Dasht-e-tanhai main
Aye jan-e-jahan larza hai
Teri aawaz ke saaye
Teray honton kay saraab
Dasht-e-tanhai main
Doori ke khas-o-khak talay
Khil rahay hain tere pehloo ke saman
Aur gulab
Uth rahi hai kahin qurbat se
Teri sanse ki aanch
Apne khushboo main sulagti houi
Madham madham
Door ufaq paar chamakti hoi
Qatra qatraGir rahi hai
Teri dildar nazar Ki shabnam
Dasht-e-tanhai main
Aye jan-e-jahan larza hai
Teri aawaz ke saaye
Tere hoanton ke saraab
Is qadar pyar se
Aye jan-e-jahan rakha hai
Dil ke rukhsar pe
Is waqt
Teri yaad ne haath
Yoon guman hota hai
Garche hai abhi subh-e-firaq
Dhal bhi gaya hijr ka din
Aa bhi gaee wasl ki raat
Dasht-e-tanhai main
Aye jan-e-jahan larza hai
Tere aawaz ke saaye
Tere hoanton ke saraab ...
..............
Ghar banana chahta hon
Mera ghar koi nahi
Daman-e-kuhsar main ya
Sahil-e-darya k pass
Oonchi oonchi chotiyon main
Sarhad-e-sehra kay pass
Mushfaq abadiyon main
Wasat-e-tanha k pass
Roz-e-roshan k kinare
Ya shab-e-yeelda k pass
Is pareshani main mera
Rahbar koi nahi
Khuwahishain hi hain
Aur hunar bhi koi nahi
Ghar banana chahta hon
Mera ghar koi nahi ,..
............
Ae badal!
Barsat main tu
Kis se bicharta hai
Jo is qadar tarapta hai
Aur be_tarah barasta hai ...
.............
Kabhi to mur k dekh lo
K mere ghar k jalte sabhi chiragh
Maand par rahe hain
K angan main khilte sabhi gulab
Murjha rahey hain
Honton pe faqt ruqsan hain
Khamooshiyan Ankhon main tair rahi hain
Tannhaiyaan K dar-o-bam pe jalte
Mohabbat k diye Bujh rahe hain
K andhera chahar soo Phailne laga hai
K is se pehlay Tarekhi dabay paon
Mere ghar ki dehleez Par kar jaye!
Tum lout aao!!
............
W@$IM
No comments:
Post a Comment