suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii
suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii
wo nigaah se pilaate to kuchh aur baat hotii
[suu-e-maikadaa=towards the bar/place for drinking]
go havaa-e-gulasitaa.N ne mere dil kii laaj rakh lii
wo naqaab Khud uThaate to kuchh aur baat hotii
ye bajaa kalii ne khil kar kiyaa gulasitaa.N muattar
magar aap muskuraate to kuchh aur baat hotii
[muattar=full of itr]
ye khule khule se gesuu, i.nhe.n laakh tuu sa.Nwaare
mere haath se sa.Nwarate, to kuchh aur baat hotii
go haram ke raaste se vo pahu.Nch gaye Khudaa tak
terii raahaguzar se jaate to kuchh aur baat hotii ..
..............
tum aur fareb khaao bayaan-e-raqiib se
tum aur fareb khaao bayaan-e-raqiib se
tum se to kam gilaa hai ziyaadaa nasiib se
goyaa tumhaarii yaad hii meraa ilaaj hai
hotaa hai paharo.n zikr tumhaaraa tabiib se
barabaad-e-dil kaa aaKhirii saramaayaa thii ummiid
vo bhii to tum ne chhiin liyaa mujh Gariib se
dhu.Ndhalaa chalii nigaah dam-e-vaapasii hai ab
aa paas aa ke dekh luu.N tujh ko qariib se
No comments:
Post a Comment