RSS

Feb 8, 2010

ghazals

Kya likhun..?
K ab to thak chuka hun likh likh kr..
Dard jo b sahay hain wo likhun..?
Ya Dard dene wale ka hosla likhun..?
Ya apni bebasi ka falsafa likhun.?
Ya us k door honay tak ka faasla likhun..?
Aakhir kya likhun..?
Ab to dard itna honay laga hai,
k dil phata jata hai..
Kyun hota hai dard mujhe?
kya wo haadsa likhun..?
Ya kuch na likhun aur tor dun Qalam..?
Ya ye likhun k ab mujhe marne ka shoq hai..?
Lekin maroon b to kis k liye..?
Kon hai jo mujhe kaandha dega..?
Kon hai jo mujhe yaad krega..Wo??
Jo jeete jee baat nahi krte..Ya Wo.?
Jo bhule se b yaad nahi krte..
Wo kya royenge meri miyyat par..
Jo mere zinda hone ka ehsas tak nahi krte..
Ab aur kya likhun k ab to Qalam b saath nahi dega..
Chalo aisa krta hun k ab kuch nahi likhta..
Qalam ko tor deta hunMe likhna chor deta hun
Wo kya choray ga mujhe Dost?
Me khud uski dunia chor deta hun ..

..............

Kya MiLay Ga Tujhe Zanjeer-e-Rafaqat Torr Kar...!
Main Bhi Tanha,Tu Bhi Tanha Aur Tamashai Bohat...

...........

Kya us ka gila ki jiye ur se pyr hi kab tha,
Wo ahad faram0sh wafa dar hi kab tha?
Us ne to sada po0je hain urte howe jugnu,
Wo chand sitaron ka paristaar hi kab tha,
Hum doob gaye jaagti raton ke bhanwar main,
Haath us ka hamare liye patwar hi kab tha?
Awaz jo main do0n to kisi aur ko choo le,
Iss ankh micholi se wo bezaar hi kab tha?
............

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails