RSS

Feb 9, 2010

Mohabbat rog hai janan!

Meri Zindagi K Taiwar Mere Hath Ki Lakiren
Kash Inhe Tum BadaLte ToKuch or Baat Hoti
Main Tera Aaina Tha Main Tera Aaina Hoon
Mujhe Dekh kr Sanwarte ToKuch or Baat Hoti
Abhi Aankh Hi Lari Thi k Gira Diya Nazar Se
Zara FaasLe Barhte ToKuch or Baat Hoti
Ye KhuLi KhuLi c ZuLfen Inhe Laakh Tum Sanwaaro
Mere Hath Se Sanwarte ToKuch or Baat Hoti
Mujhe Apni Zindagi Ka Koi Gham Nhi Hai Lekin
Tere Aastaan Pe Marte ToKuch or Baat Hoti.."
.......

Meri zindagi ki kitab ka hai warq warq yun saja hua
Ser-e-ibtida,ser-e-inteha tera nam dil pe likha hua
Ye chmakk damakk to fraib hai mujay daikh gehri nigah say
Hai libas mera saja hua mera dil hai lekin bujha hua
Meri ankh teri talash main yun bhatakti rehti hai raat din
Jese jungalon main hiran koi ho shikariyon main ghira hua.
.........

Mohabat dukh to deti hy
Magr ek bat kehni hy
K
Jis ko chaha jata hy,
Zruri ye nhi hota
K
Usko pa lia jaye..
Kbi us k bicharny se
Mohabat kam nhi hoti,
Zra c dair pehly to yehi ehsas hota hy
KKoi G nhi skta,
Mgr phir rafta rafta hi
haqiqat khulti jati hy,
KMohabat wo nhi hoti
K
Jis ko pa lia jaye,
Mohabat wo bhi hoti hy,
Jo hmesha sath rehti hy..
Kabi Dukh K Andheron Mein..
Kabi Khushion K Melay Mein.
........

Mohabbat K Safar Main Dil Jala Kar Chain Milta Hai,,
Tumhare Dard Ki Mehfil Saja Kar Chain Milta Hai,,
Kabhi Ehsaas Hota Hai Baharon K Ujarnay Ka,,
Kabhi Sookhe Huway Patty Utha Kar Chain Milta Hai,,
Woh Bhoola Hai Agar Aehd_e_Wafa Tou Bhool Jane Do,,
HumenAisi Mohabat Ko Nibha Kar Chain Milta Hai,,,
.........

Mohabbat rog hai janan!
Bara sanjog hai janan!
yeh kaisa jog hai janan!
baray burhay batate thay,
kai qissay sunate thay,
magar hum jante kab thay,
ye sub kuch mante kab thay,
ye baatain zikr k qabil bhala gardante kab thay,
ana k takht per baithay hamain maloom he kab tha,
ana k takht se ooper bohat saari bulandi per,
tere abroo ki junbish per,
tere sir k ishaare per,
tere paon ki paayal mein,
ghani zulfon ki chaoon mein,
tere chhote se gaon mein,
sitare chand suraj walehana raqs karte hain,
kahin pariyon k jhurmat mein,
hamain maloom he kab tha,
tumhari yaad ka gehra samandar jaag uthta hai,
qalam jab bhi uthaun main,
ghazal jab gungunaun main,
mere ander se ik aawaz bus,
teri he aati hai,
mera her shair teri yaad k manzar sajata hai,
qalam jub tujhko likhta hai,
to bus likhta he rehta hai,
yehi likhta hai teri yaad bin,
koi lamha nahi guzra,
guzarna bhi nahi shayad,
hamari moat tak janan!
.........

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails