Jab mein haar jaati hoon ...
Jab mein haar jaati hoon
Haan ... Jab mein haar jaati hoon
Mein laut nahee paati
Bas thehar jaati hoon
Log jab haartay hain tu
Gharoon ko laut jaatay hain
Magar mein tu ruk jaati hoon
Aur mere baal dhool se att jatay hain
Meri paoon thakkan se shall
Magar mein bas ek jagah khari
Patthar aankhoon aur pathar dil se sab ko dekhti jati hoon
Kyon ke
Mein buzdil hoon
Mujh mein lautnay ki himmat nahee hoti
Mein darti hoon
Mein laut gaee tu
Mere dil ki aag dheemi par jaayegi
Mere muqabil ki khushi ki tarah
Is liye
Jab mein haar jaati hoon
Mein ruk jaati hoon
Ke jeetne waloo ko koi dukh na ho
Meri kami bhi mehsoos na ho
Bhala jeetne waloo ko koi pachtawa kyon ho
Sazaayain tu
Haarne waloo ka maqsoom hoti hain
Jab mein haar jaati ho tu ro bhi nahee paati
Kyon ke
Muhabbaton ka soug nahee manaatay
Shikasatoon ko roug nahee banaatay
Mein bas hansti jaati hoon
Meri khushk aankhain aur patthar qeh'qahay
Meri rooh ko
Pyaasa aur zakhmi kar dete hain
Magar mein hansti rehti hoon
Kyon ke
Mein buzdil hoon
Mujh mein rone ki himmat nahee hoti
Mein darti hoon
Mere aansoo
Kisi ki saza na ban jaayain
Jeet ka taana na ho jayain
Aur phir
Jo mujh se lartay hain
Woh mere apne hotay hain
Mere muqabil
Meri muhabbat mere sapnay hotay hain ...
No comments:
Post a Comment