RSS

Sep 2, 2010

Kal chaudaviin Ki Raat Thi shab Bhar Raha Charcha Tera..!!

kal chaudhavii.n kii raat thii shab bhar rahaa charchaa teraa


kal chaudhavii.n kii raat thii shab bhar rahaa charchaa teraa
kuchh ne kahaa ye chaa.Nd hai kuchh ne kahaa cheharaa teraa

ham bhii vahii.n maujuud the ham se bhii sab puuchhaa kiye
ham ha.Ns diye ham chup rahe manzuur thaa pardaa teraa

is shahar me.n kis se mile.n ham se to chhuuTii mahafile.n
har shaKhs teraa naam le har shaKhs diivaanaa teraa

kuuche ko tere chho.D kar jogii hii ban jaaye.n magar
jangal tere parbat tere bastii terii saharaa teraa

ham aur rasm-e-bandagii aashuftagii uftaadagii
ehasaan hai kyaa kyaa teraa ai husn-e-beparvaa teraa

do ashk jaane kis liye palko.n pe aa kar Tik gaye
altaaf kii baarish terii ikraam kaa dariyaa teraa

ai bedaareG-o-be_amaa.N ham ne kabhii kii hai fuGaa.N
ham ko terii vahashat sahii ham ko sahii saudaa teraa

tuu bevafaa tuu maharabaa.N ham aur tujh se bad-gumaa.N
ham ne to puuchhaa thaa zaraa ye vaqt kyuu.N Thaharaa teraa

ham par ye saKhtii kii nazar ham hai.n faqiir-e-rah_guzar
rastaa kabhii rokaa teraa daaman kabhii thaamaa teraa

haa.N haa.N terii suurat hasii.n lekin tuu aisaa bhii nahii.n
is shaKhs ke ashaar se shoharaa huaa kyaa kyaa teraa

beshak usii kaa dosh hai kahataa nahii.n Khaamosh hai
tuu aap kar aisii davaa biimaar ho achchhaa teraa

bedard sunanii ho to chal kahataa hai kyaa achchhii Gazal
aashiq teraa rusavaa teraa shaayar teraa "Inshaa" teraa.

............

raat ke Khvaab sunaaye.n kis ko raat ke Khvaab suhaane the


raat ke Khvaab sunaaye.n kis ko raat ke Khvaab suhaane the
dhu.ndhale dhu.ndhale chehare the par sab jaane pahachaane the

ziddii vahashii alha.D chanchal miiThe log rasiile log
ho.nTh un ke Gazalo.n ke misare aa.Nkho.n me.n afsaane the

ye la.Dakii to in galiyo.n me.n roz hii ghuumaa karatii thii
is se un ko milanaa thaa to is ke laakh bahaane the

ham ko saarii raat jagaayaa jalate bujhate taaro.n ne
ham kyuu.N un ke dar pe utare kitane aur Thikaane the

vahashat kii unvaan hamaarii in me.n se jo naar banii
dekhe.nge to log kahe.nge 'Insha' jii diiivaane the.

......

jog bijog kii baate.n jhuuThii sab jii kaa bahalaanaa ho


jog bijog kii baate.n jhuuThii sab jii kaa bahalaanaa ho
phir bhii ham se jaate jaate ek Gazal sun jaanaa ho

saarii duniyaa aql kii bairii kaun yahaa.N par sayaanaa ho
naahaq naam dhare.n sab ham ko diivaanaa diivaanaa ho

tum ne to ik riit banaa lii sun lenaa sharmaanaa ho
sab kaa ek na ek Thikaanaa apanaa kaun Thikaanaa ho

nagarii nagarii laakho.n dvaare har dvaare par laakh sukhii
lekin jab ham bhuul chuke hai.n daaman kaa phailaanaa ho

tere ye kyaa jii me.n aa_ii khii.nch liye sharmaa kar ho.nT
ham ko zahar pilaane vaalii amrit bhii pilavaanaa ho

ham bhii jhuuThe tum bhii jhuuThe ek isii kaa sachchaa naam
jis se diipak jalanaa siikhaa paravaanaa mar jaanaa ho

siidhe man ko aan daboche miiThii baate.n sundar log
'Meer', 'Nazeer', 'Kabir' aur 'Insha' sab kaa ek gharaanaa ho

............

us shaam vo ruKhsat kaa samaa.N yaad rahegaa


us shaam vo ruKhsat kaa samaa.N yaad rahegaa
vo shahar vo kuuchaa vo makaa.N yaad rahegaa

vo Tiis ki ubharii thii idhar yaad rahegii
vo dard ke uThaa thaa yahaa.N yaad rahegaa

ham shauq ke shole kii lapak bhuul jaaye.nge
vo shamaa-e-fasurdaa kaa dhuaa.N yaad rahegaa

kuchh miir ke abyaat the kuchh faiz ke misare
ik dard kaa thaa jin me.n bayaa.N yaad rahegaa

jaa.N baKhsh sii thii us gul_barg kii taraavaat
vo lams-e-aziiz-e-do-jahaa.N yaad rahegaa

ham bhuul sake hai.n na tujhe bhuul sake.nge
tuu yaad rahegaa hame.n haa.N yaad rahegaa.

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails