Sham-e-ghum .
Sham-e-ghum jab bikhar gayi ho gi,
janey kis kis k gher gai ho gi,
dair tak wo khafa raha mujh se,
door tak yeh khabar gai ho gi,
jis taraf woh safar pe nikla tha,
sari ronaq udhar gai ho gi,
ya taulaq na nibha saka us se,
ya tabiyat he bhar gai ho gi,
teri pal bhar ki dil lagi "'Mohsin''
us ko bar'bad kar gai ho gi....\\
//////////////
Ishq k ilaqay main ..
Ishq k ilaqay main,
Hukm-e-yar chalta hai,
zaabty nahi chalty,
husn ki adalat main,
aajzi to chalti hai,
martaby nahi chalty,
dosti k rishton ki parwarish zaruri hai,
silsaly taaulq k khud se ban to jaty hain,
lakin in shagoofon ko,
tootny bikharny se,
rokna b parta hai,
chahton ki maati ko,
aarzu k pody ko,
seenchna b parta hai,
ranjishon ki baaton ko,
bhoolna b parta hai..!
kyun k....
ishq k ilaqay main,
Hukm-e-yaar chalta hai....
..........
Muje khoney se darta tha..
Meri ankhon pe marta tha,
meri baton pe hansta tha,
najaney shakhs kaisa tha,
muje khoney se darta tha,
muje jab b wo milta tha,
yehi har bat kehta tha,
suno! main bhol jaon to,
agar main rooth jaon to,
kabi wapis na aon to,
bhula pao ge yeh sab kuch,
yunhi hanste raho ge kia,
yunhi sajte raho ge kia,
yehi batien hain bus uski,
yehi yadien hain bus uski,
muje maloom hai itna,
muje wo pyar karta tha,
muje khoney se darta tha...
...........
No comments:
Post a Comment