RSS

Feb 9, 2010

ghazals

Suno !Kesy kahon tmko
Tumhary bin adhoray hein
Na koi piyas hy baqi
Na koi dard uthta hy
Han
Mgr EHSAS baqi hy k
Tumhary bin adhuray hein
Koi aisa lfz hota jo
Zuban sy hm ada krty
Tmhary dil py ja girta
Dukh sy kaamp uthti rooh
Trap k tum bhe ye kehtay¤
Tumhary Bin Adhury hein¤
.........

Shahr-e-fana hoon tere kis kaam ka hun,
Ek bujhta sa dia hun tare kis kaam ka hoon,
Tu rafaqat k liye aur kisi ko chun le,
Main to khud aabla pa hun tere kis kam ka hun,
Tu bhi auro ke trah mujh se kinara kr le,
Sari dunia se bura hon tery kis kam ka hoon.
.......

Na itna mere Qareeb aa!
K me Dur tmse na ja sakun!
Na itna mujhse Pyar kr!
K me chah kr b na Bhula sakun!
Mere Hosh Hawas na yun ura!
K me Hosh me phr na aa sakun!
Mere Dil pe yun na Naqsh ho!
K Bacha sakun na Mita sakun!
Meri Dharkano me na Dharak yun!
K me Dharkanen na Sula sakun.
...........

Mumkin ha chashm-e-num ko sitara na kar sako
Mumkin ha tum b koi ishara na kar sako
Mumkin ha mery bgair b bita lo ye zindagi
Mumkin ha apny sath b guzara na kar sako
Mumkin ha pyar de k aata kardo zindagi
Mumkin hai ye kam dobara na kar sako
Mumkin ha mera hukm b tumko qabol ho
Mumkin ha iltgja b gavara na kar sako
Mumkin ha 2 qadam pe bdal jao rasta
Mumkin ha umar bhar kinara na kar sako.Wa§¡M
.........

Meri taqdeer se pooch meri kismat ka feisla,
Meri muskrahat pe na ja mera dard talash kar,
Aankhon se pooch meri intezar ki had,
Itminan pe na ja meray sabr ko talash kar,
Meray doston se pooch meri dosti ka aalam,
Surat pe na ja meri seerat talash kar,
Jo mil jaein tum ko meri baton k jawabat,
To phr tu zra sa kaam kar,
MUJE KHUD MAIN TALASH KAR......
MUJE KHUD MAIN TALASH KAR!Wa§¡M
.......

Kisi roz sham k waqt,
Suraj k aram k waqt,
Mil jaye sath tera,
Hath mein le k hath tera,
Door kahin tanhai mein,
Dunia se judai mein,
Apne sang bithaon tuje,
Dil ka haal sunaon tuje,
Teri izzat ihteram karoon,
Tere hath ki lakeeron mein,
Talash apna naam kron,
Aao ik irada kren,
Phir milne ka wada kren,
kisi roz sham k waqt .
Suraj k aram k waqt.
.....

Kisi ki Aas ban ker phir ussay tanha nahi kerna
Bhale kuch b pare kerna magr aisa nahi kerna
Na ho aisa k Yaadein rooh ka sartaan ban jayen
Kabi had se b ziada tum usay socha nahi karna
Muhabbat main shikayat ka kahan dastor hota hai
Gila ker k Muhabbat ko kabi ruswa nahi kerna
Wafayein darhaqiqat bepana anmol hoti hain
kabi apni wafaon ka sila manga nhi krna
Na ho aisa k wo apni manzil ka nisha Kho dy
kisi ka sath rastay mein kbi chora nhi krna.
.......

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails