RSS

Jun 21, 2009

ghazals

Kafi arsa Beet gya"
Jany ab wo Kaisa hoga"
Wqt ki sari Krwi batein"
Chup chaap hi sehta hoga"
Ab b beegi barish mein Wo"
Bin chatri k chlta hoga"
Muj se bichry arsa beeta"
Ab wo kis se lrta hoga"
Acha tha jo sath hi rahty"
Bad mein us ne socha hoga"
Apny dil ki sari batein"
Khud sa khud hi kahta hoga...!
Wa§¡M
........


Kya mila muhabbat sy,
Khuwab ki musafat sy,
Wisal ki tmazat sy,
Roz-o-shab ryazat sy,
Kya mila muhabbat sy,
Ek hijr ka sehra,
Ek sham yadon ki,
Ek thka huwa ansu,
Kya mila muhabbat sy,
Wa§¡M
...........


M0habbat Phir.! M0habbat Hai..!
Kabhi Dil Se Nahi Jati
Lakh0n Rung Hain Is Ke
Ajab Hi Dhang Hain Is Ke..
Kabhi Sehra Kabhi Darya
Kabhi Jugn00Kabhi Aans00..
Hazar0n R00p Rakhti Hai..
Badan Jhulsa Ke J0 Rakh De
Kabhi W0 Dh00p Lagti Hai..
Kabhi Ban Kar Yeh Ik Jugn00
Shab-E-Gham Ke Andher00n Mein
Dil0n k0 Aas Deti Hai..
Kabhi Manzil Kinare Par Sady00n Ke Musafir K0
Faqat Ik Piyaas Deti Hai..
M0habbat Phir M0habbat Hai.
Kabhi Dil Se Nahi Jati..
Wa§¡M


..........

Manzliain b us ki thi,rasta b us ka tha,
Ek main akela tha, qafla b us ka tha,
Sath sath chalne ki,soch b us ki thi,
Phir rasta badalne ka,faisla b us ka tha,
Aj kyun akela ho0n, yeh dil sawal karta hai,
Lo0g to usi k they,kya khuda b us ka tha???
Wa§¡M
.........


Rooh nikalny wali ho gi,
saans bikhrny wali hogi,
Phir daman zindagi ka chooty ga,
Dhaga saans ka bhe tooty ga,
Phir wapis hum na aaen gy.
Phir hum sy koi na roothy ga.
Phir ankhon mein Noor na ho ga,
Phir dil ghum sy choor na ho ga,
Us pal tum hum ko thaamo gy?
Hum sy dost apna mango gy,
Phir hum na kuch bhe bolen gy.
Ankhen bhe na kholen gy,
Us Pal tum ro do gy
,"HUM KO TUM KHO DO GAY'"
Wa§¡M
..........


Sab se chupa kar dard ko wo muskura diya,
Uski hansi ne tu aj mujh ko rula diya,
Lehjay se uth rahi thi ik dard ki dastan,
Chehra bata raha tha sub kch ganwa dya,
Awaz mai thehrao tha or ankhon mai nami thi,
Or keh rha tha k maine sb kch bhula dya,
Jany kia usko logon se thi shikaytain,
Tanhiyon k dais mai khud ko bsa dya,
Khud b wo humse bichr k adhora sa hogya,
Mjko b itny logon mai tanha bna dya.....
Wa§¡M
...........


Rat kat-ti rahi chand dhalta raha,
Aatish-e-hijar main koi jalta raha.
Ghar ki tanhayan dil ko dasti raheen,
koi bechain karwat badalta raha.
Aas -o-umeed ki shamma roshan rahi,
Ghar ki dehleez koi takta raha.
Raat bhar chandni gungunati rahi,
Raat bhar koi tanha sisakta raha.
Ashk palkoön pe aa k bikharte rahe,
Naam lab pe kissi ka larazta raha.
Aaj phir raat basar ho gai,
Aaj phir koi khud se ulajhta raha.
Wa§¡M
........


Rukh-E-Shabab se Aanchal Jo Sarakte Dekha...,
Chand Aakash Ke Jhurmat Se Nikalte Dekha...,
Mujh Ko Mehsos Hua Dard-E-Judai Kya Hai...,
Main Ne Ek Phool Ko Tanhai Se Bikharte Dekha...,
Zindagi Kiya Hai Mere dost Tu Mujh Se Pooch...,
Main Ne Gulshan Ko Baharon Mein Ujarte dekha .
Wa§¡M
.......

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails