Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Banane Wale.!¡!
Ab Na Aayen Gey Palt Kar Kabhi Jane Wale.!¡!
Kia Mile Ga Tujhe Bikhre Howe Khwabon K Siwa,
Rait Par Chaand Ki Tasveer Banane Wale.!¡!
Sab Ne Pehna Tha Bare Shoq Se Kaghaz Ka Libas,
Jis Qadar Log The Barish Mey Nahane Wale.!¡!
Mar Gae Hum To Ye Kutbey Pe Lekha Jae Ga,
So Gae Aap Zamane Ko Jagane Wale.!¡!
Dar O Dewar Pe Hasrat si Brasti Hai Qateel,
Jane Kis Des Gay Piaar Nibhane Wale.!¡!
.........
Lo samait loMeri kirchiyan,,
Merey haq maKoi Duaa karo,,
Mujhey manzilon Ki talash ha,,
Merey sath Tum B chala karo,,
Mujhey zindagi Se mila hi kiya?
Mujhey zindagi Ne diya hi kiya?
Dar-o-baam Sab hi ujar gaye,,
Mere sath"TUM TU WAFA KARO".
..........
Main Aaina hun wo mera khayal rakhti hai,
Main to0t'ta hun tou chun kar sambhal rakhti hai,
Har ek maslay ka hal nikal rakhti hai,
Zaheen hai mujay hairat main daal rakhti hai,
Main jab b tark-e-tal'luq ki bat karta hun,
Wo rokti hai mujay, kal pay taal rakhti hai,
Wo mere dard ko chunti hai apnay pooro'n se,
Wo meray waastay khud ko nidhaal rakhti hai,
Wo do0bnay nhn diti hai dukh k darya main,
Mere wajod ki naow uchaal rakhti hai,
Ek aisi dhun, k nhn phr mainay kbi suni,
Wo munfarid hai hansi main kamal rakhti hai,
Bichar k us se dunya ki thokro'n main ho0n,
Wo pas ho tou mujay lazwaal rakhti hai,
Wo muntazir meri rehti dhoop main,
Main loat'ta hoon tou chaoon nikal rakhti hai. . . !
.........
Main Apni Rööh Ki Pushak Bhi Usey Pehna Doon ,
Wo Meri Zaat Mein Utarne Ka Faisla To Kray¤
,,,,,,,,,,
Main Doob ke Ubhra To Buss Itna Hi Dekha,
Auron ki Tarha Tu Bhi kinare Pe khara Thaa.
,,,,,,,,,,,,
No comments:
Post a Comment