Hai wohi aasmaan, zameen wohi
Maah-o-anjum ussi tarah raushan
Kehkashaan ab bhi muskuraati hai
Phool kaleyaan mehak rahi hain yunhi
Baad muddat ke saaray pardesi
Apne apne gharoon ko aaye hain
Har taraf rang-o-bou ka mela hai
Aur tanha mein apne kamre mein
Kab se beta hoon aur soch raha hoon
Jaanay kya baat hai ke ghar mein mere
Jo guzashta barass thee raunaq
Ab woh kaheen bhi nazar nahee aati
Hai fiza mein ek ajeeb sa san'naatta
Haan faqat ek tere chale jaanay se
Aisa mehsoos horaha hai mujhe
Rutt khushi ki har taraf tu aee hai
Sirf chote se mere aangan mein
Eid ab ke baras nahee aee...
..........
kaho, kab phool khiltay hein?
kaha, jab muskurata hay...!!!
dharakta dil hey kab bolo
kaha, jab paas aata hey...!!!
kaho, dill mein hey kya us k?
kaha, wo kab bataata hey...!!!
sunno berham sa hey shayed?
kaha, younhi banata hey...!!!
kaha, kuch to hoa hoga?
kaha, wo aazmata hey...!!!
suno, wo jab sataata hey
kaha, dill doob jaata hey...!!!
kaha, dil doobta hey kab?
bataya, jab sataata hey ...!!!
buri shey hay ishq kiunker?
kaha, shab bhar jagaata hey...!!!
kaho, wo bazm keisi thi?
kaha, wo kab bulaata hey ...!!!
kaho, us sey bicherney ki?
bicherna kis ko bhaata hey? ...!!!
kaho, milnay ki khawahish hey?
kaha, bayderd naata hey ...!!!
batao, raakh mein hey kya?
sitara jhilmilata hey ...!!!
larz jati hein kab palkein?
nazar wo jab jamaata hey ...!!!
theher jaati hey dharkan kab?
nazar sey jab giraata hey .....!!!
.........
Tumhari Muskarahat
Tumhari muskarahat to aik shaam hay
shaam unn pareendon ki
jo parron main laptii thakan ko orhey
nagar ko aye!!
tumhari muskarahat to aik rabt hay
jo tootey patto ki ahaton kaa
shajar ki manoos tehnion say
jo band kitaab ki bandishon main qaid
soohkhey phoolon kaa khushboan say
magar
sach to yah hay kay!
Tumhari Muskarahat...
Tumhari Muskarahat to sirf tum ho!
.........
Kuch bhee naheen
Socha naheen accha bura
Dekha suna kuch bhee naheen
Manga khuda say hur waqt...
Teray siwa..... Kuch bhee naheen!
Dekha tujhey chaha tujhey
Socha tujhey pooja tujhey
Meri wafa meri khata....
Teri khata kuch bhee naheen!
Jis par hamari aankh nay
Moti bichayey raat bhar
Bhaija wahee kaghaz usay
Ham nay likha...... Kuch bhee naheen!
Aur aik shaam kee dehleez per
Baithay rahay woh dair tak
Aankhon say kee batain bohat
Munh say kaha.....kuch bhee naheen!
Do chaar din kee baat hay
Dil khak mein mil jaeyey ga
Aag per jab kaghaz rakha
Baqee bacha ..... Kuch bhee naheen
......
IK TERA EHSAS HAI..!
Ek Tera Ehsas Hai
Jo Her Waqat Meray Saath Hai
Ik Teri Yaad Hai
Jo Din Raat Mujhey Terpaati Hai
Ik Umeed Hai Teray Aany Ki
Apna Tujhey Banany Ki
Na Chain Hai Na Sakoon Hai
Yeh Kesa Mera Hall Hai
Raaten Ho Gai Hain Itni Lambi
Jo Kaatey Nahin Kattin
Na Bhook Hai Na Piyas Hai
Na Koi Aas Hai Na Koi Paas Hai
Bas Ik Tera Ehsas Hai
Jo Her Waqat Meray Saath Hai...!!!
.........
ye chaandnee khilee khilee
chamak tumharay rung ki
ye sardion ki dhoop si
tapish tumharay roop ki
phir in pay yaasiyat ka rung!
humain tu kuch jachaa nahin
labon pay muskurahatain
sajao khush raha karo
udaas mut hoa karo
tamaam roz'gaar ki
alam taraaz sa'atain
hansee ki oat main basee
kaee hazaar nafratein
hur aik rukh ki oat main
chupee hoee munaafqat
tamaam munzaron ka dukh
bohat rula'ay hai magar
ye log tu isee tarha
sitam kiya karain sanam!
tum in ki baat baat per
dhiyaan mut diya karo
udaas mut hoa karo
tumhain udaas deikh ker
kisee kay rung kho gaie
kahin pay chaand bujh gaya
kahin sitaray so gaie
kahin pay baarishon ki rut
ghazab ki piyaas bun gaii
koee bahaar rooth ker
sarapa yaas bun gaii
kisee kay mausamo'n ko yon
azaab mut kiya karo
udaas mut hoa karo....."
..........
sham kay ujaloon par
upnay narm hathoon say
koi baat achi see
koi khoab sacha sa
koi bolti khushboo
jab bhi likhna chahoon ga
soch kay darichon say
yad kay hawalooon say
mera namm chup chup kar
tum ko yad aaye ga
hath kanp jaain gay
sham thahar jaye gee
mera nam chup chup karr
tum ko yad aaye ga
sham thahar jaye ge
sham thahar jaye ge
.........
aaj jaane kii zid na karo
aaj jaane kii zid na karo
yuu.N hii pahaluu me.n baiThe raho
haaye! mar jaaye.ge, ham to luT jaaye.ge
aisii baate.n kiyaa na karo
tum hii socho zaraa kyuu.N na roke tumhe.n
jaan jaatii hai jab uThake jaate ho tum
tum ko apanii kasam jaan-e-jaa.N
baat itanii merii maan lo
waqt kii qaid me.n zindagii hai magar
cha.nd gha.Diyaa.N yahii hai.n jo aazaad hai
in ko kho kar abhii jaan-e-jaa.N
umr bhar na taraste raho
kitanaa maasuum-o-rangiin hai ye samaa
husn aur ishq kii aaj meraaj hai
kal ki kisako Khabar jaane-jaa.N
rok lo aaj kii raat ko
gesuuo.n kii shikan hai abhii shabanamii
aur palako.n ke saaye bhii madahosh hai.n
husn-e-masuum ko jaane-jaa.N
beKhudii me.n na rusvaa karo
.........
aaKhirii mulaaqaat
aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manaaye.N ham
aatii nahii.n kahii.n se dil-e-zindaa kii sadaa
suune pa.De hai.n kuuchaa-o-baazaar ishq ke
hai shama-e-anjuman kaa nayaa husn-e-jaa.N gudaaz
shaayad nahii.n rahe vo patango.n ke val_vale
taazaa na rakh sakegii rivaayaat-e-dasht-o-dar
vo fitnaasar gaye jinhe.n kaa.NTe.n aziiz the
ab kuchh nahii.n to niind se aa.Nkhe.n jalaaye.N ham
aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manaaye.N ham
sochaa na thaa ki aayegaa ye din bhii phir kabhii
ik baar ham mile hai.n zaraa muskuraa to le.n
kyaa jaane ab na ulfat-e-deriinaa yaad aaye
is husn-e-iKhtiyaar pe aa.Nkhe.n jhukaa to le.n
barasaa labo.n se phuul terii umr ho daraaz
sanbhale hue to hai.n. par zaraa Dagamagaa to le.n
...........
No comments:
Post a Comment