Dua Nahi To Badua Deta Koi
Dua Nahi To Badua Deta Koi,
Wafaon Ka Sila Deta Koi,
Jab Muqaddar Hi Nahi Tha ,
Deta B To Kiya Deta Koi,
Hasil-e-ishq Faqat Dard Hai
Ai Kash Pahle Hi Bata Deta Koi
Taqdeer Main Nahi Tha Agar AaQaash Choona
Khaak Main Hi Mila Deta Koi
Guman Hi Ho Jata Kisi Apne ka
Daman Hi Pakar K Hila Deta Koi
Ek Arse Se Atka Hai Hichkiyon Pe Dam,
Acha Hota Jo Bhula Deta Koi,
Yeh Zindagi To Ro Ro K Kat Gai
Kya Hota Agar SAGAR Ko Hansa Deta Koi.
............
Meri Rooh Nikalne Wali Ho Gi,
Meri Rooh Nikalne Wali Ho Gi,
Meri Saans Bikharne Wali Hogi,
Phir Daman Zindagi Ka Choote Ga,
Dhaaga Saans Ka B Toote Ga,
Phir Wapis Hum Na Aayen Ge,
Phir Hum Se Koi Na Roothe Ga,
Phir Aankhon Main Noor Na Ho Ga,
Phir Dil Gham Se Choor Na Ho Ga,
Uss Pal Tum Hum Ko Thaamo Gay,
Hum Se Piyar Apna Mango Gay,
Par Hum Na Kuch B Bolain Gay,
Aankhain B Na Kholain Gay,
Uss Pal Tum Ro 2 Gay,
Hum Ko Tum Kho 2 Gay...!!!
...........
Yunhi anjanay main
Yunhi anjanay main tujh say rafaqat ho gai
Dil lagi kernay chalay aur tujh say chahat ho gai
Tu na ho to main khud say hi ulajhta hoon
kia karon mujhay teri Aadat ho gai
Main apnay vajood main tujhay talaash kerta hoon
Mujhay tum say is qadar muhabbat ho gai
Meray pass Aao to jee loon do pal
Meri to her saans teri amaanat ho gai
Main sochta tha teray agay zindagi kia hai
Per tujhay chahnay kay liye zindagi zaroort ho gai..
........
Ab¡ jugnu nah¡ ro0the
Ab¡ jugnu nah¡ ro0the,
Ab¡ aansu nah¡ to0te,
Ab¡ so0raj na¡ jaga,
Ab¡ taare nah¡ do0be,
Ab¡ mahtab baq¡ ha¡,
Ab¡ ek khaab baq¡ ha¡,
Ab¡ manz¡l na¡ aa¡,
Ab¡ rasta nah¡ thehra,
Abi darya nah¡ utra,
Ab¡ gardaab baq¡ ha¡,
Ab¡ ek khaab baq¡ ha¡,
Muje tumse m0habbat ha¡,
Ab¡ ye baat baq¡ ha¡,"
..........
Badnam Zamane
Badnam Zamane me Mohabbat Nahi Karte.
Dil Wale Tu Dushman Se Bhi Nafrat Nahi Karte.
Ek Bar Jise Chaha Sada Us K Rahe Phir.
Ham Log Amanat Me Khianat Nahi Karte.
Tanhai Main Kar lete Hen Yad Aanso Baha Kar.
Zahir Kabhi Hum Apni Ebadat Nahi Karte.
Waqt Aane Par Malom Ye Ho Jae Ga TumKo.
Hum Sirf Dekhawe Ki Mohabbat Nahi Karte.
Likhte Hen FAQAT Ek Tumhare Liye Ghazlen.
Har Shakhs Pe hum Aise Enayat Nahi Karte...
.................
No comments:
Post a Comment