RSS

Feb 8, 2010

ghazals

Kiya Ajb Ahtisab apna thaJaan apni azab apna tha,
Kuch mile log bhi zamanay saaz,
kuch muqader kharab apna tha !
ye k mukhlis thy hum Mohabbat mein,
Jurm bas ye janab apna tha,
Ab kya karna us Shakhs Se gila kr k,"FARAZ"
Wo bhi to intikhab apna Tha....!
...........

Kiya Kr Ehtraam Sheeshay Ka
Tera Chehra Hy Ghulam Sheeshay Ka
Sub Khamiyan Khubiyan Hai Bata Deta,
Kon Samjay Muqaam Sheeshay Ka,
Kitni Hasino K Hont Chomta Hai,
SaQi K Dar Pe Jaam Sheeshay Ka,
Sahib-E-Zer K Paas Pathar Hain,
Mere Shahar Mein nhi Nizaam Sheeshay Ka,
Bhool Ker Bhi Paon K Nichay Na Rond Dena,
Bara Sakht Hai Intikam Sheeshay Ka,
Ek Thokar Se Toot Jaye Ga,
Mera DiL Hy Tamam Sheeshay Ka.
...........

Koi ehsas bhi usko yad nahi
Koi baat bhi usko yad nahi
Ek shakhs ne usko chaha tha
Wo zaat bhi usko yad nahi
Jab shab ki bijli chamki thi
Aur badal toot ke barsa tha
Hum dono jis mein bheege thy
Wo barsat bhi usko yad nahi
Wo sahil darya phool hawa
Wo wada saath nibhany ka
Aur shab bhar chand ko dekha tha
Wo raat bhi usko yad nahi
Wo kehta tha mein sunta tha
Mein kehta tha wo sunta tha
Un lakhon baaton mein koi
Ik baat bhi osko yaad nahi.
..........

Koi Sakoon Ki Jaga TaLash Karien,
Aa MilL K Wafa TaLash Karien!
Jurm Dono Ka Hai Aik Sa,
Aa Aik Jesi Saza TaLash Karien!
Gham Seenay Main Jo Kabhi Ruk Na Jaye,
Aa Esi Aab_o_Hawa TaLash Karien!
Dono Apni Anaa Main Na Mitt Jayen,
Aa Koi Darmiyani Si Raah TaLash Karien!
Zindagi Apni Kabhi Duri Main Na Bant Jaye,
Aao Hum Apni Apni Khata TaLash Karien!
Dekhtay Hi Dekhtay Jo DiL Main Utar Jaye
Mohabbat Ki Woh PehLi Nigaah TaLash Karien.
..............

Koofa-e-ishq me khat likh k bulane walay,
Kr gye trk-e-wfa sath nibhane walay,
Pehle hr dam saharon ki talab hoti thi,
Khud sambhal jate hen ab thokren khaney waly,
Wo k hr wqt zmany se khafa rehta tha,
Us ne andaz b sekhay to zmany walay,
Mundmil hote hue zakhm-e-jigar ne pocha,
Kya hue teer nishanay pe lganay walay,
Rahzan mere taaqub me chalay atay hen,
Tu kahan hy meri awaz pe anay walay...
..........

Kuch Kasmo say.Kuch Waadon say.
Kuch Aankhon ki Barsaaton say.
Jao May ne Tumhein Aazad kya.
Kuch Uljhay Suljhay Dhagay thay.
Kuch Kachey Pakey Natey thay.
Un Naton mein koi Apna tha.
Us Apnay say 1 Rishta tha.
Us Rishtey mein kuch Chahat thi.
Uss Chahat k kuch Lamhey thay.
Un Lamhat ki Bandish say.
Jao Mein ne Tumhein Aazad kya.
......

Kuch khud bhi thy afsurda se,
kuch wo bhi hum se rooth gaye,
kuch khud hi zakhm k aadi thy,
kuch sheeshay hath se chhoot gaye,
kuch khud bhi thy hassaas bohat,
kuch apnay muqaddar rooth gaye,
kuch unko jhoot se nafrat thi,
kuch hum se bolay jhoot gaye,
kuch logon ne uksaya unhay,
kuch apnay muqaddar phoot gaye,
kuch khud itnay mohtaat na thy,
kuch log bhi hum ko loot gaye,,
kuch talkh haqeeqat itni thi,,
k khuwaab he sara toot gaya.
...........

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails