Main usko phir naye khuwabon ka daan de aya,
Zameen bun k usse aasmaan dae aaya,
Khuda k waastay milnay ki raah day mujhko,
Gham-e-firaq ka her imtayhaan dae aaya,
Na ki zara bhi wazahat kisi bhi jazbay ki,
Usse yaqeen tha or main gumaan dae aaya,
Woh chahata tha k ho karobaar-e-ishq wasi.
Main usko dard ki sari dukaan day aaya,
Bara fareeza tha tableegh-e-ishq mere liye,
Main munkeroon ki zameen per azaan dae aaya.....!!
..........
Maine kaha mere lye B dua kya kro
Us ne kaha is ki na fikar kya kro
Me ne kaha mere zehan pe rehta hai bojh sa
Us ne kaha chup k se kahin ro lya kro
Maine kaha tere khwab jaga dete hen
Us ne kaha raaton ko socha na kro
Me ne kaha raaton ko neend nhi aati he
Us ne kaha soney ki koshish to kya kro
Me ne kaha dil me teri yaaden hen
Usne kaha k dil ko samjhaya kro
Me ne kaha tere milne ki umeed hai kya?
Usne kaha qismat pe bharosa kya kro.
............
Maktab-e-Ishq mein pesh aaye "Sawalon" ki tarah,,
Hum pareshan hi rahe apne "Khayalon" ki tarah,,,
Jab b anjaam-e-mohabat ne pukara khud ko,,,
Waqt ne pesh kiya hum ko "Misaalon" ki tarah,,,
Zikr jab ho ga mohabat mein tabaahi ka kahin,,,
Yaad "Hum" aayen ge duniya ko "Hawaalon" ki tarah~
..........
Mein sabi khwab churati teri Aankhon se mgr,
Teri palkon ko khabr'dar na hone deti,
Mein sabi rang churati tere chehre se mgr,
Be'Asar tere lab,o,Rukhsar na hone deti,
Tujse milti teri sanson se mila kr sansein,
Aik B saans Gunehgar na hone deti,
Mein tuje dukh B sunati to latifon ki tra,
Mein tabiyat teri Bezar na hone deti,
Mein girhein kholti sab teri shanasayi ki,
Tujko is tra pur israar na hone deti..
.............
mEra DaRd...
mEri CiGgrAtTe Ki TaRah He
JiSsAy maiN naY....
sAb SaY ..
cHuPa k pIyA He ..
...........
Mera milna koi mushkil nahe ha
Tou jb chahy mjy zanjeer kar le
Koi JadoO nahe chalta mjh par
Muhabat se mjy Taskheer kar le.....
.........
Meray rabt-e-khyalat min kia rakha hai
Mai tu pagal hun mere baat min kia rakha hai
Bandh rakha hai tere yad nay mazi say mujhay
Warna guzray hoay lamhaat min kia rakha hai
To na mil paey tu aur kia Khuda say mangon
Tu alag ho tu mere zaat min kia rakha hai...
..........
Meri Hasrat k Janazay kø uthany wale
Kitne Be Dard hen ye Løg Zamanay wale
Køi Apna hi Nhi Matlab ki hai Dunya sari
Ab kahan Milte hen wø Yar purane wale
Me dua gø hun teri Neend Mubarik hø tujhy
Hijr ka dard Mujhe de k Jaganay wale
Bas yhi søch k hr Baar Manata høun usay
Løt k Aate Nhi Røøth k Jane wale
Un k Seenøn Me kabhi Jhaank k daikhø tø Sagar
Kitne Afsurda hen aurøn kø Hansanay wale".
........
Meri Jan Phoolon jesi he
Wo bilkul hooron jesi he
He chand nagr ki rani wo
He jese rat mstani wo
He meri prem kahani wo
Roshan wo ujalon jesi he
Wo mere swalon jesi he
Wo shola b wo shbnm b
Wo zulf ghta si rkhti he
Wo aankh dua si rkhti he
Wo dhop me chaun jesi he
Sawan ki ghtaon jesi he
Titli ki adaon jesi he
Wo malika chand sitaron ki
Wo khushbu bag_ baharon ki
"Meri Jan Phoolon Jesi He"
"Wo Bilkul Hooron Jesi He ?
No comments:
Post a Comment