'sfar Nai Raha,
Jin Pe Biche Huy The Dil Rasty B Wo Nai Rahy.
.........

Kuch iski khabar bhi hai tujhko
Wo sooz-e- jahanum kya hoga
Jis aag ka indhan insan hai
Us aag ka aalam kya hoga
Yeh Jism gawahi khud dega
Har hisa badan ka boley ga
Kamosh zuban ho jayegi
Us waqt ka aalam kya hoga
Kuch iski khabar bhi hai tujhko
Wo sooz-e- jahanum kya hoga.
........

Kuch unki adaon ka talabgar bohat tha,
Kuch apni anaon se mujhe pyar bohat tha.
Socha tha k paa lunga use ek na ek din,
Pehli si mohabat pe aitbar bohat tha.
Manzil kese naseeb ho tere diyar ki,
Rasta jo tere ghar ka purisraar bohat tha.
Us ne kuch is andaz men izhar kiya tha,
Iqrar kam, iqrar men inkar bohat tha.
Kashi ko faqat pyar men ruswaiyan mileen,
Shayad k mohabat ka gunhegar bohat tha.....
........

Kya likhu..?
K ab to thak chuka hun likh likh kr..
Dard jo b sahay hain wo likhu..?
Ya Dard dene wale ka hosla likhun..?
Ya apni bebasi ka falsafa likhun.?
Ya us k door honay tak ka faasla likhun..?
Aakhir kya likhun..?
Ab to dard itna honay laga hai Malik....
k dil phata jata hai..
Kion hota hai dard mujhe?
kya wo haadsa likhun..?
Ya kuch na likhun aur tor dun Qalam..?
Ya ye likhun k ab mujhe marne ka shoq hai..?
Leki maroon b to kis k liye..?
Kon hai jo mujhe kaandha dega..?
Kon hai jo mujhe yaad krega..?
Wo?? Jo jeete jee baat nahi krte..?
Wo.? Jo bhule se b yaad nahi krte..?
Wo kya roienge meri miyyat par..?
Jo mere zinda hone ka ehsas tak nahi krte..?
Ab aur kya likhun k ab to Qalam b 7 nahi dega..!
Chalo aisa krta hun k ab kuch nahi likhta..
Qalam ko tor deta hun..!Me likhna chor deta hun..!
Wo kya choray ga mujheMalik....?
Me khud uski dunia chor deta hun.
...........

ghazals

Khud ba_khud chor gay hen tu chalo thek hua,
Itne ehbab kahan hmse sanbhale jate,
Hm bi Ghalib ki trha kocha-e-jana se Faraz,
Na nikalte tu ksi roz nikale jate..
.......

Khuwab bhi shayad kaanch se kamzor hote hain,,..
Har roz bikhar jaate hain faqat ek aankh ke khulne se.
......

Kis qadar ajeran hy yeh silsila-e-ishq bhi faraz.
Muhabbat to qayem rehti hay magar insaan badal jata hay...
///.......

Kisi ki aas bun kar phir usay tanha nahin kartay
Bhala kuch bhi parey karna magar aisa nahin kartay
Mohabbat me shikayat ka kahan dastoor hota hay
Gila kar kay mohabbat ko kabhi rusva nahin kartay
Wafaen to haqiqat me bari anmol hoti hain
Kabhi apni wafaon ka sila manga nahin kartay.?

Feb 12, 2010

ghazals

Aankh se door na ho dil se utar jaayega
Waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaayega,
Itna maayus na ho Khilvat-e-Gham se apne,
Tu kabhi Khud ko bhi dekhega to Dar jaayega,
Tum sar e raah-e-wafaa dekhte rah jaaoge,
Aur wo baam-e-rafaaqat se utar jayega,
Zindagi teri aata hai to ye jaane waala,
Teri bakhsheesh teri dehleez pe dhar jayega,
Doobte doobte kashti to ochalaa de doon,
Main nahi koi to saahil pe utar jaayega,
Zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat ka,
Zaalim ab ke bhi na royega to mar jayega.
....

Jabr-o-sitam hans k seh lye dil pr
tumhary dil ko dukhany ka hosla na hua
lutey kuch aisy mohabat ma hm k phr
kisi ko dil ma bsany ka hosla na hua...
.....

Ajab dastoor zubaaN baNdi hY kaisa teri mehfil meiN
YahaN tou baat kerNay ko tarasti hY zubaaN meri
........

Andaze biyan se zahir he tere dil ka kuhloos, ...
Teri tehreer ka her hr lafz teri muhabbt ka pata deta he...!!
........

Ankho sy Q ansu jalak jate hain,
Tanhaiyon me Q ghum yaad aate hain!
Aansu se pooch kar koi ye bata de hamein,
Door rehne wale aksar Q yad atey hain.
..........

Ao udas raton me,
Dil ki basti me aa kdekho,
Har ek rasta,Har ek daricha,
Tumhari chaht ka muntazir hy,
Falak se takta hy chand tum ko,
Sitare tum ko bula rahe hain,
Tumhari amad k muntazir hain,
Mujhe yaqin hyTumhare dil me,
Gaye dino k khayal hain kuch,
Nae safr k malal hain kuch,
Nai ruton k sawal hain kuch,
AGARYe sach hy to merimano,
Purane raston pe loat ao,
Purani basti me koi ab tak,
Tumhari amad ka muntazir hy!
.........

Ashk Girty hain to har saans PIGAL jaati hai,
De k ek Dard Naya har Sham DHAL jaati hai,
Tujh ko seene se laga kar mily jannat ka Sakun,
Tujh se Bichrun to meri Jaan NIKAL jaati hai,
Ishq kch aisy mitaa'ta hai NISHAN-E-HASTI,
Jaisy k Raat ujale ko NIGAL jati hai,
Tu agr Dil pe mry hath hi Rakh De,
Toti sans bhi Kch dair SAMBHAL jati hai,
Zakham bharta hi nahi teri JUDAI ka,
or Phir teri YAAD Naya Dard UGAL jati he.
........

Dil-e nadan ko smjhao "MOHBBAT" zakhm deti hay
Tum apni zid se baaz aao "MOHBBAT" zakhm dety hay
"MOHBBAT" ka safr Aaghaz krne pr tumhe hum ne
kaha tha nak ruk jao"MOHBBAT"zakhm deti hay
Usy shidat se chaha hay tu ye b zehan mian rkho
k barh jay agr had se"MOHBBAT"zakhm dety hai,
......

Do ghariyan ruk ja takdeeray,
Mainu lagiyan torr nibha lain day,
Aaj mukday huye sawaan layee
Do dil dey bol suna lain day
Ohnay saari hayati azmaya aey
Aaj menu yaar aazma lain day
Main jaan hawalay kr day saan
Is jaan da malik aa lain day . . .
..........

Ghalib vs Iqbal
Zahid sharab peeny dy masjid me beth kr....
Ya wo jaga bata jahan pr Khuda nahi....

(Ghalib)
Masjid khuda ka ghar hy peeny ki jaga nhe,
Kafir k dil me ja wahan pr khuda nhe...(Iqbal)
..

Ek Kuhwab sarhany rakh do na,,
Aj muj pr inayt kr do na,,
Zara chupkay se khamoshi se,,
Izhar e muhabt kr do na,,
khud ko kr ke dewana sa,,
Mera pyar amar tum ker do na,,
Me pyas me dooba sehra hun,,
Tum mujh ko sumandar ker do na,,
Me yun he phirta hu dar dar,,
Tum khud ko Manzil kr do na,,
Meri ghazlen adhori hain ab tak,,
Tum in ko mukamal kr do na,,
koi kuhwab sarhany rakh do na,,
Tum mujh pe inayat kr do na..!
........

Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay,
Hum apnay buzargon ka zamana nahin bhoolay !
Tum aankhon ki barsaat bachayay huey rakhna,
Kuch log abhi aag lagana nahin bhoolay !
Yeh baat alag haath kalam ho gayey apnay,
Hum aap ki tasveer banana nahin bhoolay !
Ik umar huee main to hansi bhool chuka hoon,
Tum ab bhi meray dil ko dukhana nahin bhoolay !
......

ghazals

Musafton Main Kabhi Yoon Bhi Moatbar Thehroon,:
K Do Qadam Hi Sahi Us Ka Hamsafar Thehroon..
Tumhi Batao Kis Tarah Ye Mumkin Hy,:
Wo Mere Shehar Main Aaye Or Men Be-Khabar Thehroon..
Teri Talash Main Ab Kuch Es Tarah Nikloon,:
K Dasht Dasht Phiroon Or Darbadar Thehroon..
Najane Kab Wo Dar-e-Jaan Pe Aa K Dastak De,:
Esi Umeed Pe Hr Waqt Apne Ghar Thehroon.

.........

Na jany kon si bat ka gila krtey hain wo ,
Hum to apny naseeb ki khushian b bant daity hain...
.........

Nahin fursat use nazren milane ke liye
Wo nazren chura leta hai hum ko jalane ke liye
Wo roth jane ke bahane talaash karta hai
Apne usol torne prte hain use manane ke liye
Wo hamen bhol gaya hai logon se suna hai hum ne
Magr wo khwabön main ata hai hum ko rolane ke liye
Hum marne ko tayar hain is shart pr "faraz"
Ke wo aaega qabr pr muskurane ke liye....?
..........

Nam hain palken teri ay moj-e-saba rat k sath,
Kya tujhe b koi yaad ata he barsat k sath,
"Unko kho kr bi rahon khalwat-e-jan mein "Unki",
Jeet paei he muhabat ne ajab maat ke sath.
......

Nigaah-e-yar pe palkon ki agar lagaam na ho..
Badan main door tak zindgi ka naam na ho..!
Wo be-naqaab jo phirta hai gali koochon main..
To kaise shehar k logon main Qatl-e- aam na ho..!
Mujhe yaqeen hai k dunya main dard barh jain..
Agar ye peenay, pilanay ka ehtmaam na ho..!
Bitha k samne bas dekhta rahon tujh ko..
Tere siwa mujhe dunya ka koi kaam na ho..!
Jo uss ko dekh le 'mehtaab' kabi aik nazar..
To Mere shehar ki galyon main kabi sham na ho.
.........

Nigahon k tasaadom sey,
ajab taqrar karti hay,
Yaqin qamil nahi lekin,
guman hay pyar karti hay.
Laraz jata hoon main yeh soch k,
kafir naa ho jaon,
Tabiyat uss ki pooja k liyey,
bra israar karti hay.
Ussay malom hai shayad,
mera dil hai nishaney per,
Labon sey kuch nahi kehti,
nazar sey waar karti hay.
Main us sey pochta hoon khuwab main,
mujh sey mohbat hai!!???
Phir aankhain khool daita hoon,
wo jab izhar karti hai..
.........

Apni haar main kitna sakoon tha FARAZ......
Us shakhs ne jub galey lagaya jeetne ke baad..

......

Raat ki gehri khamoshi mein,
chupkay sey.....
Dhemey sey
sargoshi amein....
Koi mujh se bola....
Suno...!
tum wohi ho na,
jo raat hotey hi,
meri aankhon mein utar aati ho,
meri aankhon main jugnoo ki tarah roshan ho jati ho,
ik roshan taray ki tarah meri neendo mein utar aati ho
tum wohi ho na?
Meinin apni pyas bhula doo,
"MERE PAS TU AO "
Kay tujhe pyar karna sikha doo..
.....

Feb 9, 2010

ghazals

Suno !Kesy kahon tmko
Tumhary bin adhoray hein
Na koi piyas hy baqi
Na koi dard uthta hy
Han
Mgr EHSAS baqi hy k
Tumhary bin adhuray hein
Koi aisa lfz hota jo
Zuban sy hm ada krty
Tmhary dil py ja girta
Dukh sy kaamp uthti rooh
Trap k tum bhe ye kehtay¤
Tumhary Bin Adhury hein¤
.........

Shahr-e-fana hoon tere kis kaam ka hun,
Ek bujhta sa dia hun tare kis kaam ka hoon,
Tu rafaqat k liye aur kisi ko chun le,
Main to khud aabla pa hun tere kis kam ka hun,
Tu bhi auro ke trah mujh se kinara kr le,
Sari dunia se bura hon tery kis kam ka hoon.
.......

Na itna mere Qareeb aa!
K me Dur tmse na ja sakun!
Na itna mujhse Pyar kr!
K me chah kr b na Bhula sakun!
Mere Hosh Hawas na yun ura!
K me Hosh me phr na aa sakun!
Mere Dil pe yun na Naqsh ho!
K Bacha sakun na Mita sakun!
Meri Dharkano me na Dharak yun!
K me Dharkanen na Sula sakun.
...........

Mumkin ha chashm-e-num ko sitara na kar sako
Mumkin ha tum b koi ishara na kar sako
Mumkin ha mery bgair b bita lo ye zindagi
Mumkin ha apny sath b guzara na kar sako
Mumkin ha pyar de k aata kardo zindagi
Mumkin hai ye kam dobara na kar sako
Mumkin ha mera hukm b tumko qabol ho
Mumkin ha iltgja b gavara na kar sako
Mumkin ha 2 qadam pe bdal jao rasta
Mumkin ha umar bhar kinara na kar sako.Wa§¡M
.........

Meri taqdeer se pooch meri kismat ka feisla,
Meri muskrahat pe na ja mera dard talash kar,
Aankhon se pooch meri intezar ki had,
Itminan pe na ja meray sabr ko talash kar,
Meray doston se pooch meri dosti ka aalam,
Surat pe na ja meri seerat talash kar,
Jo mil jaein tum ko meri baton k jawabat,
To phr tu zra sa kaam kar,
MUJE KHUD MAIN TALASH KAR......
MUJE KHUD MAIN TALASH KAR!Wa§¡M
.......

Kisi roz sham k waqt,
Suraj k aram k waqt,
Mil jaye sath tera,
Hath mein le k hath tera,
Door kahin tanhai mein,
Dunia se judai mein,
Apne sang bithaon tuje,
Dil ka haal sunaon tuje,
Teri izzat ihteram karoon,
Tere hath ki lakeeron mein,
Talash apna naam kron,
Aao ik irada kren,
Phir milne ka wada kren,
kisi roz sham k waqt .
Suraj k aram k waqt.
.....

Kisi ki Aas ban ker phir ussay tanha nahi kerna
Bhale kuch b pare kerna magr aisa nahi kerna
Na ho aisa k Yaadein rooh ka sartaan ban jayen
Kabi had se b ziada tum usay socha nahi karna
Muhabbat main shikayat ka kahan dastor hota hai
Gila ker k Muhabbat ko kabi ruswa nahi kerna
Wafayein darhaqiqat bepana anmol hoti hain
kabi apni wafaon ka sila manga nhi krna
Na ho aisa k wo apni manzil ka nisha Kho dy
kisi ka sath rastay mein kbi chora nhi krna.
.......

ghazals7

ChålØ måin måån letå hÖÖn,
yèh Dünyå jhØÖt kehti hy..
Tümhe hüm$e nåhi ÜlfÄt..
çhålØ måin maan letà hÖØñ,
Tümhåri beqåråri ki,
wåjå küçh aür he hØgi..
ÑigÄheñ müjh$e milte he,
tümhåre Mü$küråñe kå,
$åbåb kÜçh äür he hOgå!
Ji$åy km~fehm lÖgØñ ne,
MÖhåbbåt Ñååm DE Dålå!
Mågår Itnå båtå dÖ tüm,
biçhharte waqt JÄÑ~e~JÄÄÑ.!
Pålåt kår dekh k hümkÖ,
TÜmhåri jhèél ç ÄÄnkhen,
Chhàlàkti jà ràhi thein, kyüñ?
Hàmåin Tårpå råhi theiñ, kyün..
........

Wo Jisey Bujhey Charaghon Ka Duwaan Kehtey hain
Hum Usey Fasl-e-Barhaan Ka Samaa'n Kehtey hain
Aatish-e-Shoq Mai Jal Jaatey hain Phoolon Ki Trah
Baat Dil Ki Tere Dewaaney Kahan Kehtey hai
Lala-o-Gul Ko Samajhtey hain Tere Aariz-o-Lab
Chaandni Ko Teri Aankhon Ki Zubaan Kehtey hain
Sochta hoon Tere Qadmon Ke Nishaan Hi to Nahi
Aaj Tak Log Jisey KehKaShaan Kehtey hain
Jab Bhi Jaltey hain Dil-e-Zaar Mein Zakhmon Key Charagh
Hum Sitaaron Sey Hadees-e-Hijraan Kehtey hain
Mere Seenay Main Dhadakta He Mere Dil Ki Tarah
Aik Saya K Jisey Weham-o-Gumaan Kehtey hain
Jaaney Kis Shehar Main Rehtey hain Wo Chehrey
Hum Jinhain Jannat-e-Dil, Rahaat-e-Jaan Kehtey hain...
............


Hum to Nazuk Hein Bilkul kisi Ehsas ki Tarah,
Tum Na Socho ge Humen to Mar Jayen ge!
Pas Raho ya Dur Itna Khyal Rakhna,
k Tum Na Dekho ge Humen to Mar Jayege,
Titliyon Me or Hum Me Yahi Bat Hai Mushtrik,
Pakar k Jab Choro ge Humen To Mar Jayen ge,
Dil ki Tehni Pe Hi Khila Rehne Do Humari Muhabbat ka Phool,
Jab b Tehni Se Toro ge To Mar Jayen ge.
Kabi Na Milna Hum Se,Moj-e- Darya Ban k,
Mil k Bichro ge Hum Se To Mar Jayen ge.

............

Apno'n Ke Sitam Un Ki Jafa Yad Kreyn Ge
Hum Jurm_E_Muhabbat Ki Saza Yad Kreyn Ge
Mene Dam_E_Rukhsat Jo Kaha Bhool Na Jana
Yeh Sun Kay Rukay Aur Kahan Yaad Kreyn Ge
Ab Siraf Tasalli Ka Takalluf Na Kreyn Woh
Jo Dil Se Bhula Bethay Hoon Kya Yaad Kreyn Ge
Hum Bhool Ky Ab Naam Bhi Lain Gay Na Wafa Ka
Woh Chot Lagi Hai Ky Sada Yad Kreyn Ge
Hum Chashm_E_Tassawur May Saja Lain Gay
Woh AankhainYun Pinay Pilanay Ka Maza Yad Kreyn Ge.
.........

Kyun Mjhse Gurezan ho
Mjhe Saaf BaTa Do!
Agar Juram MOHABBAT ha¡ to
Ph¡r Usk¡ Saza Do!
Ab Dard K¡ Sh¡ddat mE Wo
Tez¡ nah¡ Baq¡..
Laao Ab Khanjar Mujhe
Ek Zakham naya Do!
Rakho na Ko¡ Baat bh¡ TuM D¡L mE Chupa Kar..
Main Rah K¡ Deewar hoon to
Mujhko G¡ra Do!I
is Dour Ka Mayar-e-MOHABBAT bh¡ ha¡ DouLaT..
Thukrao Magar Kuch
Meri Qeemat h¡ Laga Do!
Tarso na Kbh¡ PYAR Ko
Meri Yeh DUA he.Aye Kash...!!!
FaQaT TuM bh¡ MjheYeh¡ DUA Do.!!

ghazals4

Bari tarap hai, meri iltaja k parday mein,
Main tum ko maang raha hoon dua k pardy mein.
Usy b dar hai k ye raaz khull na jaye kahin,
Likhta hai naam mera wo hina k parday mein.
Main us k koochy sy guzra to ye mehsoos hua,
Mujhy pukara hai us ny hawa k pardy mein.
Ajeeb tarz-e-masihayi us ne dikhlayi,
Hayyat meri badal di dua k pardy mein.
Is tarah chehry ko zulf mein chupaya us ny,
k jaise chand chupa ho ghata k pardy mein . .
..........

Chahat HY Lekin HaQiQat Nahi HY
Aaj Kal Kisi Ko Kisi Se Sachi Mohabbat Nahi HY
Jo Tümhein Bhula De Tum Use Bhula Do
Is Se Behtar Koi NASEHAT Nahi HY.
.......

çhàhàt sè mèrè chèhrè pè àjàb nìkhàr ààyà he,
Dòr hùì wèhshàtè sùkòn_ò_qàràr ààyà he,
Rààs ààyà kùch eysè tèrì chàhàt kà mòsàm,
Dìl ka hàr zàkhàm pàr mòsàm_è_ bàrsàt ààyà he,
Åb khìzàà or bàhààr sè kùch gàrz nhì mùjh kò,
Tèrì àdàò ke mòsàm pè pyàr ààyà he,
Ràstè mè phòòl nhì àànkhè bìchàyì hàìn,
Mìlnèy kò mùjh sè wòh yàr ààyà he.
.........

Chahoon To ek Nigah Mein Khreed Loon U$ Ko,,..
Jis Ko Naaz He Bht Ke Bikta Nahi Hoon Mein.....

.........

Chalo tum sath mat dena
Mujhe be-shak bhula dena
Naye khuwab saja lena
Naye rishtey bana lena
Bhula dena sabhi waadey
Sabhi qasmen sabhi Naatay
Jaana.!Tumhen ijazat he ..
Jo diL chahe,Wo sab karna
Magar ab tum kisi se bhi..
"ADHURA PYAR" mat Karna..
.........

Dabo De Apni Kashti Ko Kinara Dhondne Waly....
Ye Darya-E-Mohabbat He Yahan Sahil Nahi hota...
..........

'DUNIYA' se kuch ajeeb hein mery dil ke mashghaley,..
'KANTON' ko choomta hoon ta key Phoolon ka dil jaley..
..........

Ek bheegi hui si raat mile
Us raat me tera hath mile
Tere lab se tapkein jo boondein
Unhe mere labon ka sath mile
Kuch tum b behki behki si
Kuch mujpe nasha sa tari ho
Har pal me chhaye madhoshi
Ek aesi raat hamari ho phir tum aao meri baanhon me
Mai pyar kar0n tumhe ji bhar ke
Tum mujse thora sharmao
Sharma ke gale se lag jao
Mai jitna tumko pyar karoon
Tum itni hi betab hojao
Hamein pyar ki kuch lamhat milen
Ek bheegi hui si raat mile..

...........

Ek roz koi to sochy ga
Dewano ki ek Basti me
Ek shaks tha pagl pagl sa
Pr bateyn thek hi kehta tha,
Barish ki trha pur-shor na tha
Sagr ki trha chup rehta tha,
JAN roty rotay kho betha
Dil hanstay hanstay har diya,
Jo nazam likhi bharpor likhi
Jo shair diya shahkar diya,
Kyon jetay jee dargowr hova ?
Kis chah main tan mann war diya ?
Tah dushman kon us pagal ka ?
Kis Dil ne usko maar diya ?.
EK ROZ KOI TO SOCHE GA....
..........

Ghum-o-dukh k ye isharay tum na samjho gay,
Jo din hum nay tumharay bin guzaray tum na samjho gay..
Tumhain kaisay bataein tum hamaray wastay kya ho,
Samandar ki kahani mein kinaray tum na samjho gay..
Bus itna jan lo ek shakhs say hum nay mohobbat ki,
Hmaray tootnay ka khhel pyaray tum na samjho gay..
Hazaron mushkilon say khhel kar bhi jeetnay walay,
Ye aakhir kis jaga per aa k haaray tum na samjho gay..
..........

Feb 8, 2010

ghazals

Abhi Raat k diye jaley hyin,
Abi Taron k karvaan chaley hyin
Abhi Hawa ne Aanchal Lehraya hy,
Abhi chand ne chehra dikhaya hy
Kuch wasal ki baat honey do,
Chalo Aadhi Raat honey do
Is Dil ko beqarar hona hy,
Tab Aankh ne Meri sona hy
Phir Raat chaly gi baat chaly gi,
Phir Yaadon ki Baraat chaly gi
Phir khawab nagar myin basera ho ga,
Phir Subah talak tu Mera ho ga.
..........

Ankhon se kaho khamosh rahain
Ek duje se hum bichar chale
Go aaj se bilkul ujar gae
Ab jeevan ho ga zinda se
Ab yaadain rooz satain ge
Ab saansain ruk ruk ke ayain ge
Ab raat ko dair se soain ge
Ab neend se uth uth roain ge
Per zabt hai ab lazim chanda
Is lamhe ashk bahao mat
Tum dil ko aur jalao mat
Ye zakhm-e-wafa chup chap sahain
Ankhon se kaho khamosh rahain!!!
M
...........

Apni Khushiyan Luta ker Tum pay Qurban Ho Jaoon
Kash Kuch Din Tumharay Sheher mein Mehman Ho Jaoon
Tum Apna Nayab Dil Mujh ko Day Do Aur Phir Mango
Main Mukar Jaaoon Aur Bay-Emaan Ho Jaoon
Tum Mujh pay Sitam Kero Her Kisi ki Tarah
Main Tumhari is Adda per bhi Meharban Ho Jaoon
Tum Meray Paaon k Neechay say Zameen Kheench Lo
Aur Main Tumhara Aasman Ho Jaoon
Tum Mujh say Door Door Bhagtay Phiro
Khuda Koi Mojza Keray Aur Main Tumharay NAAM Ho Jaoon..

............

Apni mohabat pay faqt itna bharosa hai .
Meri wafain usay kisi aur ka honay nahin dein ge.
..........

APNI Zidoon ko samait kabhi dil ko chorrna ho ga..!
Ye aaina kisi pather pe torna ho ga..!
Ye nahi ke hamain torr gaya ha koi..!
Use bhi khud ko bohot dair jorna ho ga..!
Kabhi hamsafer tha jo dilruba..!"MOHSIN"
Khaber na thi usay rastay me chorrna ho ga..!
.M.
.........

Apno ko jab apne kho dete hain,
Tanhaiyon me wo ro dete hain,
Q in palkon pr bithate hain un ko,
Jo LoG in palko ko aksar aansuo se bhigo dete hain.
.......

ghazals

Main usko phir naye khuwabon ka daan de aya,
Zameen bun k usse aasmaan dae aaya,
Khuda k waastay milnay ki raah day mujhko,
Gham-e-firaq ka her imtayhaan dae aaya,
Na ki zara bhi wazahat kisi bhi jazbay ki,
Usse yaqeen tha or main gumaan dae aaya,
Woh chahata tha k ho karobaar-e-ishq wasi.
Main usko dard ki sari dukaan day aaya,
Bara fareeza tha tableegh-e-ishq mere liye,
Main munkeroon ki zameen per azaan dae aaya.....!!
..........

Maine kaha mere lye B dua kya kro
Us ne kaha is ki na fikar kya kro
Me ne kaha mere zehan pe rehta hai bojh sa
Us ne kaha chup k se kahin ro lya kro
Maine kaha tere khwab jaga dete hen
Us ne kaha raaton ko socha na kro
Me ne kaha raaton ko neend nhi aati he
Us ne kaha soney ki koshish to kya kro
Me ne kaha dil me teri yaaden hen
Usne kaha k dil ko samjhaya kro
Me ne kaha tere milne ki umeed hai kya?
Usne kaha qismat pe bharosa kya kro.
............

Maktab-e-Ishq mein pesh aaye "Sawalon" ki tarah,,
Hum pareshan hi rahe apne "Khayalon" ki tarah,,,
Jab b anjaam-e-mohabat ne pukara khud ko,,,
Waqt ne pesh kiya hum ko "Misaalon" ki tarah,,,
Zikr jab ho ga mohabat mein tabaahi ka kahin,,,
Yaad "Hum" aayen ge duniya ko "Hawaalon" ki tarah~
..........

Mein sabi khwab churati teri Aankhon se mgr,
Teri palkon ko khabr'dar na hone deti,
Mein sabi rang churati tere chehre se mgr,
Be'Asar tere lab,o,Rukhsar na hone deti,
Tujse milti teri sanson se mila kr sansein,
Aik B saans Gunehgar na hone deti,
Mein tuje dukh B sunati to latifon ki tra,
Mein tabiyat teri Bezar na hone deti,
Mein girhein kholti sab teri shanasayi ki,
Tujko is tra pur israar na hone deti..

.............

mEra DaRd...

mEri CiGgrAtTe Ki TaRah He

JiSsAy maiN naY....
sAb SaY ..

cHuPa k pIyA He ..
...........


Mera milna koi mushkil nahe ha
Tou jb chahy mjy zanjeer kar le
Koi JadoO nahe chalta mjh par
Muhabat se mjy Taskheer kar le.....
.........

Meray rabt-e-khyalat min kia rakha hai
Mai tu pagal hun mere baat min kia rakha hai
Bandh rakha hai tere yad nay mazi say mujhay
Warna guzray hoay lamhaat min kia rakha hai
To na mil paey tu aur kia Khuda say mangon
Tu alag ho tu mere zaat min kia rakha hai...
..........

Meri Hasrat k Janazay kø uthany wale
Kitne Be Dard hen ye Løg Zamanay wale
Køi Apna hi Nhi Matlab ki hai Dunya sari
Ab kahan Milte hen wø Yar purane wale
Me dua gø hun teri Neend Mubarik hø tujhy
Hijr ka dard Mujhe de k Jaganay wale
Bas yhi søch k hr Baar Manata høun usay
Løt k Aate Nhi Røøth k Jane wale
Un k Seenøn Me kabhi Jhaank k daikhø tø Sagar
Kitne Afsurda hen aurøn kø Hansanay wale".
........

Meri Jan Phoolon jesi he
Wo bilkul hooron jesi he
He chand nagr ki rani wo
He jese rat mstani wo
He meri prem kahani wo
Roshan wo ujalon jesi he
Wo mere swalon jesi he
Wo shola b wo shbnm b
Wo zulf ghta si rkhti he
Wo aankh dua si rkhti he
Wo dhop me chaun jesi he
Sawan ki ghtaon jesi he
Titli ki adaon jesi he
Wo malika chand sitaron ki
Wo khushbu bag_ baharon ki
"Meri Jan Phoolon Jesi He"
"Wo Bilkul Hooron Jesi He ?

ghazals

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Banane Wale.!¡!
Ab Na Aayen Gey Palt Kar Kabhi Jane Wale.!¡!
Kia Mile Ga Tujhe Bikhre Howe Khwabon K Siwa,
Rait Par Chaand Ki Tasveer Banane Wale.!¡!
Sab Ne Pehna Tha Bare Shoq Se Kaghaz Ka Libas,
Jis Qadar Log The Barish Mey Nahane Wale.!¡!
Mar Gae Hum To Ye Kutbey Pe Lekha Jae Ga,
So Gae Aap Zamane Ko Jagane Wale.!¡!
Dar O Dewar Pe Hasrat si Brasti Hai Qateel,
Jane Kis Des Gay Piaar Nibhane Wale.!¡!
.........

Lo samait loMeri kirchiyan,,
Merey haq maKoi Duaa karo,,
Mujhey manzilon Ki talash ha,,
Merey sath Tum B chala karo,,
Mujhey zindagi Se mila hi kiya?
Mujhey zindagi Ne diya hi kiya?
Dar-o-baam Sab hi ujar gaye,,
Mere sath"TUM TU WAFA KARO".
..........

Main Aaina hun wo mera khayal rakhti hai,
Main to0t'ta hun tou chun kar sambhal rakhti hai,
Har ek maslay ka hal nikal rakhti hai,
Zaheen hai mujay hairat main daal rakhti hai,
Main jab b tark-e-tal'luq ki bat karta hun,
Wo rokti hai mujay, kal pay taal rakhti hai,
Wo mere dard ko chunti hai apnay pooro'n se,
Wo meray waastay khud ko nidhaal rakhti hai,
Wo do0bnay nhn diti hai dukh k darya main,
Mere wajod ki naow uchaal rakhti hai,
Ek aisi dhun, k nhn phr mainay kbi suni,
Wo munfarid hai hansi main kamal rakhti hai,
Bichar k us se dunya ki thokro'n main ho0n,
Wo pas ho tou mujay lazwaal rakhti hai,
Wo muntazir meri rehti dhoop main,
Main loat'ta hoon tou chaoon nikal rakhti hai. . . !
.........

Main Apni Rööh Ki Pushak Bhi Usey Pehna Doon ,
Wo Meri Zaat Mein Utarne Ka Faisla To Kray¤

,,,,,,,,,,

Main Doob ke Ubhra To Buss Itna Hi Dekha,
Auron ki Tarha Tu Bhi kinare Pe khara Thaa.
,,,,,,,,,,,,

ghazals

Kya likhun..?
K ab to thak chuka hun likh likh kr..
Dard jo b sahay hain wo likhun..?
Ya Dard dene wale ka hosla likhun..?
Ya apni bebasi ka falsafa likhun.?
Ya us k door honay tak ka faasla likhun..?
Aakhir kya likhun..?
Ab to dard itna honay laga hai,
k dil phata jata hai..
Kyun hota hai dard mujhe?
kya wo haadsa likhun..?
Ya kuch na likhun aur tor dun Qalam..?
Ya ye likhun k ab mujhe marne ka shoq hai..?
Lekin maroon b to kis k liye..?
Kon hai jo mujhe kaandha dega..?
Kon hai jo mujhe yaad krega..Wo??
Jo jeete jee baat nahi krte..Ya Wo.?
Jo bhule se b yaad nahi krte..
Wo kya royenge meri miyyat par..
Jo mere zinda hone ka ehsas tak nahi krte..
Ab aur kya likhun k ab to Qalam b saath nahi dega..
Chalo aisa krta hun k ab kuch nahi likhta..
Qalam ko tor deta hunMe likhna chor deta hun
Wo kya choray ga mujhe Dost?
Me khud uski dunia chor deta hun ..

..............

Kya MiLay Ga Tujhe Zanjeer-e-Rafaqat Torr Kar...!
Main Bhi Tanha,Tu Bhi Tanha Aur Tamashai Bohat...

...........

Kya us ka gila ki jiye ur se pyr hi kab tha,
Wo ahad faram0sh wafa dar hi kab tha?
Us ne to sada po0je hain urte howe jugnu,
Wo chand sitaron ka paristaar hi kab tha,
Hum doob gaye jaagti raton ke bhanwar main,
Haath us ka hamare liye patwar hi kab tha?
Awaz jo main do0n to kisi aur ko choo le,
Iss ankh micholi se wo bezaar hi kab tha?
............

ghazals

Kiya Ajb Ahtisab apna thaJaan apni azab apna tha,
Kuch mile log bhi zamanay saaz,
kuch muqader kharab apna tha !
ye k mukhlis thy hum Mohabbat mein,
Jurm bas ye janab apna tha,
Ab kya karna us Shakhs Se gila kr k,"FARAZ"
Wo bhi to intikhab apna Tha....!
...........

Kiya Kr Ehtraam Sheeshay Ka
Tera Chehra Hy Ghulam Sheeshay Ka
Sub Khamiyan Khubiyan Hai Bata Deta,
Kon Samjay Muqaam Sheeshay Ka,
Kitni Hasino K Hont Chomta Hai,
SaQi K Dar Pe Jaam Sheeshay Ka,
Sahib-E-Zer K Paas Pathar Hain,
Mere Shahar Mein nhi Nizaam Sheeshay Ka,
Bhool Ker Bhi Paon K Nichay Na Rond Dena,
Bara Sakht Hai Intikam Sheeshay Ka,
Ek Thokar Se Toot Jaye Ga,
Mera DiL Hy Tamam Sheeshay Ka.
...........

Koi ehsas bhi usko yad nahi
Koi baat bhi usko yad nahi
Ek shakhs ne usko chaha tha
Wo zaat bhi usko yad nahi
Jab shab ki bijli chamki thi
Aur badal toot ke barsa tha
Hum dono jis mein bheege thy
Wo barsat bhi usko yad nahi
Wo sahil darya phool hawa
Wo wada saath nibhany ka
Aur shab bhar chand ko dekha tha
Wo raat bhi usko yad nahi
Wo kehta tha mein sunta tha
Mein kehta tha wo sunta tha
Un lakhon baaton mein koi
Ik baat bhi osko yaad nahi.
..........

Koi Sakoon Ki Jaga TaLash Karien,
Aa MilL K Wafa TaLash Karien!
Jurm Dono Ka Hai Aik Sa,
Aa Aik Jesi Saza TaLash Karien!
Gham Seenay Main Jo Kabhi Ruk Na Jaye,
Aa Esi Aab_o_Hawa TaLash Karien!
Dono Apni Anaa Main Na Mitt Jayen,
Aa Koi Darmiyani Si Raah TaLash Karien!
Zindagi Apni Kabhi Duri Main Na Bant Jaye,
Aao Hum Apni Apni Khata TaLash Karien!
Dekhtay Hi Dekhtay Jo DiL Main Utar Jaye
Mohabbat Ki Woh PehLi Nigaah TaLash Karien.
..............

Koofa-e-ishq me khat likh k bulane walay,
Kr gye trk-e-wfa sath nibhane walay,
Pehle hr dam saharon ki talab hoti thi,
Khud sambhal jate hen ab thokren khaney waly,
Wo k hr wqt zmany se khafa rehta tha,
Us ne andaz b sekhay to zmany walay,
Mundmil hote hue zakhm-e-jigar ne pocha,
Kya hue teer nishanay pe lganay walay,
Rahzan mere taaqub me chalay atay hen,
Tu kahan hy meri awaz pe anay walay...
..........

Kuch Kasmo say.Kuch Waadon say.
Kuch Aankhon ki Barsaaton say.
Jao May ne Tumhein Aazad kya.
Kuch Uljhay Suljhay Dhagay thay.
Kuch Kachey Pakey Natey thay.
Un Naton mein koi Apna tha.
Us Apnay say 1 Rishta tha.
Us Rishtey mein kuch Chahat thi.
Uss Chahat k kuch Lamhey thay.
Un Lamhat ki Bandish say.
Jao Mein ne Tumhein Aazad kya.
......

Kuch khud bhi thy afsurda se,
kuch wo bhi hum se rooth gaye,
kuch khud hi zakhm k aadi thy,
kuch sheeshay hath se chhoot gaye,
kuch khud bhi thy hassaas bohat,
kuch apnay muqaddar rooth gaye,
kuch unko jhoot se nafrat thi,
kuch hum se bolay jhoot gaye,
kuch logon ne uksaya unhay,
kuch apnay muqaddar phoot gaye,
kuch khud itnay mohtaat na thy,
kuch log bhi hum ko loot gaye,,
kuch talkh haqeeqat itni thi,,
k khuwaab he sara toot gaya.
...........

ghazals

Khudaa ke vaaste ab berukhi se kaam na le
Tadap ke phir koi daaman ko tere thaam na le
Zamaane bhar mein hain charche meri tabahi ke
Main Darr raha hoon kahiin koi tera naam na le
Mita do shouq se mujhko magar kahin tumse
Zamana meri tabahi ka intqam na le
Jise tu dekh le ik baar mast nazaron se
Vo umr bhar kabhi haathon mein jaam na le
Rakhon umeed-e-karam us se ab main kiya K
jab nazar se bhi zaalim mera salaam na le...
...........

Khushi meri talash ma yunhi phirti rahi"MOHSIN"
Kabi usay mera ghar na mila tu kabi usay hum ghar na mily.
/..........

Khushk Tinkon se Ghar Bana rahe Ho "MOHSIN",..
Ye Jaantey bhi ho keMizaaj-e-Yaar Aag Jesa Hai...
.....

Kis kadr anokha hai raabta Mohabbat ka,
Kb najane ho jaye maujza Mohabbat ka,
Apni zaat se b woh ajnabi sa lagta hai,
Jis k sath ho jaye haadsa Mohabbat ka,
Woh chala hi jata hai jisne jana hota hai,
Lakh do chahe usko waasta Mohabbat ka,
Zndgi mai jeene ka aasra nhi rehta,
Jb kisi se chhin jaye hosla Mohabbat ka,
Doston se aye WA§¡M agr tmhe Mohabbat hai,
Doston ko mat dena mashwara Mohabbat ka...!
..........

Kis kadr anokha hai raabta Mohabbat ka,
Kb najane ho jaye maujza Mohabbat ka,
Apni zaat se b woh ajnabi sa lagta hai,
Jis k sath ho jaye haadsa Mohabbat ka,
Woh chala hi jata hai jisne jana hota hai,
Lakh do chahe usko waasta Mohabbat ka,
Zndgi mai jeene ka aasra nhi rehta,
Jb kisi se chhin jaye hosla Mohabbat ka,
Doston se aye FALAK agr tmhe Mohabbat hai,
Doston ko mat dena mashwara Mohabbat ka...!
..........

KIS LIYE AB UDAAS BETHY HO.....?
Jab wo Ik Shaks Dastaras men Tha,
Us Se Milna Tumhary Bas men Tha....
Us Ki Aankhen Tumhari Ankhen Theen...
Us Ki Batein Tumhari Batein Theen...
Us Ka Chehra Tumhara Chehra Tha...
Us K Dil Pr Tumhara Pehra Tha...
Wo Jo Kehta Tha Be-Qarari hai...
Meri Sari Wafa Tumhari hai...
Sirf Tum Se Mujy Mohabbat hai...
Sirf Tum Se Meri Haqeeqat hai...
Tab Tum Us K Hr Aik Jumley Ko...
Tab Tum Us K Hr Aik Jazbey Ko...
Ek Hansi men Urraya Krty Thy...
Sun K Tum Bhool Jaya Krty Thy...
Apni Tanhai K Galy Lag K...
Sarey Aansu wo Ro Gya Ek Din...
Ek Pathar Se Dil Lagi Kr Ke..
.........

ghazals

Khatam Hoga Zindgi ka ye Safar dekh Lena
Tanha chale jayenge hum dekh Lena
Zindgi me Nahi koi Mukam Apna
Baad Marne k Hogi Kadar dekh Lena
Mujhe par ab bi mere apnay Muskurate hain
Pareshan Honge in K Chehre dekh Lena
Kuch K Sachay kuch K Jhotay Aansu honge
Kitna Ajeeb Hoga wo manzr daik lena........
/..........

Khud ko parhta hoonchor deta hoon
Roz ik varq mor deta hoon,
Is Qadar zakham hain nighaon main,
Roz ik aaina toor deta hoon,
Kamptay hont bheegti palkain,
Baat adhuri hi chor deta hoon,
Rait k Ghar bana bana k faraz
Janay Q khud hi toor deta hoon.
///////

Khuda ham ko aisi khudai na dy .
K apne siwa kuch dekhai na dy .
Khatawar samje ge duniya tuje .
Ab itni zyda safai na dy .
K apne siwa kuch dekhai na dy .
Khuda aisy ehsas ka naam hy .
Rehy samny or hamen dekhai na dy .
K apne siwa kuch dekhai na dy .
Hanso aj itna k is shor men .
Sada siskyun ki sonai na dy .
K apne siwa kuch dekhai na dy .
Bno muje apni chader men youn dhanp lo .
K zameen asman kuch dekhai na dy .
K apne siwa kuch dekhai na dy .
Khuda ham ko aisi khudai na dy .
K apne siwa kuch dekhai na dy..
Hum ko apni duwaun men yad rakhna
khuda hafiz khuda paman dy %%%%%%%%%

............

Feb 6, 2010

ghazals

Wo to aaya tha Kai bar manany Mujh ko,
Mujh sy dori main JO guzri thi Sunany mujh ko,
Main ny hi tark Taluk ki qasam Kha li thi,
Yad aa gae phir LOG purany mujh Ko,
Kuch to aadat hy IN aankhon ko Chalak jany ki,
Kuch khiyalat bhi Aaty hain rulany Mujh ko,
Un ko dekha to dil Ko pashamani hoi,
Jo dekhaty thy kabhi khawb Suhany mujh ko,
Us ny aik lamhy Main andaz badal Dala hy,
Jis ki qurbat main Lagay kitny Zamany mujh ko......!
.........

Wo Mujhe Chahta Nhi,
Aarzu-e-wafa Karon Kese.
Wo Ksi Or Ki MUHABAT He,
Do Dilon Ko Juda Karon Kese.
Ishq To Naam He Qurbani Ka,
Ishq Me Main Dagha Karon Kese.
Us Ko Pana He Zindagi MERI,
Per Zindagi Ko Khafa Karon Kese.
Sakht Uljhan Me Hoon "SAGAR"
Haq-e-uLfat Ada Karon Kese.
......

WaFa KeY Q¡SsAyWafa k qissay ajeeb thehry...!
hm b kitny ghareeb thehry...!
kisi ne chaha kisi ne paya,
apny apny naseeb thehry...!
jan apni main uspe waron,
Agr wo mere qreeb thehry...!
dil-o-nzar b usi ko chahy,
Sabhi hain mery raqeeb thehray...!
Diye hain jis nay yeh dard saray,
wohi to marey habib thehray..
........

Usy Kehna

Agar Aye tou

Sath Aapny

Koi Jugnoo, Koi Taara B Le Aaye

K

Mera Dil

Mery Ghar ki Tarah
Tareek Rehta Hai . . .
.........

Usney Peshani Pe J0 Dast-E-Shifa Rakha Hy,
Shehr K Sheher Ne Ek Hashr Utha Rakha Hy,
Dil Dharakta Hy T0 Bas TEREY Liye Hi Warna,
Khak Ka Dhair H0n S Khak Main Kiya Rakha Hy,
T0r Detey H0 Merey Dil K0 Kabhi J0rtey H0,
Tum Ne T0 Pyar K0 Ek Kheil Bana Rakha Hy,
Aandhiyan Aysi Uthin Bujh Gay Suraj Lekin,
Ek Diya Ham Ney Bahr T0r Jala Rakha Hy,
K0n Rakhta Hy Yahan Yaad Kisi K0 A "FARAZ",
Achay Ach0n K0 Zamaney Ne Bhula Rakha Hy.
.........

Usko Badey khuloos se Samjhaya tha
Ye muhabat,
ye chahatYe rooh,
ye jism,
Ye janSab kisi ki amanat hei
Mery pas Dene ko kuch b nahi he
Us ne khamoshi se
Mere behte howe ashkoun ko
Apne hatheli pe saja lia
Aur ye Kehta howa chal dia
Mjhe mery jeenay ka
Sahara mil gya.
..........

Usay kehna.!
Koi aaj bhi tum ben,
Hijar ki jhulasti dopehron mein sulagta hai,
Habas zada raton mein,
palkon se sitary ginta hai,
Shaam k udaas lmhon mein,
Dareya kinaray baith kar tumhein yad karta hai,
Aksar darakhton per tumhara naam likhta hai,
aur mita ta rehta hai,
Hawaon se tumhari baat karta hai,
Tumhein loat aaney ko kehta hai,
Koi tum se bichar kar bohat udaas rehta hai,
Koi tum se bichar kar bohat udaas rehta hai..
...........

Us ada se bi hun Aashna
Tuje itna jis pe gharor hy.
Men Jeonga tere bager bhi
Muje zindegi ka shaoor hy.
Na Hawas hy mujh me janab ki
Na talab saba-o-shabab ki
Tere chashm-e-naz ki khair ho
Muje bin piye hi saroor hai.
Jo smajh lia tuje bewfa
To phir is men teri b kia khata
Ye khayal hai mere dimagh ka
Ya mri nazar ka Qasur hai.
Men nikal k bhi tere daam se
Na giron ga apne maqam se
Men Qateel-e-jor-O- sitm sahi
Muje tum se ISHQ Zarur hy.!
.......

Uljhay howy halaat ka shikwa na kia kr,
Kheraat mein khushion ki tamanna na kia kr.
So baar kaha itni muhabbat nhi achi,
So baar kaha itna bhrosa na kia kr.
Halaat humein aik kabhi hony na dein ge,
Ae dost mere! meri tamanna na kia kr.
Kya janey ye kis morr pe le jaey zamana,
To mujh ko kisi pal b alehda na kia kr.
Mumkin hai kisi roz bichar jaon achanak,
To mujh se pyar itna ziyada na kia kr.
.......

Udaas mosam k ratt'jagon mein,
Har aik lamha bikhar gya tha,
Har aik rasta badal gya tha,
Phir aise mosam mein kon aaye,
Koi to jaaye.
Tere nagar ki musaafton ko samait laaye,
Teri gali mein hamari sochain bakheir aaye,
Tuje btaaye k kon kese uchaalta hy wafa k moti,
Tumhari janib koi to jaaye,
Meri zubaan mein tuje bulaaye' tuje manaaye,
Hmari halat tuje btaaye' tuje rulaaye...
TO APNE DIL KO B CHAIN AAYE.
........


Tum ko aa saki na nibhani MUHABBATAIN,
Ab par rhi hain ham ko bhulani MUHABBATAIN,
Kin kin rafaqaton k diye waste mgar,
Us ko na yaad aayin purani MUHABBATAIN,
Guzri rutton k zkhm bhi ab tk bhre nhin,
Phir aur kya kisi se barhani MUHABBATAIN,
Sub sar bsar fraib he kya in ka aitbar,
Ye pyar,husn, ishq o jwani MUHABBATAIN,
Jane wo aaj kon se rste se aaye ghr,
har mor, har galli pe bichhani MUHABBATAIN,
Ye DIL ki halton ka byan sub ke saamne,
Ya apne aap se bhi chhupani MUHABBATAIN.

.........

Tum Abar-e-Guraizan ho..
Me Sehra ki tarha hon..
Do boond jo barso gay,
bekar main barso gay..
He khushak boht mitti,
hr simt bagoly hain..
Sehra k bagolon say,
uthty he to Sholy hain..
Tm khul k agar barso,
sehra me Gulistan ho..
Par tm sy kahain kesy,
Tm Abr-e-Guraizan ho..
Jal'thal jo agar kar do,
tan mann main nami bhar do..
Hai khushk boht mitti puri jo kami kar do..
Phir tm ko bataingay k Rooh main panha ho..
Par tm sy kahain kesy,
Tm Abr-e-Guraizasy ho..
Mana nahi is qabil,
tm chaho Muhbt do..
Hm tm ko sada chahain bs itni ijazat do..
Tm Ishq tm hi Puja,
aye jan meri jan ho..
Par tm say kahain kesy,
Tum Abar-e-Guraizan ho..
.........

Tujhe daikhti han ankhein to yeh bolti han ankhein
Tu jo kaash askh hota to kuch or baat hoti
Tujhe har khushi mein apni meri ankh dhondti hai
Yeh jo sab se chup k rooti to kuch or baat hoti
Tujhe saamnay bithata to yeh ankh na jhapakta
Tujhe takte takte soota to kuch or baat hoti
Tere girtay ansoun ko jo mein haath se mithata
Phir tu rootay rootay hansta to kuch or baat hoti
Meri ankh jab bhi khulti teri deed ko tarasti
Bina ansoun k rooti to kuch or baat hoti
Meray behte ansoun ne tujhe har dua mein maanga
Bas dua qabool hoti to kuch or baat hoti
Tera youn bichar k jana meray haath ko chura kar
Tu jo jatay jatay rukta to kuch or baat hoti
Mujhe ishq ne rulaya tujhe ishq ne hansaya Kabhi
tu bhi youn tarapta to kuch or baat hoti
Teray zaheer ki tamana keh yeh saans chalte chalte
Teray baazoun pay rukti to kuch or baat hoti...!!!

...............


cute.wasi@live.com

MERA HAR LAFZ ROTA HA..

Ye Wafa Ye MohabatTere Nam ki...
Hum ne Apni Chahat Tere Nam ki...
Sab Gham or Dard Hen Hmare Liye...
Hm Ne Tamam Umr ki Khushian Tere Nam ki...
Hmari To Na Manzil Hai Na Rasta Apna.
Hm Ne Phr B Apne Dil Ki Dunia Tere Nam Ki...
Hm Hain Bewafa Kabhi Sochna B Mat...
Hm Ne To 1 Umr Ki Wafa Tere Nam Ki..

............

Ye Baarishon K Mosam
Bas TumHi Se Hain Wabasta
K Muhabbton Main Barish
Bari Lazmi Si Shay Hai
Chaahe Aasman Se Barse
Chaahe Chashm é Nam Se Tapkay....!........
............

Yahi wada liya tha na,
Hamesha khush hi rehna ha,
Lo dekho!dekh lo aa k,
Meri ankhon ko dekho tum,
Ye kitni shokh lagti hain,
Mere honton ko dekho tum,
Hamesha muskuratey hain,
Koi b gham agar aya,
Usey hans kar saha ma ne,
Mere chahrey ko dekho tum,
Hamesha pursakun ho ga,
Kiya tha ma ne jo tumse,
Wo wada kar diya pura,
Mgr Ek baat ha pyarey,
Kabhi jo waqt mil jaye,
Tu meri shayari parhna,
Tumhen mehsoos tu ho ga,
Kaheen talkhi bhara lehja,
Kahen pe sard sa lehja,
Kahen pe dard ki jheelain,
Kahen lahjey ki karwahat,
Suno!Ma khush tu hun lehkin,
MERA HAR LAFZ ROTA HA..
...........

Yaad-e-maazi main jo ankhon ko saza di jaye,
Is se behtar hai k har bat bhula di jaey,
Jis se thori si bhi umeed ziyada ho kabhi,
Aisi har shama sar-e-sham jala di jaey,
Main ne apnon k rawayyon se ye mehsoos kia,
Dil k angan mein bhi diwar utha di jaey,
Main ne yaron k bicharne se ye seekha "Mohsin",
Apne dushman ko bhi jene ki dua di jaey....
.............

Yaad teri jab b aai wafa roti rahi
Aankh se barsa wo baadal k intaha hoti rahi
Kal najanay kya sitam tuta teri yaad aanay k baad
Raat bhar galiyon me kiun pagal hawa roti rahi
Tere milne ki dua k liay jab b haath uthaaye main ne
Meri is masoom khwahish pe najanay kiun duaa roti rahi..
..........

Woh taluay aftab se yaad atey hain aksar,
Unki furqat main hum dil jalate hai aksar,
Din guzar jata hai yadon main unki,
Sham hone se phir ashk bahate hain aksar,
Sara aalam raat ko so jata hai jab,
Guzre huwe lamhaat mujh ko satatey hain aksar,
Jab afsurda hota hai dil ka angan mera,
Geet ghamon k phir gungunatey hain aksar,
Kabhi atey hain khuabon main milne premi to,
Ankh khulne se pehle chor jatey hain aksar.
..........

ghazals

Zamane me jo dhundo ge To HuM sa ho nhi skta,
Sada hum usko chahenge Jo apna ho nhi skta,
Boht ujra hua DiL hy mgrapna aqida hai,
Jahan mehkain Teri yadain wo sehra ho nhi skta,
ksi ki yad jo ab tk mere Bistar mE soti hai,
Shab-E-Tanhai sE keh do, main Tanha ho nhi skta,
Kuch apni bhi khatayein thi wabaL-e-zindgi main,
Sabhi kuch Tu muqdar ka Likha ho nhi skta,
Judai ho gai lekin abhi tak dono jeete hen,
Kbhi dono hi kehte thy k Esa ho nhi SAKTA..

............

Yun Koi Chor Diya Karta Hai Apna Kar K
Tu Ne To Maar Diya Hai Mujhe Tanha Kar K
Ek Nazar Daal Kabhi Mere Maseeha Mujh Par
Tera Kya Jaye Ga Bemaar Ko Acha Kar K
Aey Mohabat K Marahil Se Guzarnay Walay
Tu Ne Aansu Kabhi Dekha Hai Sitara Kar K
Main Bohat Jald Bhanwar Me Tujhe Yaad Aaun Ga
Itna Khush Baash Na Reh Mujh Se Kinaara Kar K
Zara Dastaar Bacha Kar Mere Sar K Dushman
Tu Mujhe Maar Magar Maar Na Ruswa Kar K. . .
..............

Yun akyly ma usy Ehd.e.wafa yaad aay,
Jesy bandy ko museebat me KHUDA yaad aay,
Jesy bhatky huay panchi ko nasheman apna,
Jesy apnon k bicherny pe dua yaad aay,
Jesy dhalti hue shaamon ko saweira koi,
Jesy pinjry me parindy ko fiza yaad aay,
Jesy boorhy ko khayalat me bachpan apna,
Jesy bachy ko shararat pe saza yaad aay,
Jesy ujri hue basti ko zamana apna,
Jesy toofan k thehrny pe diya yaad aay
Yun akyly ma usy Ehd.e.Wafa yad aay!
...........

Yeh jo shafaf sa ek aks us jheel mein tha,
Koi chehra tha magar chand ki tamseel mein tha.
Yaad karta hon kahan bhool k aaya hon usay,
Aisa hi aks meri soch ki zambeel mein tha.
Baat kia thi ye mujhe achi tarha yaad nhi,
Haan tera zikar bhi tha aur bari tafseel mein tha.
Koi pegham tha ankhon mein,so ankhon mein raha,
Masla asal to pegham ki tarseel mein tha
Is naye nus'khy mein teh'reef hui hai warna,
Zikr mera bhi kahin pyar ki anjeel me tha.!
.........

Ye yaad nahi kyaKuch khoya,
Bas yaad raha
Mujhe pyar howa,
Jab piyar howa Sab bhool gaye,
Ek yad raha
Bas naam tera,
Ham masjid mandir bhool gaye,
Mujhe yad raha
Bas sath tera,
Kuch saalon baad
Woh hum se milay,
Main pooch baitha
Kya haal tera,
Wo hans k bole
Ay MOHSIN
To ye to bata kia
Naam tera??
.............
Related Posts with Thumbnails