Titliyon ko pakadna uski aadat thi
Her ek se milna uski aadat thi
Wo jisko tanhai se dar lagta tha
Mager tanhai mein rehna
Uski aadat thi
Woh ek aansoo girne per khafa hota
Jisay tanhai mein rone ki aadat thi
Hamesha maafi mangne ki gharz se
Roz nai ghaltiyan kerna uski aadat thi
Wo jo dil-o-jaan nichhawar kerta tha mujh per
Mager chhoti si baat pe roothna uski aadat thi
Hum us ke saath chal diye ye jaantey huye bhi
Rah mein her ek ko chhor dena uski adat thi.
No comments:
Post a Comment