Main ne chaaha
Tere janam din per
Aisa tuhfaa teri nazar karoon
Jisay too umr bhar yaad rakhay
Phir aik lamhay ki soach nay
Mere haath buland kiay
Kuch lafzoan ke phool
Duaaon ke panchee
Dil ki gehraaiyon say aazad kiay
Ke aanay waalay mausamoan main
Ghum ki ghataain
Kabhi teray qareeb na aain
Teri aankhon ke jugnoo sadaa chamkain
Khuda tera daaman hamesha musarraton say humkinaar karay
Kabhi jo too
Zindagi ki karri dhoop main
Palat ke daikhay
To bohat si khush-rung yaadain
Gulaab lehjoan ki dilfaraib batain
Beetay lamhoan ki chaandni
Tere weeraan dil ko bahar kare
Too her guzray lamhay say pyaar karay
Aur khuda-e-lum yazl
Teri umr daraaz karay
.........
Kabhi kabhi meray dil main khayaal aata hai
Ke zindagi teri zulfoan ki nurm chhaaon main
Guzarnay paati to shaadaab ho bhi sakti thee
Yeh teergee jo meri zeest ka muqaddar hai
Teri nazar ki shuaaon main kho bhi sakti thi
Ajab na tha ke main baigana-e-alam ho kar
Teray jamal ki ranaaiyon main kho rehta
Tera gudaaz badan teri neem baaz aankhain
Inheen haseen fasaanon main mahuv ho rehta
Pukaarteen mujhe jub talkhiyaan zamanay ki
Teray laboan say halaawat ke ghoont pee laita
Hayaat cheekhtee phirti berhana sir aur main
Ghanairee zulfoan ke saaye main chhup kay jee laita
Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
Ke too nahin tera ghum teri justujoo bhi nahin
Guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaisay
Isay kisi ke sahaaray ki aarzoo bhi nahin
Zamaanay bhar kay dukhon ko laga chuka hoon galay
Guzar raha hoon kuch anjaanee raahguzaaron say
Muheeb saaye meri simt barhtay aatay hain
Hayaat-o-moat ke pur-hoal khaarzaaroan say
Na koi jaadah na manzil na roashni ka suraagh
Bhatak rahi hai kahlaaon main zindagi meri
Inhi khalaaon main reh jaaoon ga kabhi khoa kar
Main jaanta hoon meri hum-nafas magar yoon he
Kabhi kabhi meray dil main khayaal aata hai
No comments:
Post a Comment