RSS

Feb 9, 2010

ghazals5

Uski nigah main itna asar tha ''M ''

kahreed li usne ik nazar main zindagi hamari...

...........

Jab wo mera naam......
apne hathon ki lakeeron main.........
talash kar kar k thak gaye....
to dhere se sir jhukiaya...
aur muskra k kaha!
lakeeren jhot bolti hain....

.........

Meri ankhon pe marta tha,
meri baton pe hansta tha,
najaney shakhs kaisa tha,
muje khoney se darta tha,
muje jab b wo milta tha,
yehi har bat kehta tha,
suno! main bhol jaon to,
agar main rooth jaon to,
kabi wapis na aon to,
bhula pao ge yeh sab kuch,
yunhi hanste raho ge kia,
yunhi sajte raho ge kia,
yehi batien hain bus uski,
yehi yadien hain bus uski,
muje maloom hai itna,
muje wo pyar karta tha,
muje khoney se darta tha...
........

Muje chand teri talab nahi,
teri roshni bari door hai,
mujhe jis chiraag se pyar tha,
mera gher usi ne jala diya...
...........

Peenay ko to pi jaaon zehar b ''M ''

shart yeh hai k wo baahon main sambhale mujhko..!
................

Kiun rakhon main apne qalam main siyahi,
jab koi armaan dil main machalta he nahi,
na jane kyun sabhi shak karte hain muj par,
jab koi sukha phol meri kitab se nikalta he nahi,
kashish to bohat hai mere pyar main magar kia karo,
koi pathar dil pighalta he nahi,
agar khuda miley to us se apna yaad mang lon,
par suna hai k wo marne se pehle kisi se milta he nahi....
...........

Aye mere jawaa'n marg ! teri kabar pe aa kar,
gul paashi k aur shamien jalaney k ye din they?
..........

Main janta hon meri khudariyaan tujhe kho dain gi,
magar main kia karon mujhe magne se nafrat hai.....
3.........

Main us k bina kuch b nahi usey keh do,
main uska tha,usi ka hon,usi ka rahon ga...
.........

MAin ne pocha wafa se kyun milti nahi wafa,
kisi ko pyar main,

to wafa ne kaha befwafa jo milte hain,
wafa ki Aar main,

Aankhon se pocha kyun behti ho kisi k intezar main,

to ankhon ne kaha bus kisi ko daikhne ki Aas hai,

Dil se pocha kyun tarapta hai kisi ki yad main,

to dil ne kaha toot jo chuka hoon kisi k pyar main...
3..........

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails