'Wo' nahi aye
Man mein kya kya phol khilaye 'Wo' nahi aye..
Bethe rahai hum aass lagaye 'Wo' nahi aye..
'Un' ko achi lagne wali khusshbo pehni..
Pur pur mein khuwab rachaye 'Wo' nahi aye..
Lagta tha ye ssham ssehar ki ssurat ho gi..
Ssham hoi or chup ge ssaye 'Wo' nahi aye..
Hum ne phool bikhere 'Un' k har rasste pr..
Dil mandar mein deep jalaye 'Wo' nahi aye..
Chand ko ye malom hai uss sshab main ne..
Kitne milan k geet gaye 'Wo' nahi aye..
.........
Kaisy kahon k apnalo mujhy
Kaisy kahon k apnalo mujhy,
Bahoon mein apni sama lo mjhy,
Bin tumhare aik pal bhi ab katta nhi,
Tum a kr mujh say chura lo mjhy,
Zindagi to woh hai sang tumhary jo guzre.
Duniya k gamon say ab bacha lo mujhy,
Meri sab say gehri khuwahish ho tum,
Tum agar pas bula lo mujhe,
Yeh kaisa nasha hai jo behka raha hai.
(Tum mere ho) sambhalo mujhe,
Najany kaisi guzrey gi yeh zindagi,
Agar tum apne dil apni zindgi say kabhi nikalo mujhe .
.........
Sochta hoon tumhein
Sochta hoon tumhein hal-e-dil tamam likhun
Tere bin bohat udas guzri ye sham likhun
Me tujh se puchun kahan tak chalo ge sath mere?
Phir us mukaam ko me jeevan ka ehtetaam likhun
Khud bana leta hai ye pyar hawale saare,
Tere ehsas ko me kitna b benaam likhun
Jurm mera hai, agar pyar kia hai tum se
Kis tarha tumko me is baat ka ilzam likhun
Bas!Yehi dua hai mere lab pe ay jan-e-jaan,
Naam k sath hamesha me tera naam likhun..
.........
kahin Tm apni qismat ka likha
~Kahin Tm apni qismat ka likha tbdil kr lety~
~To shayed hm b apna rasta tbdil kr lety~
~Agr hm waqai km-hosla hoty mohbt me~
~Marz brhny se pehly hi dawa tbdil kr lety~
~Tmhary sath chlny pejo dil raazi nhi hota~
~Boht pehly hm apna faisla tbdil kr lety~
~Tmhin in mosmon kikya khbar milti agr hm bhi~
~Ghutan k khof se aab-o-hawa tbdilkr lety~
~Tmhari trha jeeny kahunar ata,to phr shayed~
~Mkaan apna wohi rkhte,pta tbdil kr lety.
............
Sar jhukao gay to pathar
"Sar jhukao gay to pathar devta ho jaye ga
itna mat chaho usay wo bewafa ho jaye ga
hum bhi darya hain, hamain apna hunar malum hai
jis traf bhe chal parenge rasta ho jaye ga
kitni sachai se mujse zndgi ne keh dia
tu nahi mera to koi dusra ho jay ga
main khuda ka nam le kar pee raha hun dosto
zeher bhi is me aagr hoga, dawa ho jaye ga
rooth jana to mohabbat ki alamat hai magar
kya khabar thi mujhse wo itna khafa ho jay ga".
.............
No comments:
Post a Comment