Aankh se door na ho dil se utar jaayega
Waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaayega,
Itna maayus na ho Khilvat-e-Gham se apne,
Tu kabhi Khud ko bhi dekhega to Dar jaayega,
Tum sar e raah-e-wafaa dekhte rah jaaoge,
Aur wo baam-e-rafaaqat se utar jayega,
Zindagi teri aata hai to ye jaane waala,
Teri bakhsheesh teri dehleez pe dhar jayega,
Doobte doobte kashti to ochalaa de doon,
Main nahi koi to saahil pe utar jaayega,
Zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat ka,
Zaalim ab ke bhi na royega to mar jayega.
....
Jabr-o-sitam hans k seh lye dil pr
tumhary dil ko dukhany ka hosla na hua
lutey kuch aisy mohabat ma hm k phr
kisi ko dil ma bsany ka hosla na hua...
.....
Ajab dastoor zubaaN baNdi hY kaisa teri mehfil meiN
YahaN tou baat kerNay ko tarasti hY zubaaN meri
........
Andaze biyan se zahir he tere dil ka kuhloos, ...
Teri tehreer ka her hr lafz teri muhabbt ka pata deta he...!!
........
Ankho sy Q ansu jalak jate hain,
Tanhaiyon me Q ghum yaad aate hain!
Aansu se pooch kar koi ye bata de hamein,
Door rehne wale aksar Q yad atey hain.
..........
Ao udas raton me,
Dil ki basti me aa kdekho,
Har ek rasta,Har ek daricha,
Tumhari chaht ka muntazir hy,
Falak se takta hy chand tum ko,
Sitare tum ko bula rahe hain,
Tumhari amad k muntazir hain,
Mujhe yaqin hyTumhare dil me,
Gaye dino k khayal hain kuch,
Nae safr k malal hain kuch,
Nai ruton k sawal hain kuch,
AGARYe sach hy to merimano,
Purane raston pe loat ao,
Purani basti me koi ab tak,
Tumhari amad ka muntazir hy!
.........
Ashk Girty hain to har saans PIGAL jaati hai,
De k ek Dard Naya har Sham DHAL jaati hai,
Tujh ko seene se laga kar mily jannat ka Sakun,
Tujh se Bichrun to meri Jaan NIKAL jaati hai,
Ishq kch aisy mitaa'ta hai NISHAN-E-HASTI,
Jaisy k Raat ujale ko NIGAL jati hai,
Tu agr Dil pe mry hath hi Rakh De,
Toti sans bhi Kch dair SAMBHAL jati hai,
Zakham bharta hi nahi teri JUDAI ka,
or Phir teri YAAD Naya Dard UGAL jati he.
........
Dil-e nadan ko smjhao "MOHBBAT" zakhm deti hay
Tum apni zid se baaz aao "MOHBBAT" zakhm dety hay
"MOHBBAT" ka safr Aaghaz krne pr tumhe hum ne
kaha tha nak ruk jao"MOHBBAT"zakhm deti hay
Usy shidat se chaha hay tu ye b zehan mian rkho
k barh jay agr had se"MOHBBAT"zakhm dety hai,
......
Do ghariyan ruk ja takdeeray,
Mainu lagiyan torr nibha lain day,
Aaj mukday huye sawaan layee
Do dil dey bol suna lain day
Ohnay saari hayati azmaya aey
Aaj menu yaar aazma lain day
Main jaan hawalay kr day saan
Is jaan da malik aa lain day . . .
..........
Ghalib vs Iqbal
Zahid sharab peeny dy masjid me beth kr....
Ya wo jaga bata jahan pr Khuda nahi....
(Ghalib)
Masjid khuda ka ghar hy peeny ki jaga nhe,
Kafir k dil me ja wahan pr khuda nhe...(Iqbal)
..
Ek Kuhwab sarhany rakh do na,,
Aj muj pr inayt kr do na,,
Zara chupkay se khamoshi se,,
Izhar e muhabt kr do na,,
khud ko kr ke dewana sa,,
Mera pyar amar tum ker do na,,
Me pyas me dooba sehra hun,,
Tum mujh ko sumandar ker do na,,
Me yun he phirta hu dar dar,,
Tum khud ko Manzil kr do na,,
Meri ghazlen adhori hain ab tak,,
Tum in ko mukamal kr do na,,
koi kuhwab sarhany rakh do na,,
Tum mujh pe inayat kr do na..!
........
Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay,
Hum apnay buzargon ka zamana nahin bhoolay !
Tum aankhon ki barsaat bachayay huey rakhna,
Kuch log abhi aag lagana nahin bhoolay !
Yeh baat alag haath kalam ho gayey apnay,
Hum aap ki tasveer banana nahin bhoolay !
Ik umar huee main to hansi bhool chuka hoon,
Tum ab bhi meray dil ko dukhana nahin bhoolay !
......
No comments:
Post a Comment