Pathar tha magr baraf k galon ki tarah tha,
ek shakhs andheron main ujalon ki tarah tha.
khawabon ki tarah tha,na khayalon ki tarh tha,
woh ilm-e-riyazi k sawalon ki tarah tha.
ulja howa aisa k kabi hal na ho paya,
sulja howa aisa k misalon ki tarah ka tha.
wo mil to gya tha magar,apna he muqadar,
shatranj k khel ki ulji hui chalon ki tarah tha.
wo rooh main khushbu ki tarah ho gaya tehleel,
jo door bohat chand k haalon ki tarah tha..
No comments:
Post a Comment