RSS

Feb 9, 2010

Bol K Lab Azad Hain Tere..!!

Yeh jo aik dasht-e-firaq hai
Yeh jo aik dasht-e-firaq hai yeh rukay agar
Yeh rukay agar toa nishan milay
Yeh nishan milay keh jo faasoloan ki saleeb hai
Yeh garri hoi hai kahan kahan
Meray aasman say kidhar gayee
Teray ittifaq ki kehkashan
Meray bay-khabar meray bay-nishan
Yeh rukay agar toa pata chalay
Main tha kis nagar tu raha kahan
Keh zaman-o-makan ki yeh wusaatain
Tujhay dekhnay ko taras gayeen
Woh meray naseeb ki barishain
Kisi aur chhat pay baras gayeen
.........

Zameen-zaaday chaloa baatain karain shehr-e-tamanna ki
Yehan to shaam say pehlay he sooraj doob jaata hai
Yehan her khuaab say pehlay he neendain choank uthtee hain
Bahaarain yoon guzartee hain ke jaisay waqt say un ki koi azlee adaawat ho
Koi baadal nahin rukta hawaayain bay-murawwat hain
Hooueen sadyaan ke aankhon main koi sooraj nahin chamka
Koi shabnam nahin utree koi moati nahin damka
Chaloa yeh to humaree kum-nigaahi ki sazaa thehree
Magar hum khuwaab na daikhain to neendain bay-samar apnee
Samaaut bay-khabar apnee sazaa na-mutabar apnee
Zameen-zaaday chaloa baatain karain shehr-e-tamanna ki
Yeh baatain jo sulagtee hain magar kirnain nahin banteen
Inhain roashan agar kar paao to kitnay sakhee thehroa
Magar kya kar sako gay tum? magar kya kar sakain gay hum
Kay hum is shehr main bay-khuwaab raaton kay hawaalay hain
Zameen-zaaday zameen pay basnay waalay thaknay waalay hain
.........

Boal ke lub aazaad hain teray
Boal zabaan ab tak teri hai
Teeray sutwaan jism hai tera
Boal ke jaan ab tak teri hai
Daikh ke aahangar ki dukaan main
Tund hain shoalay surkh hai aahan
Khulnay lagay qufloan ke dahaanay
Phaila her aik zanjeer ka daaman
Boal yeh thoarra waqt bohat hai
Jism-o-zaban ki moat say pehlay
Boal ke such zindaa hai ub tak
Boal jo kuch kehna hai keh lay
........

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails