RSS

Feb 4, 2010

ghazals

Aankhæn b wohi hæn darecha b wohi hai
Or soch k Aangan mæn utarta b wohi hai
jis ne mere jazbon ki sadaqat ko na jana
Ab meri rafaqat ko tarasta b wohi hai
Is dil k kharabe se guzar kis ka hoa hai
Aankhæn b wohi hont b lehja b wohi hai
Jo kuch b kaha tha meri tanhai ne tuj se
Is shehar ki dewar pe likha b wohi hai
Woh jis ne diye muj ko muhabat k khazane
Badal ki tarah Aankh se barsa b wohi hai..
....

Aatish-E-Ishq se Seenay ko Jlaya kyun tha

Tum ne ye Roag Jawani mai lgaya kyun tha:

Kyun liye Phirte ho ab Dunya mai PurNm AaNKHEN

IMRAN Pyar acha tha mgr Dil mai Bsaya Kyun tha

Jb Bichr Jana hi Taqdeer mai likh rkha tha

Mere MOLA, Tu ne Mje Us se Milaya kyun tha

Kese mumkin ha milay Hijr ki Raton mai Sakoon

Unki Yadon ko SAR-E-SHAM Jgaya kyun tha:

Jb k Maloom tha Rakhte hain gazb ka ghusa

DIL ka Éhwaal unhen ja kr sunaya kyun tha.

..........

Ab aye meray ehsaas-e-junoon kya usay daina?
--Darya usay bakhsha hai tou sehra mujhey daina
-- Tum apna makaan jab karo taqseem tou yaaron-!
Girti hui deewar ka saaya mujhey daina
-- Jab waqt ki murjhaai hui shakh sambhaalo.
Us shaakh say toota hua lamha mujhey daina
Tum mera badan odh kay phirtay raho LEKIN
Mumkin ho tou ek din mera chehra mujhey daina
Choo jayee hawa jis say tou khushboo teri ayee. .
Jaatey huay ek zakham tou aisa mujhey daina
Ek dard ka mela hai--laga hai dil-o-jaan mein. .
Ek rooh ki awaaz keh rasta mujhey daina
Ek taaza ghazal izn e sukhan maang rahi hai
Tum apna mehekta hua lehja mujhey daina
Wo mujh say kahein badh kay musibat mein tha *Mohsin*
Reh reh kay magar uska dilaasa mujhey daina

..............

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails