RSS

Nov 13, 2012

Sang-e-Malamat

Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey Harf aaye naa tujh par , tujh say door rahey Aatish e qalb bhujaney say kahan bhujtee hay Dil main khawabeedaa agar yaad kay shurur rahey Natawaan jism o jaan, dunyaa say woh takar laynaa Hum essee baat pay had darjaa maghroor rahey Dard barh jaye to khud aap marham hotaa hay Suna jo hum nay to phir hum bhee zakhm choor rahey Hansatey rahtey hain sar e bazm, hay aadat apnee Hum to woh hain kay dukh uthaa kay bhee masroor rahey Barh gayee had say sharafat to kuchlay jao gay Yaad har pal tumhain dunya kaa yeh dastoor rahey Ghazal main haal jo hum apna bayaan kar baithey Es dil kay hathon bohat majboor rahey....

Khawab Sare

Khawab sary khial sary, Haqeeqton ka libada orhy, TUmhari hasti sanwar jain, Chand, soraj, ye sary tary, Chirag jitny bhe jal rhy hain, Tumhary chehray kay rang dekhain to har jain, Behti nadya, charhaty darya, Ye gehra sagar, Jheel jaharny, Ye Aabsharain, Apna jeewan tumhari aankhon pe war jain, Rung khushbo, Gulab sary, Muhabbaton kay nisab sary, Sb tumhari Balain lay lain, Nazar tumhari utar jain.
Related Posts with Thumbnails