RSS

Feb 9, 2010

Zara yeh to Batao

Dehleez-e-samaat pe kisi waday ki aahat
Utray na utray
Aae ranj bhari shaam
Dukhtay hooay dil pe
Koi aahista say aakar
Ik hurf-e-tasallee rakhe phool ki manind
......

Zara yeh to bataao
Tum ne mujh say ziada zindagi ki
Baharain daikhee hain
Dunya ke nashaib-o-faraz say bakhoobi waqif ho
Yeh dunya itni zalim
Khudgharz aur behiss kyon hai?
Jis main tum bhi shamil ho
.......

Yehi soach rakha tha
Keh
Jab bhi woh hamain
Kabhi sar-e-raah mil gaya to
Nigahain chura kar
Palkoan pe bund baandh lain gay
Magar
Achanak jab woh samnay aaya to
Hazaar zabt ke bawujood bhi
Aansoo mere gaal tur kartay hooay
Mera daamun bhigo gaye
.............

Kaha nahin tha
Ke us chup se guraiz karna
Ke jis say
Undar ka shoar barrh jaae
Aur samaat ko chhaid daale

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails