Kitni Badal Chuki Hy Rut Jazby B Wo Nai Rahe,
Dil Pe Tere Firaq K Sadme B Nai Rahy,
Mehfil Shab Mein Guftgu ab K Hui To ye Khula,
Baten B Wo Nai Rahen Lehje B Wo Nai Rahy,
Huliye Badal K Rakh Diye Jesy Shb'e'firaq Ne,
Ankhen B Wo Nai Rahen Chehre B Wo Nai Rahy,
Es Ka Maye Jamal B Goya Gharub Ho Chala,
Apne Wafood'e' shoq K Chrche B wo Nai Rahy,
Ye B Hua K Tera Baad Shoq'e'sfar Nai Raha,
Jin Pe Biche Huy The Dil Rasty B Wo Nai Rahy.
.........
Kuch iski khabar bhi hai tujhko
Wo sooz-e- jahanum kya hoga
Jis aag ka indhan insan hai
Us aag ka aalam kya hoga
Yeh Jism gawahi khud dega
Har hisa badan ka boley ga
Kamosh zuban ho jayegi
Us waqt ka aalam kya hoga
Kuch iski khabar bhi hai tujhko
Wo sooz-e- jahanum kya hoga.
........
Kuch unki adaon ka talabgar bohat tha,
Kuch apni anaon se mujhe pyar bohat tha.
Socha tha k paa lunga use ek na ek din,
Pehli si mohabat pe aitbar bohat tha.
Manzil kese naseeb ho tere diyar ki,
Rasta jo tere ghar ka purisraar bohat tha.
Us ne kuch is andaz men izhar kiya tha,
Iqrar kam, iqrar men inkar bohat tha.
Kashi ko faqat pyar men ruswaiyan mileen,
Shayad k mohabat ka gunhegar bohat tha.....
........
Kya likhu..?
K ab to thak chuka hun likh likh kr..
Dard jo b sahay hain wo likhu..?
Ya Dard dene wale ka hosla likhun..?
Ya apni bebasi ka falsafa likhun.?
Ya us k door honay tak ka faasla likhun..?
Aakhir kya likhun..?
Ab to dard itna honay laga hai Malik....
k dil phata jata hai..
Kion hota hai dard mujhe?
kya wo haadsa likhun..?
Ya kuch na likhun aur tor dun Qalam..?
Ya ye likhun k ab mujhe marne ka shoq hai..?
Leki maroon b to kis k liye..?
Kon hai jo mujhe kaandha dega..?
Kon hai jo mujhe yaad krega..?
Wo?? Jo jeete jee baat nahi krte..?
Wo.? Jo bhule se b yaad nahi krte..?
Wo kya roienge meri miyyat par..?
Jo mere zinda hone ka ehsas tak nahi krte..?
Ab aur kya likhun k ab to Qalam b 7 nahi dega..!
Chalo aisa krta hun k ab kuch nahi likhta..
Qalam ko tor deta hun..!Me likhna chor deta hun..!
Wo kya choray ga mujheMalik....?
Me khud uski dunia chor deta hun.
...........
No comments:
Post a Comment