RSS

Feb 16, 2010

ghazals

Kabhi Yaad Aao to is Tarah,
Kabhi Gungunao to is Tarah,
Mera Dard Phir se Ghazal Bane,
Kabi Dil Dukhao to is Tarah,
Meri Dharknen b Larz uthen,
Kabi Bhool Jao to is Tarah,
Na Sisak Saken na Bilak Saken,
Kabi Chor Jao to is Tarah,
Na Ujar Saken na Sanwr Saken,
"kAbHi YaAd aAo tO iS tAraH"
........

Kabi Andhere Kabi Ujaale
Mohabton k Safar nirale
Ajab sahara bana hy wo b
Kabi gira de Kabi Utha le
Wohi Samandar wohi kinara
Kabi Dabo de Kabi Bacha le!
Me Apne zakhmon ko c to longa
Wo Apna khanjar to Aazma le
Me lamha lamha pighal raha ho
Usey kaho ab nazar hata le..!
.........

Kahen tum apni qismat ka likha tabdeel kr lety,
To shaayad hum bhi apna rasta tabdeel kr lety,
Agr hum waaqaie kam hosla hoty mohabat mein,
Marz barhny se pehly dawa tabdeel kr lety,
Tumhari tarha jeeny ka hunar aata to phir shaayad,
Makaan apna wohi rakhty, Lekin pata tabdeel kr lety.....!
..........

Khauf_e_Dunya se MERE PAASNA Aane Waale
Jaan Rkhte Hain Hatheli Pe Nibhane Waale
Meri Ruswai Mein Ghairon Ka Koi Dosh Nhi
Is Mein Shamil Hain Mere Apne Chahne Waale
Kitna Naadaan Hoon Is Aas Pe Zinda Hoon
Laut Aaein Ge Mujhe Chhor k Jaane Waale
Ab Kahon Tujh ko Main "IbrAhim"
To Bhla Kaise KahonKar k Ehsaan Sar_e_Aam Jataane Waale
Ab To Rsta Hay Na Manzil Hay Na Shanaasa Koi ?
Shukriya ! Shukriya !Is Mor Par Laane Waale !!
.......

Khuda insaan k saath hay or log ussay aasman pe talash kartay hain
Jannat maa k qadmon taley hay or log ussay doosri nekyon main talaash kartay hain
Itminaan-e-Qalb zikar main hay or log issay fikr main talash kartay hain
Sehat rohanyat k irteqa main hay or log issay dawaon main dhoondtay hain
Naymat Khuda k shukr main hay or log issay hirs main talash kartay hain
Rizq sakhawat main hay or log issay mehnat main talash kartay hain.
.........

Kisi Ke Sath Guzrey Pal Barey Rangeen Hotey Hen
Mohabat k ye Roz-o-shab barey haseen hotey hain
ishq karna ha to pehley bikharney ka hunar sikho
Ishq main haadsey Aksar barey sangeen hotey hain..
Kabhi fursat main Aa k dekh is viraan sey ghar main..
Kisi ki yaad main hum b bary ghamgeen hoty hain.
.........

Kutthan safar hai Mohabton ka,
kharab raste hain soch lena
Wo chorr jaate hain ik qadam par,
jo saath chalte hain soch lena
Jo nibah tum se na ho saky to,
na sang rehne ki baat krna
K ishq walon ki rah guzar mein,
CHANNAB aaty hain soch lena:
.......

cute.wasi@live.com and @yahoo.com

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails