Udas Kyun Ho...!
Gulaab rut mei haseen chehro hamen btao udaas Q ho?
Dilon pe beeti h0wi sari kahanyan sab sunao udaas Q ho?
Jo ranijshen dil mein pal rahi Hei munafqat mei wo dhal rahi hai
Bhula k shikweymita k doori galey lagao udaas Q ho?
Kitab-e-dil k tamam safhon pe hamne likha he lafz mohabbat
Hamein khud wafa k aagey saza sunao udaas Q ho?
Mohabton ka ho jis mei shamil suroor saqi wo maey pilao
Sharab khany mei ghup andhera he dil jalao udas Q ho?
Fareb khana b mashghla he fareb dena b mashgla he
To dil k lutney pe kesa maatam!khushi manao udas Q ho..?
.............
Go Zara c Baat Pe..!!
Go zara c baat pe bars0n k yaranay gaye
Lekin itna t0u hua kch l0g pehchanay gaye
Mei isay sh0hrat kahun ya apni ruswai kahun
Mujse pehle us gali mei mere afsanay gaye
Yun t0u wo meri rag-e-jan se bhi thay nazdeek tar
Aansu0n ki dhund mei lekin na pehchanay gaye
Wehshatain kch is trha apna muqaddar ho gaeen
Hum jahan p0hnchay hamaray sath veeranay gaye
Ab bhi un yad0n ki khushb0o zehn mei mehf0oz hY
Baar-ha hum jin se gulzar0n k0 mehkanay gaye
Kya qayamat hY k khatir kishta-e-shab bhi thay hum
Subh0 bhi ai t0u mujrim hum he gardanay gaye.
............
Halat K Kadmon Pay..!!
Halaat k qadmoun pay qalandar nahi girta
Tootay bhi jo tara to zameen par nahi girta
Girtay hn samandar mein bharay shouq se darya
Lekin kisi darya mein samandar nahi girta
Samjho wahan phal dar shajar koi nahi hY
Woh sehan keh jis mei koi pathar nahi girta
Hairan hY kai roz se thehra huwa paani
Talaab mei ab kyun koi kankar nahi girta
Iss banda-e-khudaar pay Nabiyon ka hY saaya
Jo bhook mei bhi luqma-e-tar par nahi girta
Qaiyam hY Qateel ab woh meray sar k satoon par
Bhoonchaal bhi aye to mera ghar nahi girta...!!
..............
Ham ahl-e-wafa husn ko ruswa nahi kartay~
Parda b uthay rukh se to dekha nhi kartay~
Kar laitay hain dil apna tasawar he say roshan~
Moosa ki tarha toor pe jaya nhi kartay~
Rakhtay hain jo auron k liya pyar ka jazba~
Wo log kabi toot k bikhra nhi kartay~
Kehti hay to kehti rahay maghroor ye dunyaĆ =
Ham murh k kisi shaks ko dekha nhi kartay~
Hm log to mah nosh hain badnam hain lakin~
Pakeeza jo log hain kya kya nhi kartay~
..............
HaMari hasti mita rahe ho, tumhari marzi
Nishan-e-ibrat bana rahe ho, tuMhari marzi
Mere jigar mein jafa k khanjar utaar kar tum
Wafa k naghme suna rahe ho,tuMhari marzi
TuMhari khaatir jo sari duniya ko chhor aaye!
Usi se daman chhura rahe ho,tumhari marzi
Meri umeedon k aashiyane ujaar kar tum
Kisi ki duniya basa rahe ho,tuMhari marzi
TuMhara deedar ek bahisht-e-nazar hai lakin
TuM apna chehra chupa rahe ho Tumhari Marzi.
Wa§¡
...............
TUM KYUN yAad AatY hO?
Har Hasseen Mousam ki,Har Hasseen Barish mey,
Dard Tum Jagatay Ho,Bewaja Statay Ho,
Mousamo k Lutuf ko Tum,Dard Mey Bahaty Ho,
Zindagi K Nam Se Tum,Je Mera Jalaty Ho,
Lutf k Sabhi Lamhe,Yad Mey Ganvatay Ho,
Har Haseen Mousam Ki,Har Haseen Barish Mey,
TUM KYUN yAad AatY hO?
.........
No comments:
Post a Comment