RSS

Feb 3, 2010

ghazals

Wo "Samar" tha meri duaon ka
usay kis ne apna bana lia,
Meri nend kis ne ujar di
mera khawab kis ne chura lia..
Tujhe kia bataon k dilnashin
Tere ishq mein teri yad mein,
Kbi guftuhgu rahi phool se
kbi chand chhat pe bula lia,
Meri jang ki wohi jeet thi,
Meri fateh ka wohi jashan tha,
Mein gira tu us ne dor k
mujhy bazuon mein utha lia,
Meri chand chone ki hasraten,
Meri khushbu hone ki khwashein,
Tu mila to aisa laga "SANAM"
jo manga tha wo pa lia.

..........

""Barson sochta phir har baat mohabat likhta""
Na jane kiyun men apni zaat mohabat likhta""
Din bhar ki chahat ko shumar kr k,
Neend se pehle har raat mohabat likhta""
Ussey barishon men bheegna achha lagta,
Main apni har barsaat mohabat likhta""
Jis shehr men thehr jaye ik pal wo shakhs,
Men shehr ki har ik soghaat mohabat likhta""
Meri zindagi men aaye to wo ik bar,
Men apni sari hayaat mohabat likhta..

...........

*Barishon k musam may,
Dil ki sarzamenon per,
Gard Q bikharti hai,
Is tarah k mausam may,
Phool Q nahi khiltay,
Log Q nahi miltay;
Q faqat ye tanhai,
sath sath rehti hai,
Q bicharnay walon ki,
Yad sath rehti hai,
Itni taiz barish se,
Dil k aienay per say,
Aks Q nahi mittay,
Zakhm Q nahi dultay,
Barishont me b G te hen,
Na wo faryad krte hen,
Na wo ashkon ko Pete hen,
Mohabt k ksi b lafz ka charcha nhi krte,
Wo mar kr apni chahat ko
Kbi Ruswa nhi krte.

...........

WO Khushbu Behja Kerti Thi Mein Nazmain Likha Kerta Tha
WO hansi K Ujale Kerti Thi Mein Mohabbatin Likhta Rehta Tha
Geeli Rait Pe Sahil Ki Doobte Suraj K Hamra
Wo Chup Si Chalti Rehti Thi Mein Sochy Likhta Rehta Tha
Deep Wafa K Hote Thy Yaa Shayad Doo Tare Thy
Wo Mujhko Dekha Kerti Thi Mein Aankhain Likhta Rehta Tha
Tapti Dhoop Ka Rang Bhi To Phoolon Sa Ho Jata Tha
Wo Zulfain Khola Kerti Thi Mein Shamain Likhta Rehta Tha
Toot Ker Akser Chahat Mein Rooth Ker Younhi Ulfat Mein
WO Mujko Jeeta Kerti Thi Mein Maatain Likta Rehta Tha
Misel-e-Khoon WO Rag Rag Mein Ben K Zeest Si Behti Thi
Mere Jeene Ki WO Waja Thi Mein Sansain Likhta Rehta Tha
Dono Ki Pehli Chahat Thi Dono Toot K Milte Thy
WO Waady Kerti Rehti Thi Mein Qasmain Likhta Rehta Tha
Chaand Din Jab Aa Tehre Thy Uski Meri Judai Mein
Mein Uske Haath Pe Pehron Phir Lakeerain Likhta Rehta Tha
Jaan Se Pyary Se Shikwa Khud Ko Ruswa Krta Tha
Me Apne Honto Pe Chup Ki Bus Lehrain Likta Rehta Tha
Dil Ki Hasrat Aesi Thi Dil Me Jo Reh Jati Thi
Jo Usse Keh Nhi Paata Tha Wo Baatain Likhta Rehta Tha
Din Me Dard Ki Shidatt Ko Hans K Me Sehh Jata Tha
Pr Bin Uske Jo Kat'ti Thin WO Ratain Likhta Rehta Tha
Guzri Yaad K Sab Lamhe Dil ko Cheer K Rekhte Thy
Me Gumnami K Sehra Me Haan Ghatain Likhta Rehta Tha
Uss Bin Mann Ka Aangan Phr Khali Khali Rehta Tha
Me Tanhai K Haaton Pr Aah Matain Likta Rehta Tha
Dasht-e-Wafa Me Basne KA Dekh Hasil Ey Sehra Noord
Me Yadain Likhta Rehta Tha Me Yadain Likhta Rehta Tha.

...........

¤¤ Yadon ki kitab se zara gard jhari hy,
Lo saamny eik or qeyamat ki ghari hy...¤
¤ Wo mujse mukhatib tha magar sard tha lehja,
Lagta hy mohabt me kahen barf peri hy...¤
¤ Wo shaksh chura le gya souraj ke ujaly,
Eik mery darechay me wohi shaam khari hy...¤
¤ Aansu jo beri deer se tahera hy palak per,
Lagta hy kisi Door-e- Nadamat ki kari hy...¤
¤ Bersat ki bonden,ye sulagta howa anchal,
Yaan hashar bapa hy tumhen daftar ki peri hy...¤
¤ Ankhon ki saraarat se koi khawab na jagay,
Ye kheel to acha hy magar surat kari hy.

..........

¥... Us k labon pe rat kahani guzab ki thi.
Jazbat bah rhy the rawani guzab ki thi,..¥...
Raja bi lagawab tha wadi-e- ishq ka...
Lekin Deyar-e- Husan ki Rani guzab ki thi,..¥...
Kya kya na saam aei mri umer me magar...
Guzri jo tery sath Sohani guzab ki thi,..¥...
Dakhi hen me ne sehar me cahrti jawaneyan...
Lekin jo thuj pe aei Jawani guzab ki thi,..¥...
Us ka badan tha Meer ka Mesra bana howa...
Hum me bi Justojo-e- muani guzab ki thi...

.........

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails