Aai sooraj ki dosheeza kiran
Tum nay toa kaha tha aao gee
Yeh andhi kali raatoan ka
Sab cheer andhera aao gee
Haan lay kay sawera aao gee
Hum shab bhar jagay baith rahay
Jab oas nay chadar phelaee
Jab chand nay jhalki dikhlaee
Jab ambar per taray chamkay
Jab jungle main jugnoo damkay
Aur badal badal ghir aayee
Ik zalim zalim tanhaee
Phir hum nay ik sapna daikha
Phir hum nay ik dhoka khaya
Aai sooraj ki dosheeza kiran
Tum koan say dard ka darmaan theen
Tum aateen toa kiya bujh jatee
Yeh pyaas humaray hoantoan ki
Yeh pyaas humaray seenay ki
Yeh pyaas badan ki chahat ki
Tum aa jaateen toa kiya hota
Dil phir bhi yonhee tanha hota
In pyasoan ka pyasa hota
Yeh jaisa hai waisa hota
Ya mumkin hai itna hota
Yeh tum say lipat roya hota
Aai sooraj ki dosheeza kiran
.........
No comments:
Post a Comment