Feb 17, 2010
ghazals3
Ab KhayaLon May Ik KhayaL Hai TU^
^Tere Jesa Koi Nhi Dekha,Tu Hai AnmoL,
BemisaaL Hai TU^
^Mujhko PagaL Bana Diya TU Ne,
Ishq Ka Kesa Ye KamaaL Hai TU^
^TU Muhabbat Hai,Aarzu Hai Meri,
Meri Is Zindagi Ki DhaaL Hai TU^
^Sari Dunya Ko Jeet Loon Jis Se,
Paas Mere Ek Aisi ChaaL Hai TU^
^Tere Dam Se HiPyar Zinda Hai,
Yaad-e-Maazi,TaLash-e-HaaL Hai TU.
............
Sar-e Mizgaañ Chamaktey Aansuoñ Ki Jagmagahat Se
Pas-e Girya Meri Jalti Aankhon Ki Hiddat Se
Sawaal-e Wasal Se Mehroom Hontoñ Per
Dua-e Shab Ki Hurmat Se
Ussey B Aashna Kar De Mohabat Mojiza Kar De....
Azaab-e Tishnagi Sehti Hoi Saansoñ Ki Wehshat Se
Mere Jazbon Ki Shiddat SeMere Harf-e Mohabat Se
Meri Tanha Musaafat SeUssey B Aashna Kar De
Mohabat Mojiza Ker De...
Mere Sehn-e Hunar Main Roshni Krtey Khyaaloñ Ki Tilaawat Se
Mere Sher-o Sukhan Main Harf-o Maani Ki Hikaayat Se
Ussey B Aashna Kr DeMohabat Mojiza Kr De...
Faseel-e Dil Pe Likhi Dard Ki Pinhaañ Abaarat Se
Mohabat Ko Badan Ki Aakhri Saansoñ Ki Hadd Tak Nibha Deney Ki Aadat Se
Usey B Aashna Kr DeMOHABAT MOJIZA KER DE...
./...........
Sirf eik shakhs ki khatir mujhe barbad na kar........
Roz roty howe kehti hai zindagi mujh say...!
.........
T0rr Gya W0 Hum Sy Her Ta'aluq Faqt Itna Keh K ..
Ujjray Howe L0g0'n Me Hum Basa Nahi Kerte..
.......
Tanha mosum hai or udas raat hai
Wo mil k bichar gaya ye kaisi mulaqat hai
Dil dharak tu raha hai lekin awaz Nahi
Wo dharkan bhi le gaya kitni ajeb bat hai.
..........
Tanha Tanha lgta hai,Aadi Raat ka pora Chand,
Dil say Batein karta hai,Aadi Raat ka Pora Chand,
Us K Piyar main Khoy hmUs ki Khatir Roy hm,
Dekh kar Aksar Hansta hai,Aadi Raat ka Pora Chand,
Ek Din thi Tnhai boht,Yaad Uski ai boht,
Bilkul Us sa lgta thaAadi Rat ka Pora Chand.
...........
Feb 9, 2010
ghazals3
main ghazal ki palken sanwar lon,
mera lafz lafz ho aaina,
tujhe aaine main utaar lon,
main tamam din ka thaka hua,
tu tamam shab ka jaga hua,
zara tehar ja isi mor par,
tere saath shaam guzar lon,
kahi ajnabi teri raah main,
mere paas se yun guzar gaye,
jinhe dekh kar yeh tadap hui,
tera naam le ke pukar lon....
.........
.........
Kitaab-e-DiL mein jo nafrat ka baab rakhta tha,
Wo chahaton ka mukammal HISAAB rakhta tha.
Faraib deta raha dosti ke pardoun mein,
Woh shakhs chehray pe kitne NAQAAB rakhta tha.
Usi ke hath mein pathar dikhai deta tha,
Jo apne hath mein har dam GULAAB rakhta tha.
Wo shakhs jo bhatakta dikhai deta tha,
Rah-e-wafa mein qadam KAAMYAAB rakhta tha.
Kahan talash kron uss ko aaj main )J
o apni baat mein apna JAWAAB rakhta tha...
..........
Wo Mere Pas Bhaithe Hain
kaho Lamhon Se Tham Jayein
Kabi Bhi Door Nazron Se Na Wo Jayein
Na Hum Jayein
Ajab Hain Rog Chahat Kay
Suno Neendein Nahi Ati
Kisi Kay Khawab Ankhoun Mein
Agar Bachpan Se Jam Jayein...!!
....
Dar-e-Fana me Naqsh-e-Baqa chorr jaon ga,
Main apne baad apni sada chorr jaon ga,
Hain or b Chaman Meri Khushbu k Muntazir
Main is Chaman ko Misal-e-Saba chor jaon ga,
Doon ga kali kali ko payam_e_shguftagi,
Gulshan main ek husn_e_ada chorr jaon ga,
Le jaon ga main apni wafa ko b apne sath,
Duniya k paas yaad_e_wafa chorr jaon ga,
Jo mere dil pe zakham lagatey rahy sada,
Main un k wastey b Dua chorr jaon ga,
.........
ghazals3
bohat kara hay safar thori door sath chalo
tamam umr kahan koe sath deta hay,
yeh janta hoon mager thori door sath chalo
nashay may choor hoon main bhi tumhain bhi
hosh nai bara maza ho ager thori door sath chalo
yeh aik pal ki mulaqat bhi ghanimat hay
kisay hay kal ki khabar thori door sath chalo
abhi to jag rahay hai charagh raho main
abhi hay door sehr thori door sath chalo
tawaf-a-manzil-a-jana humain bi krna hay faraz
tum bi ager thori door sath chalo.Wa§¡M
/.......
Jab Kabhi Reh Gaye Apni Zaat Main Tanha,To Yaad Aaonga..
OrNa Chala Qadam Se Qadam Koi Saath,To Yaad Aaonga..
Main Teri Ankhon Ka Ishara B Samajh Leta Hon,
Na Samajh Saka Koi Dil Ki Baat,To Yaad Aaonga..
Din Ka Har Ek Pal Guzrega Tum Pe Jab Kahin,
OrTanha Kategi Raat,To Yaad Aaonga..
Har Bazi Jaan Kar Tumse Haar Jata Hon,
Jab Dega Koi Maat,To Yaad Aaonga..
Hansne Ko To Dunya B Hansti Hai Saath Saath,
Na Roya Dukh Main Koi SaathTo YAAD AAONGA..
.......
Hamari yad staye to phir chale aana,
kahen qrar na aaye to phir chale aana,
Hr shakhs nhi dunia mein pyar k qabil,
ksi pe pyar na aay to phir chaly aana,
tera waqaar rahe ga hamari nazron mein,
nazr se koi giraey to phir chale aana,
khuda kry k baharon mein teri zindagi guzrey,
khizan ka khouf staaey to phir chaly aana,
dard ki halat mein b dunia ko hsaney wale,
agr!tuje dunia rulaaey to phir chale aana,,
.........
"Tmhe kia maloomK dukh kia hota he!
Kisi k chor jane seKisi k yad aane se
Jinhen bhula na sakoUn k roth jane se
Un k bhulany seKesa dard hota he!
K jese barsat k bad bhi zamen piyasi ho,
Jese khushyon main bhi udasi ho,
Jese hajom main bhi tanhai ho,
Jese kari dhoop main saya na mile,
Jese girte hoe ko sahara na mile,
Jesy kisi drya ko kinara na mily,
Tmhy kia maloom aese main dil ka aalm kia hota he
,"Tmhe kya maloom dukh kya hota he
..........
Ab koi gham koi jnoon b nahin,
Magar qarar se din cut rhy hon youn b nahin,
Lab-o-dahan b mila'guftgoo ka fun b mila,
Magar jo dil pe guzrti hai keh skoon b nahin,
Na jany q meri ankhein brasny lagti hain,
Jo such kahon to kuch aisa udas hon b nahin,
Meri zuban ki luknat se badguman na ho,
Jo to ko paani pe mere naqsh banae ga dair tak. . .
Kis haal mein hon zinda us k bagaer main,
Sun kar usey yaqeen na aaega dair tak..
............
Feb 8, 2010
ghazals3
Tuj Sy Agy Ka Safr Dekh K Dar Jata Hon,
Roz Dhalty Howey Suraj Ki Tarha Sham Gaye,
Main B ek Dard K Darya Main Utar Jata Hon,
Wo B Chup Chup Si Kahin Baith K Roti Ho Gi,
Main B Raton Ko Zaraa Dair Sy Ghar Jata Hon,
Main Ne B Jurm E Baghawat K Sitam Jhiley Hain,
Main B Ab Log Jidhar Jayen Udhar Jata Hon,
Chal Para Hon Main Zamany K osolon Pe wm,
Main B Ab Apni Baton Sy Mukar Jata Hon...!
...........
"Us ne pukara to larz gai mery dil ki zamin!
"Peechy mur k dekha to wo mukhatib kisi aur say tha".
.........
"WAJHA"
Sub pochty hain k
Tum ny sha'iri kyun chor di
Muddaton se kuch kyun nahi likha?
Kese keh doon
K ab . . .
DUKH lafzon me
Bayaan nhi hoty . .
........
~ Mosam_e_Hijr k Lamhat Koi Kya Jane,_
Kya Guzarti hai Mere Sath Koi Kya Jane,~
Dooriyon me b Tere Sath Marasim hain Wohi,_
Roz hoti hai Mulaqat Koi Kya Jane,~
Log Hansti hui Aankhon pe Yaqeen rakhte hain,_
Mere Aanso Mere Jazbaat Koi Kya Jane," ~
Ek Tu hai Jise Maloom hain Sari Baaten,_
Shab_e_Hijran Mere Halaat Koi Kya Jane,"~
Koi Kya Jane k Khamoshiyan Kya Kehti hain,_
Meri Aankhon k SawalatKOI KYA JANE..
.........
=Ashk-e-RawanMein itniShiddat nahinDekhi..=
Pehle kabhi dil kiYeh haalat nahinDekhi..=
Har shakhs kiAnkhon meinLahu dekha hay..=
Tere shehr kLogon meinMuhabat nahinDekhi..=
Tu kinarey kaShajar hayTalatum seBe khabar hay..=
Tune kabhiLehron kiBaghawat nahinDekhi..=
1 muddat se yehAankheinSoi nahin faraz..=
1 arsay se jo Teri Soorat nahin Dekhi..!!
.,,............
Aana hai to khud he chale aao,
Apni to aadat hai bulaya nahi karte,
Kabhi humse khafa hone ka tasawwur b na karna,
Hum aise sitam gar hain manaya nahi karte,
Jis dar pe gaye hain aik bar gaye hain,
Phr laut kar kabi us dar pe jaya nahi karte,
Ankhon se pilao gy to aa jayengy peene,
Paimaano'n se pene tau hm jaya nahi karte,
Apna to shaiwa hai gaur se sun lo,
Khud he tarap lete hain tarpaya nhi krte....!
Jan 19, 2010
Go Zara c Baat Pe..!!
Gulaab rut mei haseen chehro hamen btao udaas Q ho?
Dilon pe beeti h0wi sari kahanyan sab sunao udaas Q ho?
Jo ranijshen dil mein pal rahi Hei munafqat mei wo dhal rahi hai
Bhula k shikweymita k doori galey lagao udaas Q ho?
Kitab-e-dil k tamam safhon pe hamne likha he lafz mohabbat
Hamein khud wafa k aagey saza sunao udaas Q ho?
Mohabton ka ho jis mei shamil suroor saqi wo maey pilao
Sharab khany mei ghup andhera he dil jalao udas Q ho?
Fareb khana b mashghla he fareb dena b mashgla he
To dil k lutney pe kesa maatam!khushi manao udas Q ho..?
.............
Go Zara c Baat Pe..!!
Go zara c baat pe bars0n k yaranay gaye
Lekin itna t0u hua kch l0g pehchanay gaye
Mei isay sh0hrat kahun ya apni ruswai kahun
Mujse pehle us gali mei mere afsanay gaye
Yun t0u wo meri rag-e-jan se bhi thay nazdeek tar
Aansu0n ki dhund mei lekin na pehchanay gaye
Wehshatain kch is trha apna muqaddar ho gaeen
Hum jahan p0hnchay hamaray sath veeranay gaye
Ab bhi un yad0n ki khushb0o zehn mei mehf0oz hY
Baar-ha hum jin se gulzar0n k0 mehkanay gaye
Kya qayamat hY k khatir kishta-e-shab bhi thay hum
Subh0 bhi ai t0u mujrim hum he gardanay gaye.
............
Halat K Kadmon Pay..!!
Halaat k qadmoun pay qalandar nahi girta
Tootay bhi jo tara to zameen par nahi girta
Girtay hn samandar mein bharay shouq se darya
Lekin kisi darya mein samandar nahi girta
Samjho wahan phal dar shajar koi nahi hY
Woh sehan keh jis mei koi pathar nahi girta
Hairan hY kai roz se thehra huwa paani
Talaab mei ab kyun koi kankar nahi girta
Iss banda-e-khudaar pay Nabiyon ka hY saaya
Jo bhook mei bhi luqma-e-tar par nahi girta
Qaiyam hY Qateel ab woh meray sar k satoon par
Bhoonchaal bhi aye to mera ghar nahi girta...!!
..............
Ham ahl-e-wafa husn ko ruswa nahi kartay~
Parda b uthay rukh se to dekha nhi kartay~
Kar laitay hain dil apna tasawar he say roshan~
Moosa ki tarha toor pe jaya nhi kartay~
Rakhtay hain jo auron k liya pyar ka jazba~
Wo log kabi toot k bikhra nhi kartay~
Kehti hay to kehti rahay maghroor ye dunyaà=
Ham murh k kisi shaks ko dekha nhi kartay~
Hm log to mah nosh hain badnam hain lakin~
Pakeeza jo log hain kya kya nhi kartay~
..............
HaMari hasti mita rahe ho, tumhari marzi
Nishan-e-ibrat bana rahe ho, tuMhari marzi
Mere jigar mein jafa k khanjar utaar kar tum
Wafa k naghme suna rahe ho,tuMhari marzi
TuMhari khaatir jo sari duniya ko chhor aaye!
Usi se daman chhura rahe ho,tumhari marzi
Meri umeedon k aashiyane ujaar kar tum
Kisi ki duniya basa rahe ho,tuMhari marzi
TuMhara deedar ek bahisht-e-nazar hai lakin
TuM apna chehra chupa rahe ho Tumhari Marzi.
Wa§¡
...............
TUM KYUN yAad AatY hO?
Har Hasseen Mousam ki,Har Hasseen Barish mey,
Dard Tum Jagatay Ho,Bewaja Statay Ho,
Mousamo k Lutuf ko Tum,Dard Mey Bahaty Ho,
Zindagi K Nam Se Tum,Je Mera Jalaty Ho,
Lutf k Sabhi Lamhe,Yad Mey Ganvatay Ho,
Har Haseen Mousam Ki,Har Haseen Barish Mey,
TUM KYUN yAad AatY hO?
.........
Sep 4, 2009
ghazals3
Kaise Mumkin Hai Unse Khafa Ho Jaaoon......
Jinki Dehleez Se Wabasta Hai Zindagi Apni,
Kaise Mumkin Hai Unse Juda Ho Jaaoon...............
Bhooloon Kaise Biti Jo Shaam Unke Aagosh Mein,
Aur Wo Kehte Ke Main Unhe Bhool Jaaoon.....
Mumkin Nhi Hai Unke Ahsaas Ko Bhulana Bhi,
To Kaise Na Yaad Karoon Unko,aur Kaise Bhool Jaaoon.........
................
uske bazuo me simat kar
uski dhadkanau ko sunna
bada yaad ata hai
uska mere hathau pe haath rakhna
aur mujhe apne qareeb bulana
bada yaad ata hai
mujhe seene se laga kar
mujhe pyar karna bada yaad ata hai
uski muskurahat ankhau se jhalakta pyar
bada yaad ata hai
uska mujhe chedna aur
pyar ka iqraar bada yaad ata hai
uska haq jatana
mere ahmiat apni zindagi me batana
bada yaad ata hai
mai jo rooth jawu
mujhe samjhana
bada yaad ata hai
ye yaadein mujhe rulati hai
mujhe besabra banati hai
kya karu
ke meri har dhadkan
tum ko paas bulati hai ..........
...............
Mujh se bechar kar roota hoga
Gum ko kitna samjhata hoga
Jin rahoon per chalta hoga
Meri yaad main tarapta hoga
Zinda ab main kaisay rahoon gi
Shayad gher main soochta hoga
Mujh se jo keh na saka woh
Ab who khud se kehta hoga
Guzri batain guzray lamhay
Yaad woh ker kay roota hoga
Fursat issay ho kay na ho
Khat woh phir bhi likhta hoga
Udaas dil veraan aankhain
Rasta mera deekhta hoga
Sanjeeda hogaya hoga shayad
Ab na shararat kerta hoga
Mujh se becher ker roota hoga
Gum ko kitna samjhata hoga ..
................
Jahan jao gay humain paoo gay
Dil ki gahraiyon mei outar chokay hain hum
Her waqt humain socho gay
Zahan ki parchiyon mei outar chokay hain hum
jahan jao gay humain dekho gay
Nazar kay nazaron mei chah chokay hain hum
Jahan jao gay humain mahsoos karo gay
Sansoon ki khushbo mei outar chokay hain hum
Jahan jao gay humain yaad karo gay
Yadoon ki wadii mei outar chokay hain hum
Kuch bhi ho jaye humain bhol na paoo gay ab
Tere rooh ki gahrayon mei outar chokay hain hum ...
............
Kuch aur sochne ki zarorat nahi mujhe,
Tere siwa kisi se mohabbat nahi mujhe,
Rehta hai bas tera hi mujhe raat din khayal,
Main tujh ko bhol jaon yeh taqat nahi mujhe,
Kal shab tumhari yaad mein aanso chilak pade,
Ab kuch bhi kehne ki hajat nahi mujhe,
Kis ko sunaon jaa ke mein apna yeh hal-e-ahewal,
Tum ne to keh diya hai ke fursat nahi mujhe,
Khushiyon se ab nahi hai koi rabta mera,
Pal bhar tumhare ghum se faragat nahi mujhe,
Sab kuch ujar gaya mera khuwabon ke sath sath,
Faraz magar kisi se shikayat nahi mujhe...
.........
Kabhi meri yad sataye to lot ana..
kabhi dil gabraye to laut ana...
ghairon ko tu ne dil me basa lia hai...
tere dilbar tum ko thukraye to laut ana...
Hazaron zakham tu ne mairay dil ko diye...
jab tera koi dil dokhaye to laut ana...
jeewan ujaar k mera buhat khosh hoo tum...
zindagee tairee koi barbad kar jaye to laut ana...
meri zindagi me tu khizan bikher gaye they tum...
agar bahar tum sa root jaya to laut ana...
zamane k sath aaj tum bohat khush ho na...
agar zaman tum ko chor jaye toh laut ana...
dil tera b jab zakhmo se choor jaye...
koi b tum ko na apnaye toh laut ana...
.............
mohabat main sogwaar ho gayi hoon
main hijar se dochaar ho gayi hoon
koi naqash-e- pa nahi mujh pe barson se
main ik rah-e- dushwaar ho gayi hoon
kabhi pyar ki barkha mujh pe bhi barsi thi
ab to ik raigzaar ho gayi hoon
kabhi zamana apni misaal deta tha "Fizza"
aaj harf-e- be aitbaar ho gayi hoon .
..............
too mera naam na pocha kar
main teri zaat ka hissa hon
main teri soch main shamil hon
main teri nend ka qissa hon
main tere khawb ka hasil hon
main teri yad ka mehwar hon
main teri sans ka jhonka hoon
too manzar, main pas-e-manzar hoon
main lamha hoon,main jazba hoon
jazbe ka koi naam nahi hota
too mera naam na poocha kar
main teri zaat ka hissa hon
.................
ham choti choti ankhon wale
ham roti roti ankhon wale
ham bikhri bikhri zulfon wale
kabhi tanha beth k aansu peete hain
kabhi gam k haar pirote hain
ham tanha tanha pagal pagal
dhonden har pal tera aanchal
mehfil main beth k rote hain
kabhi ghar a k rote hain
ham beech bhanwar main rehne wale
har pal dukh sehne wale
raat bhar taray takte hain
din ko lambi taan k sotay hain
kai swaal uthte hain
jazbe bemisaal uthte hain
dil wale aise kioun hote hain
dil wale waise kioun hote hain ..........
............
br:
Ch Zulfiqar Ali
Aug 31, 2009
Jab Joban Tera Dhal Jaeye
Jab Joban Tera Dhal Jaeye
Jab Pyar Ki Umer Niakl Jaye
Jab Chor De Tujh Ko Husan Tera
Jab Chehra Pur Ho Jhurion Se
Jab Zulf K Kham Na Baqi Hun
Jab Rangat Na ho Gaalon Mein
Jab Chandni Utare Baalon Mein
Jab Aankh Ki Masti Toot Chuke
Jab Hont Bhi Surkhi Kho Jaein
Jab Chor Dein Tujh Ko Sub Sathi
Jab Koi Na Tujh Ko ApnayeTab...!!!
Mere Pass Chale Aana
BAsti Ki Sooni Galiyon Mein
Ek Betha Ho Ga Deewana
Jo Pyar Ka Paras Pathar Hai
Jo Tujh Ko Sona Ker De ga....
Tere Joban Ko Wo Kia Jane???
Teri Umer Se Uska Kia Matlab???
Tere Jism Se Uska Kia Rishta???
Jisay Kehte Ho Tum Harjayi
Hai Tere Naam Ka Shaidai..
................
Tum Yaad Aatey Ho..!
Jab Kabhi Choudhwen Ka Chand Dekhon
Tum Yaad Aatey Ho.....
Jab Kabhi Subha Ki Pehli Kiran Dekhon
To Tumhari Muskurahat Yaad Aati Hai....
Jab Kabhi Souraj Ko Dhalta Dekhon
To Tumharey Gham Yaad Aatey Hain...
Jab Kabhi Parindon Ki Chechahat sunoo
To Tumhari Madham Madhosh Awaz Sunai Day
Jab Kabhi Gulab Ko Khilta DekhonTo Tumharey Labb Yaad aaye......
Jab Kabhi Barstey Badal dekhon
To Tumhari Yaad Main Doobi...
Woh Shaam Yaad aaye
Jab Kabhi Barish Main Moti Ki Manind
Chamkti Boond Ko dekhon
To Tumhari piyasi Ankhin Yaad Aaye
Jab Kabhi Andheri Raat Main Chamktey Sitaron Ko Dekhon
To Tumhari Nazroon Ki Shirarat Yaad Aaye..
Jab Kabhi Chand ko,
Phool Ko,
Barastey Badlon Ko Dekhon
To Tumhari Yaad AayeBuss...
Jab Jab Main Saans Loon
To Tum Yaad Aatey Ho...!!!
..................
Jadugar Si Aankhein
SADHA SAY EK CHERAY PER KIA JADUGAR SI AANKHEIN HAIN
JO DEKHAY IN KA HO JAE.....
JO UTRE WOH TEHAR NA PAE......
KITNAY SAPNE JAAG RAHE HAIN......
IN PALKOON K SAEY SAEY
SHAMA SEHAR SI ! CHRAH GAR SI ! NAMA BARSI ANKHEIN HAIN
ANJANI PEHCHANI BHI........
APNI AUR BEGANI BHI........
EK HI MAN ZAR KA HISSA HAIN......
AKS BHI HERAANI BHI......
SAHIL JESI LAGTIIN HAIN AUR BHANWAR SI ANKHEIN HAIN
SADHA SAY EK CHARAY PAR KIA JADUGAR SI ANKHEIN HAIN
.............
Woh Ishq..
Woh ishq jo hum tum karte thy woh ishq tu zinda ab bhi hai,
Kal tak jo hijar sataata tha us hijar ka pehra aaj bhi hai.
Tum dur hoye majboori mai, hum toot gaye is dori mai,
Kabhi waqt milay tu aa jana dil ka darwaza khula aaj bhi hai.
Woh saahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde saahil per,
Woh nam darakhton per likhna woh khwab suhana aj bhi hai.
Tum khush rehna dil ki duniya apni tu chalo barbaad hui,
Dil gham ka maara kal bhi thaa aur gham ka maara aaj bhi hai.
Yeh ashk nahi hain ankhon mein yeh taray jhilmil karte hain,
In ankhon mai jo kal tak tha woh chand sa chehra aj bhi hai.
......................
Dukh AnMoL Hote HaiN...!
Dukh anmol hotey hain,
Qudrat ki wadiyat hotay hain
Kabhi kuch day kar jatay hian
Kabhi sub kuch cheen laitay hain
Kabhi bechain kartay hain
Kabhi jeena sikhatay hain
Kabhi bantay hain jab aansoo
Umer bhar yeh roolatay hian
Kabhi lab ki hansi ban kar
Naie duniya sajatay hian
Kabhi meethi kasak ban kar
Anjani khalish ban kar
Makeen-e-dil yeh bantay hain
Kisi sourat nahin mittay
Jo in say door bhago tou
Nahin janay nahin daitay
Na zindah rehnay daitay hain
Na yeh aazad kartay hian
Nahin jis ki dawa koi
Yeh aisa dard hotay hain
Magar yeh bhi haqeeqat hai
Har ik ko tou nhain miltay
Baray nayaab hotay hain,
Yeh dukh anmool hotay hian...!-
.............
Posted By..
Ch Zulfiqar Ali