Jab pyaar ki baat adhoori ho
Jab pyaar ki baat adhoori ho
Jab beech main thori doori ho
Jab milna bohat zaroori ho
Per milne main majboori ho
Tum dil main yaad jaga lena
Kuch pyaar k deep jala lena
jab mujhsay milny aa na sako
aur yaad say bahir ja na sako
Thora dil ko samjha lena
BUS YAAD SAY DIL BEHLA LENA.
.
.....
Usey ye kon samjae?
Usey ye kon samjae?
Wo dasht-e-khamoshi me unglion me sipian phne,
Kisi sookhe samandar kiadhoori pyas ki bateyn,
Buhut chup chap sunta he,Boht khamosh rehta he,
¤Usey ye kon samjae?
Khushi ke ek ansu se samandar brh bi jate hain,
"Boht khamosh rehne se taalluq mar bi jate hain,
Usey ye kon samjae?
.........
Fasila itna barhanay
Fasila itna barhanay ki zarorat kia thi,
Tujhay mujh say roth kr janay ki zrorat kia thi,
Ab jo mujh say routh kr udas rehtay ho,
Apna hath mairay hath say churany ki zaroorat kia thi,
Duniya kab kisi k ghum ko apna ghum smajhti hai,
Tujhay apna ghum duniya ko dekhanay ki zarorat kia thi,
Main aj tak is bat ko nehi samajh paya,
Jab sath tumharay MAIN tha to tum ko zamanay ki zarorat kia thi ?
.............
Apne dard ki
Apne dard ki dawa kr leta hun!
Azo A dard ko juda kr leta hun.!
Doston se milta bi naih main,
Dushmno k liye dua kr leta hun.!
Dukh jab had se barh jayn to,
Kisi be wafa se wafa kr leta hun!
Agar pashemani ho gunah pe.,
Khod tajveez apni saza kr leta hun.!
Aankhon ko sumndar hone nai deta.,
Bas dil ko daria kar leta hun..!
..........
Janey kis tarha pal main
Janey kis tarha pal main"
log bhool jatey hn"
zindagi ki yaadon ko"
"be-shumar waadon ko"
"khush-gawaar baaton ko"
"Sath guzri Shamon ko"
"An-ginat iradonko"
"Janey kis tarah pal mn...Δ"
log bhool jatey hain...!!!
"pyaar ki haqiqat ko"
"umr-bhar ki chahat ko"
"rishton ki nazakat ko"
"Jazbon ki sadaqat ko"
"lams ki haraarat ko"
"dil se dil ki chahat ko"...Δ
"Janey kis tarha pal mein..
."log bhool jatey hn..
............
No comments:
Post a Comment