Khudaa ke vaaste ab berukhi se kaam na le
Tadap ke phir koi daaman ko tere thaam na le
Zamaane bhar mein hain charche meri tabahi ke
Main Darr raha hoon kahiin koi tera naam na le
Mita do shouq se mujhko magar kahin tumse
Zamana meri tabahi ka intqam na le
Jise tu dekh le ik baar mast nazaron se
Vo umr bhar kabhi haathon mein jaam na le
Rakhon umeed-e-karam us se ab main kiya K
jab nazar se bhi zaalim mera salaam na le...
...........
Khushi meri talash ma yunhi phirti rahi"MOHSIN"
Kabi usay mera ghar na mila tu kabi usay hum ghar na mily.
/..........
Khushk Tinkon se Ghar Bana rahe Ho "MOHSIN",..
Ye Jaantey bhi ho keMizaaj-e-Yaar Aag Jesa Hai...
.....
Kis kadr anokha hai raabta Mohabbat ka,
Kb najane ho jaye maujza Mohabbat ka,
Apni zaat se b woh ajnabi sa lagta hai,
Jis k sath ho jaye haadsa Mohabbat ka,
Woh chala hi jata hai jisne jana hota hai,
Lakh do chahe usko waasta Mohabbat ka,
Zndgi mai jeene ka aasra nhi rehta,
Jb kisi se chhin jaye hosla Mohabbat ka,
Doston se aye WA§¡M agr tmhe Mohabbat hai,
Doston ko mat dena mashwara Mohabbat ka...!
..........
Kis kadr anokha hai raabta Mohabbat ka,
Kb najane ho jaye maujza Mohabbat ka,
Apni zaat se b woh ajnabi sa lagta hai,
Jis k sath ho jaye haadsa Mohabbat ka,
Woh chala hi jata hai jisne jana hota hai,
Lakh do chahe usko waasta Mohabbat ka,
Zndgi mai jeene ka aasra nhi rehta,
Jb kisi se chhin jaye hosla Mohabbat ka,
Doston se aye FALAK agr tmhe Mohabbat hai,
Doston ko mat dena mashwara Mohabbat ka...!
..........
KIS LIYE AB UDAAS BETHY HO.....?
Jab wo Ik Shaks Dastaras men Tha,
Us Se Milna Tumhary Bas men Tha....
Us Ki Aankhen Tumhari Ankhen Theen...
Us Ki Batein Tumhari Batein Theen...
Us Ka Chehra Tumhara Chehra Tha...
Us K Dil Pr Tumhara Pehra Tha...
Wo Jo Kehta Tha Be-Qarari hai...
Meri Sari Wafa Tumhari hai...
Sirf Tum Se Mujy Mohabbat hai...
Sirf Tum Se Meri Haqeeqat hai...
Tab Tum Us K Hr Aik Jumley Ko...
Tab Tum Us K Hr Aik Jazbey Ko...
Ek Hansi men Urraya Krty Thy...
Sun K Tum Bhool Jaya Krty Thy...
Apni Tanhai K Galy Lag K...
Sarey Aansu wo Ro Gya Ek Din...
Ek Pathar Se Dil Lagi Kr Ke..
.........
No comments:
Post a Comment