Woh ajnabi ajnabi se chehray
woh khawab khaimay rawan dawan se
Basay hoay hain abi nazar mein,
sbhi manazir dhuwan dhuwan se,
Ye aks-e-dagh-e-shikast-e-payman,
wo rung-e-zakhm-e-khulos-e-yaran,
Main ghumgusaron mein sochta hoon,
k baat chheroon kahan kahan se,
Ye sungraizay adawtoon ke,
woh aabgenay sakhawtoon ke...!!
Dil-e-musafir qubool kar le,
mila hai jo kuch jahan jahan se,
Bichharrnay walay bichherr chala tha to,
nisbtain bhi ganwa ke jata,
Teray liey shehr bhar se ab bhi,
main zakhm khaaon zubaan zubaan se,
Meri mohabbat ke wehmoon se,
paray tha tera wujood warna..!!
Jahan jahan tera aks thera,
main ho ke aya wahan wahan se,
Tu humsafar hai na humnafas hai,,
kisay khabar hai keh tu kidhar hai,
Main dastkain de ke pooch baitha,
makeen makeen se makan makan se,
Abhi mohabbat ka ism-e-aazam,
laboon pe rehnay de jan-e-MOHSIN,
Abhi hai chahat nai nai si,
abhi hain jazbay jawan jawan se...
No comments:
Post a Comment