RSS

Feb 9, 2010

ghazals4

Bari tarap hai, meri iltaja k parday mein,
Main tum ko maang raha hoon dua k pardy mein.
Usy b dar hai k ye raaz khull na jaye kahin,
Likhta hai naam mera wo hina k parday mein.
Main us k koochy sy guzra to ye mehsoos hua,
Mujhy pukara hai us ny hawa k pardy mein.
Ajeeb tarz-e-masihayi us ne dikhlayi,
Hayyat meri badal di dua k pardy mein.
Is tarah chehry ko zulf mein chupaya us ny,
k jaise chand chupa ho ghata k pardy mein . .
..........

Chahat HY Lekin HaQiQat Nahi HY
Aaj Kal Kisi Ko Kisi Se Sachi Mohabbat Nahi HY
Jo Tümhein Bhula De Tum Use Bhula Do
Is Se Behtar Koi NASEHAT Nahi HY.
.......

çhàhàt sè mèrè chèhrè pè àjàb nìkhàr ààyà he,
Dòr hùì wèhshàtè sùkòn_ò_qàràr ààyà he,
Rààs ààyà kùch eysè tèrì chàhàt kà mòsàm,
Dìl ka hàr zàkhàm pàr mòsàm_è_ bàrsàt ààyà he,
Åb khìzàà or bàhààr sè kùch gàrz nhì mùjh kò,
Tèrì àdàò ke mòsàm pè pyàr ààyà he,
Ràstè mè phòòl nhì àànkhè bìchàyì hàìn,
Mìlnèy kò mùjh sè wòh yàr ààyà he.
.........

Chahoon To ek Nigah Mein Khreed Loon U$ Ko,,..
Jis Ko Naaz He Bht Ke Bikta Nahi Hoon Mein.....

.........

Chalo tum sath mat dena
Mujhe be-shak bhula dena
Naye khuwab saja lena
Naye rishtey bana lena
Bhula dena sabhi waadey
Sabhi qasmen sabhi Naatay
Jaana.!Tumhen ijazat he ..
Jo diL chahe,Wo sab karna
Magar ab tum kisi se bhi..
"ADHURA PYAR" mat Karna..
.........

Dabo De Apni Kashti Ko Kinara Dhondne Waly....
Ye Darya-E-Mohabbat He Yahan Sahil Nahi hota...
..........

'DUNIYA' se kuch ajeeb hein mery dil ke mashghaley,..
'KANTON' ko choomta hoon ta key Phoolon ka dil jaley..
..........

Ek bheegi hui si raat mile
Us raat me tera hath mile
Tere lab se tapkein jo boondein
Unhe mere labon ka sath mile
Kuch tum b behki behki si
Kuch mujpe nasha sa tari ho
Har pal me chhaye madhoshi
Ek aesi raat hamari ho phir tum aao meri baanhon me
Mai pyar kar0n tumhe ji bhar ke
Tum mujse thora sharmao
Sharma ke gale se lag jao
Mai jitna tumko pyar karoon
Tum itni hi betab hojao
Hamein pyar ki kuch lamhat milen
Ek bheegi hui si raat mile..

...........

Ek roz koi to sochy ga
Dewano ki ek Basti me
Ek shaks tha pagl pagl sa
Pr bateyn thek hi kehta tha,
Barish ki trha pur-shor na tha
Sagr ki trha chup rehta tha,
JAN roty rotay kho betha
Dil hanstay hanstay har diya,
Jo nazam likhi bharpor likhi
Jo shair diya shahkar diya,
Kyon jetay jee dargowr hova ?
Kis chah main tan mann war diya ?
Tah dushman kon us pagal ka ?
Kis Dil ne usko maar diya ?.
EK ROZ KOI TO SOCHE GA....
..........

Ghum-o-dukh k ye isharay tum na samjho gay,
Jo din hum nay tumharay bin guzaray tum na samjho gay..
Tumhain kaisay bataein tum hamaray wastay kya ho,
Samandar ki kahani mein kinaray tum na samjho gay..
Bus itna jan lo ek shakhs say hum nay mohobbat ki,
Hmaray tootnay ka khhel pyaray tum na samjho gay..
Hazaron mushkilon say khhel kar bhi jeetnay walay,
Ye aakhir kis jaga per aa k haaray tum na samjho gay..
..........

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails