Chalo chahat purani dhoondtay hain,
mohabat javedani dhoondtay hain
mera mafhoom mujh say kho gya hai
meray alfaz maani dhoondtay hain
meray lehjay me mere sun'ny walay,
meri jeevan kahani dhoondtay hain
kabhi fursat me ham ghar k sehan me,
wo bachpan ki nishani dhøontay hain
kahan koi milay ga teray jaisa,
kahan ham tera saani dhoondtay hain
ajab aankhon me un k rang hain "M",
chalo un me kahaani dhoondtay hain . . .
...............
Chalo Tum Keh Rahe Ho To ..
Main Wapis Lot Jata Hun ..
Tumain Manzil Mubarik Ho ..
Naya Sathi Mubarik Ho ..
Magar Aye HumDum-E-Deirina ..
Mujh Ko Itna Batla Do ..
Ky Wapis Kis Tarf Jaon ..
Kahan Se Sath Laye Thy ..
Mujhe Itna To Samjha Do ..
Agar Aysa Nahe Mumkin ..
To Mujh Ko Is Tarha Toro ..
Ky Main Yaksir Bikhar Jaon ..
Bhatakny Se To Behtar Hai ..
Tumhary Pas Maar Jaon ..
.............
Dhoonda Jo Zindgi Ka Sitara Kabi Kabi,
Ghabra K Phir Tumhi Ko Pukara Kabi Kabi.
Kuch Dard-E-Ishq Se Humein Hasil To Ho Geya,
Karte Hain Wo Bi Zikar Humara Kabi Kabi.
Hum Dil Mein Dekh Lete Hain Tasveer Aap Ki,
Hota Hai Tera Yun Bi Nazara Kabi Kabi.
Khatam Ho Gaeen Shab-e-Gham Ki Museebatein,
Dil Se Liya Jo Naam Tumhara Kabi Kabi.
Wo waqt Bi Qareeb Hai Jab Meri Yaad Ka,
Lena Pare Ga Tumko Sahara Kabi Kabi.
Main Kya Karun K Tark-e-Taluq K Bawajood,
Aa Jata Hai Khayal Tumhara Kabi Kabi.
.............
No comments:
Post a Comment