RSS

Jan 18, 2010

Tumare Khat

Dil Ko Sukoon

Dil ko sukon roh ko aaram aa gya.
Mot aa gai k dost ka pegam aa gya.
Jab koi zikar gardish e aayam aa gya.
Be ikhtiar lab py tera nam aa gya.
Diwangi ho akal ho umeed ho k yas.
Apna wohi hai wakat jo kam aa gya.
Ye kia mukam e ishaq hai zalim k in dino.
Aksar tery bager b aaram aa gya.
Ahbab mjsy qata taluk karen lakh
Ab aaftab.e.zest lab-e-bam aa gya.

............

Zindagi Ki Kahani..

Dil to kehta hai zindagi ki kahani likhon,
Wo kahani mein such ki zubani likhon,
Apne jazbat ko mein samandar likhon,
Apni sochon ko mojo ki rawani likhon,
Kabhi dil ki khushi ka muharak likhon,
Kabhi gham ko ankhon se behta pani likhon,
Uske mananay ko uski Mohabat likhon,
Apne rooth jane ko apni nadani likhon,
Apni jaan ko uski amanat likhon,
Uske naam apni ye zindagani likhon...?.....

.............
Tumare Khat

Dukh dard me hamesha nikale tumhare "khat"
Our mel gai khoshi to ochahale tumhare "khat"
Sab choriyan tumhari samndar ko sonp di
Our kar diye howa k hawale tumhare "khat"
Mere laho me gonj raha hay har 1 lafz
Me ne ragon k dasht me paale tumhare "khat"
Yon to hain beshomar wafa ki nishaniyan
Liken har shae se nirale tumhare "khat"
Parwa mujhe nahi kesi chand ki "wasi"
Taarek zndgi me hen ojale tumhare "khat"..

............

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails