Jinke Roothne Se Machal Jaati Hai Tabiyat Apni,
Kaise Mumkin Hai Unse Khafa Ho Jaaoon......
Jinki Dehleez Se Wabasta Hai Zindagi Apni,
Kaise Mumkin Hai Unse Juda Ho Jaaoon...............
Bhooloon Kaise Biti Jo Shaam Unke Aagosh Mein,
Aur Wo Kehte Ke Main Unhe Bhool Jaaoon.....
Mumkin Nhi Hai Unke Ahsaas Ko Bhulana Bhi,
To Kaise Na Yaad Karoon Unko,aur Kaise Bhool Jaaoon.........
................
uske bazuo me simat kar
uski dhadkanau ko sunna
bada yaad ata hai
uska mere hathau pe haath rakhna
aur mujhe apne qareeb bulana
bada yaad ata hai
mujhe seene se laga kar
mujhe pyar karna bada yaad ata hai
uski muskurahat ankhau se jhalakta pyar
bada yaad ata hai
uska mujhe chedna aur
pyar ka iqraar bada yaad ata hai
uska haq jatana
mere ahmiat apni zindagi me batana
bada yaad ata hai
mai jo rooth jawu
mujhe samjhana
bada yaad ata hai
ye yaadein mujhe rulati hai
mujhe besabra banati hai
kya karu
ke meri har dhadkan
tum ko paas bulati hai ..........
...............
Mujh se bechar kar roota hoga
Gum ko kitna samjhata hoga
Jin rahoon per chalta hoga
Meri yaad main tarapta hoga
Zinda ab main kaisay rahoon gi
Shayad gher main soochta hoga
Mujh se jo keh na saka woh
Ab who khud se kehta hoga
Guzri batain guzray lamhay
Yaad woh ker kay roota hoga
Fursat issay ho kay na ho
Khat woh phir bhi likhta hoga
Udaas dil veraan aankhain
Rasta mera deekhta hoga
Sanjeeda hogaya hoga shayad
Ab na shararat kerta hoga
Mujh se becher ker roota hoga
Gum ko kitna samjhata hoga ..
................
Jahan jao gay humain paoo gay
Dil ki gahraiyon mei outar chokay hain hum
Her waqt humain socho gay
Zahan ki parchiyon mei outar chokay hain hum
jahan jao gay humain dekho gay
Nazar kay nazaron mei chah chokay hain hum
Jahan jao gay humain mahsoos karo gay
Sansoon ki khushbo mei outar chokay hain hum
Jahan jao gay humain yaad karo gay
Yadoon ki wadii mei outar chokay hain hum
Kuch bhi ho jaye humain bhol na paoo gay ab
Tere rooh ki gahrayon mei outar chokay hain hum ...
............
Kuch aur sochne ki zarorat nahi mujhe,
Tere siwa kisi se mohabbat nahi mujhe,
Rehta hai bas tera hi mujhe raat din khayal,
Main tujh ko bhol jaon yeh taqat nahi mujhe,
Kal shab tumhari yaad mein aanso chilak pade,
Ab kuch bhi kehne ki hajat nahi mujhe,
Kis ko sunaon jaa ke mein apna yeh hal-e-ahewal,
Tum ne to keh diya hai ke fursat nahi mujhe,
Khushiyon se ab nahi hai koi rabta mera,
Pal bhar tumhare ghum se faragat nahi mujhe,
Sab kuch ujar gaya mera khuwabon ke sath sath,
Faraz magar kisi se shikayat nahi mujhe...
.........
Kabhi meri yad sataye to lot ana..
kabhi dil gabraye to laut ana...
ghairon ko tu ne dil me basa lia hai...
tere dilbar tum ko thukraye to laut ana...
Hazaron zakham tu ne mairay dil ko diye...
jab tera koi dil dokhaye to laut ana...
jeewan ujaar k mera buhat khosh hoo tum...
zindagee tairee koi barbad kar jaye to laut ana...
meri zindagi me tu khizan bikher gaye they tum...
agar bahar tum sa root jaya to laut ana...
zamane k sath aaj tum bohat khush ho na...
agar zaman tum ko chor jaye toh laut ana...
dil tera b jab zakhmo se choor jaye...
koi b tum ko na apnaye toh laut ana...
.............
mohabat main sogwaar ho gayi hoon
main hijar se dochaar ho gayi hoon
koi naqash-e- pa nahi mujh pe barson se
main ik rah-e- dushwaar ho gayi hoon
kabhi pyar ki barkha mujh pe bhi barsi thi
ab to ik raigzaar ho gayi hoon
kabhi zamana apni misaal deta tha "Fizza"
aaj harf-e- be aitbaar ho gayi hoon .
..............
too mera naam na pocha kar
main teri zaat ka hissa hon
main teri soch main shamil hon
main teri nend ka qissa hon
main tere khawb ka hasil hon
main teri yad ka mehwar hon
main teri sans ka jhonka hoon
too manzar, main pas-e-manzar hoon
main lamha hoon,main jazba hoon
jazbe ka koi naam nahi hota
too mera naam na poocha kar
main teri zaat ka hissa hon
.................
ham choti choti ankhon wale
ham roti roti ankhon wale
ham bikhri bikhri zulfon wale
kabhi tanha beth k aansu peete hain
kabhi gam k haar pirote hain
ham tanha tanha pagal pagal
dhonden har pal tera aanchal
mehfil main beth k rote hain
kabhi ghar a k rote hain
ham beech bhanwar main rehne wale
har pal dukh sehne wale
raat bhar taray takte hain
din ko lambi taan k sotay hain
kai swaal uthte hain
jazbe bemisaal uthte hain
dil wale aise kioun hote hain
dil wale waise kioun hote hain ..........
............
br:
Ch Zulfiqar Ali
No comments:
Post a Comment