RSS

Feb 6, 2010

MERA HAR LAFZ ROTA HA..

Ye Wafa Ye MohabatTere Nam ki...
Hum ne Apni Chahat Tere Nam ki...
Sab Gham or Dard Hen Hmare Liye...
Hm Ne Tamam Umr ki Khushian Tere Nam ki...
Hmari To Na Manzil Hai Na Rasta Apna.
Hm Ne Phr B Apne Dil Ki Dunia Tere Nam Ki...
Hm Hain Bewafa Kabhi Sochna B Mat...
Hm Ne To 1 Umr Ki Wafa Tere Nam Ki..

............

Ye Baarishon K Mosam
Bas TumHi Se Hain Wabasta
K Muhabbton Main Barish
Bari Lazmi Si Shay Hai
Chaahe Aasman Se Barse
Chaahe Chashm é Nam Se Tapkay....!........
............

Yahi wada liya tha na,
Hamesha khush hi rehna ha,
Lo dekho!dekh lo aa k,
Meri ankhon ko dekho tum,
Ye kitni shokh lagti hain,
Mere honton ko dekho tum,
Hamesha muskuratey hain,
Koi b gham agar aya,
Usey hans kar saha ma ne,
Mere chahrey ko dekho tum,
Hamesha pursakun ho ga,
Kiya tha ma ne jo tumse,
Wo wada kar diya pura,
Mgr Ek baat ha pyarey,
Kabhi jo waqt mil jaye,
Tu meri shayari parhna,
Tumhen mehsoos tu ho ga,
Kaheen talkhi bhara lehja,
Kahen pe sard sa lehja,
Kahen pe dard ki jheelain,
Kahen lahjey ki karwahat,
Suno!Ma khush tu hun lehkin,
MERA HAR LAFZ ROTA HA..
...........

Yaad-e-maazi main jo ankhon ko saza di jaye,
Is se behtar hai k har bat bhula di jaey,
Jis se thori si bhi umeed ziyada ho kabhi,
Aisi har shama sar-e-sham jala di jaey,
Main ne apnon k rawayyon se ye mehsoos kia,
Dil k angan mein bhi diwar utha di jaey,
Main ne yaron k bicharne se ye seekha "Mohsin",
Apne dushman ko bhi jene ki dua di jaey....
.............

Yaad teri jab b aai wafa roti rahi
Aankh se barsa wo baadal k intaha hoti rahi
Kal najanay kya sitam tuta teri yaad aanay k baad
Raat bhar galiyon me kiun pagal hawa roti rahi
Tere milne ki dua k liay jab b haath uthaaye main ne
Meri is masoom khwahish pe najanay kiun duaa roti rahi..
..........

Woh taluay aftab se yaad atey hain aksar,
Unki furqat main hum dil jalate hai aksar,
Din guzar jata hai yadon main unki,
Sham hone se phir ashk bahate hain aksar,
Sara aalam raat ko so jata hai jab,
Guzre huwe lamhaat mujh ko satatey hain aksar,
Jab afsurda hota hai dil ka angan mera,
Geet ghamon k phir gungunatey hain aksar,
Kabhi atey hain khuabon main milne premi to,
Ankh khulne se pehle chor jatey hain aksar.
..........

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails