Main aaj bhi chup hoon
Main kal bhi chup thee
Loag kehtay hain kuch to bolo
Apni khamoshi ke band kholo
Main sochti hoon kya boloon
Jo kuch mere dil main hai kis se kahoon?
Un say jo nahin jantay
Jazbon ki haqeeqat kya hai
Rooh kay sannaton main ghulti hooi
Qatra qatra see azeeat kya hai
Jo samajhtay hain ke insaam faqt
Chand ashyaa-e-zaroorat ka hai mohtaj
Yeh mohabbatain yeh rafaqatain
Yeh khuloos-o-wafa ki rahatain
Sab bay mani lafzon ke gharonday hain
Jin main baaith kar insaan
Haqeeqaton se faraar chahta hai
Magar meri soach in say mukhtalif hai
Aur ye he tanao ye he nafraton ka baais hai
Main kal bhi chup thee
Main aaj bhi chup hoon ...
No comments:
Post a Comment