Chehra Parta..!
Chahre parta Aankheen likhta rahta hoon
Main bhi kaisi bateen likhta rahta hoon
Tere hjer main aur mujhe kya kerna hai
Tere naam kitabeen likhta rahta hoon
Teri zulaf ke saye dhayan main rahte hain
Main subhon ko shameen likhta rahta hoon
Tujh se mill ker sare dukh duhrayon ga
Hijer ki sare bateen likhta rahta hoon
Sokhe phool, kitabeen, zakham judai ke
Teri sab sogateen likhta rahta hoon ..
..............
Raaz ki Baatain ..!!
Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya !
Umar bhar meray saath reh kar woh na samjha dil ki baat,
Do dilon kay darmiyan ik faasla rehnay diya !
Apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood,
Khatam ki ranjish magar gila rehnay diya !
Main samjhta tha khushi degi mujhay `Sabir' fareb,
Isliyey mainay gamon say raabta rehnay diya !
Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya...
..............
Nahi Hota..!!
Tumhari yaad jab ati hai koi paas nahi hota,
Kaash tumse bichadne ka mujhe ehsaas nahi hota.
Yeh jo bayan karti hai ankhen woh lab kaise kahe,
Sabhi toh sun liya humne par itmenan nahi hota.
Har ek umeed se jude hai waqt ke yeh lamhe,
Raah kaisi bhi ho namumkin kuch nahi hota.
Jab tum haste ho toh koi dukh nazar nahi aata,
Kabhi samandar ka talaab se muqabala nahi hota.
..............
Acha Hoa..!!
Tum Nay Dil Ki Baat Kah Dee Aaj Yeh Acha Hoa
Hum Tumhien Apna Samjhty They Badra Dhuka Hoa
Jab Hum Nay Kaha Uss Ka Aseer Ulta Hoa
Aap Shayad Bhoolty Hai Barha Assa Hoa
Aap Ki Ankho Main yeh Ansoo Kaha Se Agein
Hum Tu Dewaany They Lakin Aap Ko Yeh Kya Hoa
Aab Kis Se Kya Kahien Iqbal Apni Dasstaan
Bass Khuda Ka Shukar Hai Jo Bhi Hoa Acha Hoa ..
.............
No comments:
Post a Comment