RSS

Feb 9, 2010

ghazals3

Abhi is taraf na nigah kar,
main ghazal ki palken sanwar lon,
mera lafz lafz ho aaina,
tujhe aaine main utaar lon,
main tamam din ka thaka hua,
tu tamam shab ka jaga hua,
zara tehar ja isi mor par,
tere saath shaam guzar lon,
kahi ajnabi teri raah main,
mere paas se yun guzar gaye,
jinhe dekh kar yeh tadap hui,
tera naam le ke pukar lon....

.........

.........
Kitaab-e-DiL mein jo nafrat ka baab rakhta tha,
Wo chahaton ka mukammal HISAAB rakhta tha.
Faraib deta raha dosti ke pardoun mein,
Woh shakhs chehray pe kitne NAQAAB rakhta tha.
Usi ke hath mein pathar dikhai deta tha,
Jo apne hath mein har dam GULAAB rakhta tha.
Wo shakhs jo bhatakta dikhai deta tha,
Rah-e-wafa mein qadam KAAMYAAB rakhta tha.
Kahan talash kron uss ko aaj main )J
o apni baat mein apna JAWAAB rakhta tha...

..........

Wo Mere Pas Bhaithe Hain
kaho Lamhon Se Tham Jayein
Kabi Bhi Door Nazron Se Na Wo Jayein
Na Hum Jayein
Ajab Hain Rog Chahat Kay
Suno Neendein Nahi Ati
Kisi Kay Khawab Ankhoun Mein
Agar Bachpan Se Jam Jayein...!!
....

Dar-e-Fana me Naqsh-e-Baqa chorr jaon ga,
Main apne baad apni sada chorr jaon ga,
Hain or b Chaman Meri Khushbu k Muntazir
Main is Chaman ko Misal-e-Saba chor jaon ga,
Doon ga kali kali ko payam_e_shguftagi,
Gulshan main ek husn_e_ada chorr jaon ga,
Le jaon ga main apni wafa ko b apne sath,
Duniya k paas yaad_e_wafa chorr jaon ga,
Jo mere dil pe zakham lagatey rahy sada,
Main un k wastey b Dua chorr jaon ga,
.........

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails