Kyun udaas phirtey ho sardiyon ki shamon main,
is tarah to hota hai iss tarah k kaamon main...
sara din akelay main, rat bhar khayalon main,
is tarah to hota hai is tarah k kaamon main...
chup se ho gaye ho tum baat kyun nahi karte,
choti choti baton pe jeetay jee nahi marte,
hath kaley karte hon nam likh kar hathon main,
is tarah to hota hai iss tarah k kamon main...
nazam jo sunani thi nazam wo suna di hai,
bat samjhani thi baat samjha di hai,
waqat ho gaya apna phir milen ge khawabon main,
iss tarah to hota hai iss tarah k kaamon main....
Showing posts with label Kyun Udaas phirte ho. Show all posts
Showing posts with label Kyun Udaas phirte ho. Show all posts
Dec 27, 2010
Subscribe to:
Posts (Atom)