Phir Koi Khuwab Dekhoon Koi Arzoo Karoon
Ab Aye Dil-E-Tabbah Tera Kya Khayal Hai
..........
Be Dast-O-Pa Hoon Aaj Tu Ilzaam Kis Ko Doon
Kal Main Nay Hi Buna Tha Yeh Mera Jaal Hai
...........
Aasoodgi Say Dil K Sabhi Daagh Dhul Gai
Laikin Woh Kaisey Jai Jo Sheeshay Main Baal Hai
..........
Ghar Say Chala Tu Dil K Siwa Paas Kuch Na Tha
Kia Mujh Say Khoo Gaya Hai Mujhay Kia Malaal Hai
............
Main Khud Bhi Soochta hoon Yeh Kia Mera Haal hai
Jis Ka Jawab Chahiey Woh Kia Sawal Hai
............
ham heran thea es beawafa k janea per
dil nea kahak sab youn he chalea jatea hean
.............
Yeh Sooch Lo Ab Akhri Saaya Hai Mohabbat
Is Dar Se Utho Ge To Koi Dar Na Mille Ga
.........
Shayrana si hai zindgi ki fiza app bhi zindgi ka maza lejye
Main Gazal ban gai app ke samne shooq se ab muje gunguna lejye
................
Is Khowaab Ke Mahool Mein Be-Khowaab Hain Aankhein
Jab Neend Bohot Aaye Gi To Bistar Na Mille Ga
...............
Aansoo Ko Kabhi Oss Ka Qatra Na Samajhna
Aisa Tumhein Chahat Ka Samandar Na Mille Ga
............
Phir Yaad Bohot Aaye Gi Zulfon Ki Ghani Sham
Jab Dhoop Mein Saaya Koi Sar Per Na Mille Ga
..............
Bheegi Hui Aankhon Ka Yeh Manzar Na Mille Ga
Ghar Chor Ke Mat Jao Kaheen Ghar Na Mille Ga
..............
kartay rhay uss kay jurm darguzar sada
warna mizaaj ashnaaioon main ham bhi kuch kam na thay
...
No comments:
Post a Comment