Is saalgirah per aae doast tujhe kya nazar karoon
Dil ke sajday nazroan ke salaam
Ya woh chund hurf-e-sapaas
Jo mehez bay jaan riwaayat thehray
Woh jin ke baghair itne bay shumaar din beet gaaye
Qaraar-e-dil hareem-e-jaan yadon ke rafeeq
Guzray hooay her lamhay ke ameen
Harz-e-jaan hooa ab woh judaai ka naseeb
Is say pehlay dil ke sub saada warq hurf-e-na-aashna thay
Mehr-o-murawwat khuloos chaahat sub naqsh-e-bay-nishaan thay
Main ne dunya ko bohat door say dekha tha
Waqt ke saaray khad-o-khaal nihaan thay
Us aik judaai ne kya kuch na diya
Rafaqaton ki mohabbaton ki woh pehchaan
Ke ab main her aan kisi say aashna hoon
Lafzon ke mafhoom
Jazbon ke tamaam lehjay pehchantee hoon
Dil ke sub saada warq naqsh-e-dawaam liay
Aik muddat say sarmaaya-e-hayaat hooay
Jo raqm hooa so hadees-e-dil
Yeh ibaaratain jo hurf-ba-hurf
Meri tumhaari gawah hooi hain
Ye he hisaab-e-doastaan paimaan-e-wafa ki asaas
Nazr baad-e-aihtaram
Meri kitaab-e-dil ka intisaab_Ab tumhaare naam
No comments:
Post a Comment