ajanabii Khauf fizaaon mein basaa ho jaise
ajanabii Khauf fizaao.n me.n basaa ho jaise
sahar kaa shahar hii aaseb_zadaa ho jaise
[aaseb_zadaa = haunted]
raat ke pichhale pahar aatii hai.n aavaaze.n sii
duur saharaa me.n ko_ii chiiKh rahaa ho jaise
[chiiKh = scream]
dar-o-diivaar pe chhaa_ii hai udaasii aisii
aaj har ghar se janaazaa-saa uThaa ho jaise
muskuraataa huu.N pa-e-Khaatir-e-ahabaab magar
dukh to chehare kii lakiiro.n pe sajaa ho jaise
[pa-e-Khaatir-e-ahabaab = for the welcome of friends]
ab agar Duub gayaa bhii to maruu.Ngaa na 'Kamaal'
bahate paanii pe meraa naam likhaa ho jaise..
................
koi cheharaa huaa roshan na ujaagar aaNkhen
ko_ii cheharaa huaa roshan na ujaagar aa.Nkhe.n
aa_iinaa dekh rahii thii.n merii patthar aa.Nkhe.n
le u.Dii vaqt ki aa.Ndhii jinhe.n apane ham_raah
aaj phir Dhuu.NDh rahii hai.n vahii manzar aa.Nkhe.n
phuuT nikalii.n to ka_ii shahar-e-tamannaa Duube
ek qatre ko tarasatii hu_ii banjar aa.Nkhe.n
us ko dekhaa hai to ab shauq kaa vo aalam hai
apane halako.n se nikal aa_ii hai.n baahar aa.Nkhe.n
tuu nigaaho.n kii zubaa.N Khuub samajhataa hogaa
terii jaanib to uThaa karatii hai.n aksar aa.Nkhe.n
log marate na dar-o-baam se Takaraa ke kabhii
dekh lete jo 'Kamaal' us kii samandar aa.Nkhe.n..
No comments:
Post a Comment