RSS

Feb 9, 2010

Mujh say pehli see muhabbat

Humaari baat mut poocho
Hum ghareeb-ul-watan toa
Doori oarrh kay soa jaatay hain
Faasloan ke paich-o-khum main
Sandaisay khoa jaatay hain
Dhundalkoan main waqt ke
Apne paraaye ho jaatay hain
Mausamoan ke haath aksur
Dard sa dil main boa jaatay hain
Karb naarasaaee ke
Aankh ka daaman dhoa jaatay hain
Hum sunaayain kya tumhain
Kaisay katay shaam-o-sahar
Kaisi lagay sooni dagar
Yeh ajnabi sa dais hai
Bay-mehr say is dais main
Na koi yaqeen apna na koi gumaan apna
Paoon talay zameen apnee na sir pay aasman apna
Hum bay-zaman hum bay-makaan
Hum bay-watan hum bay-zabaan
Hum sunaayain kya tumhain?
Hum bataayain kya tumhain
Humaari baat rehnay do..

........

Mujh say pehli see muhabbat meray mehboob na maang
Main nay samjhaa tha ke too hai toa darakhshaan hai hayaat
Tera ghum hai to gham-e-dehr ka jhagrrha kya hai
Teri soorat say hai aalam main bahaaroan ko sabaat
Teri aakhoan kay siwaa duniya main rakha kya hai
Too jo mil jaaye to taqdeer nigoon ho jaaye
Yoon na tha main nay faqt chhaha tha yoon ho jaaye
Aur bhi dukh hain zamanay main muhabbat kay siwaa
Rahatain aur bhi hain wasal ki rahat kay siwaa
Unginat sadyoan kay taareek baheemaana tilism
Raisham-o-utlus-o-kumkhaab main bunwaaye hooay
Jaa-bajaa biktay hooay koocha-o-bazaar main jism
Khaak main lithray hooay khoon main nehlaaye hooay
Jism niglay hooay amraaz kay tanawwuroan say
Peep behtee hooi gultay hooay naasooroan say
Loat jaatee hai udhar ko bhi nazar kya keejiay
Ab bhi dilkush hai tera husn magar kya keejiay
Aur bhi dukh hain zamanay main muhabbat kay siwaa
Raahatain aur bhi hain wasal ki raahat kay siwaa
Mujh say pehli see muhabbat meray mehboob na maang .

.......

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails