RSS

Jun 21, 2009

ghazals

KASH MAIN BE-ZUBAN HOTA,
APNI AANKHON SE SUB KEHTA TUMHAN,
TUM MERI PALKON KE ISHARON SE MUSKURAYA KARTIN,
BUHAT CHAHTIN MUJH MAIN DOOB JAYA KARTIN,
JUB BHI LIKHTA MAIN KAAGHAZ PER KOI HARUF,
TUM USAY BAAR BAAR DOHRAYA KARTIN,
OR JAB TUM THAK JAAYA KARTIN,
MERAY KHANDHAY PER SIR RAKH K SO JAYA KARTIN,
YOON HI HUM TUM POORI UMER BITA DETE,
TUM HER SUBHA MERI PALKON K UTHNAY KA INTEZAAR KARTIN,,,'
..............



Kamal_e_Zabt To Main Khud Bhi Aazmaaon Gi,
Main Apne Haath Se Uski Dulhan Sajaaon Gi,
Supurd Kar K Use Chandni K Haathon,
Main Apne Ghar K Andheron Ko Laut Aaon Gi,
Badan K Qurb Ko Wo Bhi Samajh Na Paye Ga,
Main Dil Mein Ro'oungi Aankhon Mein Muskuraaon Gi,
Wo Kya Gaya K Rafaaqat K Sare Lutf Gaye,
Main Kis Se Rooth Sakoongi Kise Manaaon Gi,
Wo Ek Rishta-e-Be_Naam Bhi Nahi Lekin,
Main Ab Bhi Us K Ishaaron Pe Sar Jhukaaon Gi.Wa§¡M
...........



Kal halki halki barish ti,kal sard hawa ka raks bi ta.
Kal phool bi nikhrey nikhrey the,kal un mein apka aks bhi tha.
Kal badal kalay gheray the,kal chand pe lakhon pehre the.
Kuch tukre apki yaadon k,barri der se dil mein thehre the.
Kal yadein uljhi uljhi thein,aur kal tak ye na suljhi tein.
Kal yad bohat tum aye the,kal yad bohat tm aye the.
Wa§¡M
........



Kachi Deewaar Hoon Thokar Na Lagana Mujko~
Kachi Deewaar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko
Tumko Aankho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon,
Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujko
Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein,
Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujko
Vaada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho,
Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana Mujko
Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Barham Rakh Lena,
Main to Aashiq HoonDeewana na Banana Mujko
Kachi Deewaar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko.
Wa§¡M
............



Jub sawan main tanha bheego gay,
Jab aangan khali pao gay,
Jub sahil se takrati lehron mein,
Tum tanhaa he kho jao gay,
Jub raat k tanha daman mein,
Tum chand ko aadha pao gay,
Jub khud se batien kertay kertay,
Tum door kahien khoo jao gay,
Jub dil ki baat chupanay ko,
Tum hum se nazar churao gay,
"MEIN TUM SE MUHABBAT KARTA HOON"
Har baar yeh kehna chaho gey,
In sub lamhon mein jaan lena,
TUM, TUM SE "HUM" Ban jao gay...
.........



Jb log juda ho jaty hain.
Sb Ehad hawa ho jaty hain.
Jb niyat me fatoor sa ho.
Sb amal gunha ho jaty hain.
Jb tere bary me sochty hain.
Sb lafz dua ho jaty hain.
Jb ghurbt dr pe dastk de.
Sb yaar khfa ho jaty hain.
Jb waqt dikhata hai ankhain.
Sultan gda ho jaty hain.
Tu jb b mere sath na ho.
Tehwar sza ho jaty hain.
Jb nafrt lafzon me utry.
Tb apny juda ho jaty hain.~
Wa§¡M
..............



Jala k tu B Agar aasra Na de muj ko,
Yeh khauf hai k Hawa phir bhuja Na de mujhko,
Main is khayal Se mur mur k Dekhta hon usay,
Bichar k woh B Kahein phir sada Na de muj ko,
Bas is khayal se Shab bhar main So nahi sakta,
K Khauf-e-Khwab-e-GuzishtaJaga na de muj ko,
Terey baghair Teri tarhan Main zinda rahon,
Yeh hausla B Dua kar khuda Na de muj ko,
Main is liye B Usey khudManaon ga ''Mohsin'
'K muj sey Rothny wala BHULA NA DE MUJ KO!!
Wa§¡M Ch
.........



Hama-waqt ranj-o malal kia, jo guzer gya so guzer gya
usey yad ker ke na dil dukha,jo guzer gya so guzer gya
Na gila kia,na khafa h0we, y0nhi raastay mai juda h0we
na tu be-wafa,na mai be-wafa, jo guzer gya so guzer gya
Woh ghazal ki aik kitaab tha,woh gulon mai aik gulaab tha
zara dair ka koi khuab tha, jo guzer gya so guzer gya
Mujhe pat-jharon ki kahaniyan,na suna suna ke udaas ker
tu khizan ka phool he muskura,jo guzer gya so guzer gya
Woh udas dhoop samait ker, kahin wadion mai uter chuka
usay ab na day mere dil sada,jo guzer gya so guzer gya
Yeh safar bhi kitna taweel he,yahan waqt bhi kitna qalil he
kahan laut ker koi aaye ga, jo guzer gya so guzer gya
Woh wafayain thi ke jafayain thin, yeh na soch kis ki khatayain thin
woh tera he us ko galay laga, jo guzer gya so guzer gya
Tujhe aitbaar-o yaqeen nahi, nahi dunya itni buri nahi
na malal ker mere saath aa, jo guzer gya so guzer gya..
./.............



Hamari anaa ko gawara he na tha,
k mohabbat maang kar lete.....
Or un me itna zarf na tha,
k bin mangay luta dete....
Ik muddat tak is dil ki beqarariyan na gayi...
Har roz use khat likhte,har roz jala dete....
Khud ko uski mohabbat k qabil he na samjha warna....
Toot k usay aisa chahte k khud ko bhula dete.....
Kabhi aazma k dekhta uski khuwahishön ki khatir.....
Us k qadmon me bikher jate,uski rahon ko saja dete.
............



Duniya ke bhare bazar mein.
Dukh bhi bikte hein or sukh bhi.
Mohabbat bhi or nafrat bhi.
Meine bhare bazar se Pyar ko chuna.
To mujhe rok kar kaha gaya.
Pyar ke sang aap ko.Aansu.Dukh.
Tanhai.Aahain.Dard.OrBebassi.
Ye sab bhi diya jaye ga.
Warna aap faqat Pyar nahi le kar ja sakte.
Mein Bhola,Naadan tha.
Meine Pyar ke sath ye sab cheezen le lein.
Aaj mere paas sab kuch hai faqat "PYAR" nahi.
.........



Dr-e-Qafs se prey jab saba Guzarti hay
Kisey khabar k Aseeron pe Kiya Guzarti hay,
Ta'alloqaat kbiIss Qadar Na Toooootey thay
K teri yaad b Dil Se khafaGuzarti hay,
Woh ab miley b to Milta hay issTarah jasay
Bujhay Charagh ko Chhooo kr Hawa Guzarti hay,
Yeh Ehl-e-Hijr ki Basti hai Ehtiyaat se chal
Museebaton ki yhn inteha Guzarti hay,
Nah Poooch apni Ana ki Baghawatain"wasim"
Dr-e-Qabool se bach kr dua Guzarti hai,
.................



Dil bethe tujhpe haar Piya,
Kr Tu b humse pyar Piya
Ab dard ka daman kon bane,
Hm barso sy bemar Piya
In galion mei kuch bhol gaye,
Dil roye zar-o-zar Piya
Q chup chup gum sum rehte ho,
Yeh pochein hmse yar Piya
Kch dil b bojhal bojhal he,
Kch yadon ka ambar Piya
Hm Tjhse hei naraz boht,
Yeh bhol gaye hr bar Piya
Kis hal mei he eb Dewana,
Aa dekh sar-e-bazar Piya
Ik khwab ajab sa dekha tha,
Hum us din sy bezar Piya..
.......


No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails