Apne dil ki halat wo kisi ko dikhata na tha
Usy kya gham tha wo kisi ko btata na tha
Khizan ka mosam jab se uska naseeb hy thehra
Usy jab se koi or mosam bhata na tha
Logon ko hansany k wasty zindgi bita di us ne
Kitna ajeeb tha wo shakhs khud muskurata na tha
Jane kis k intzar mein baitha rahta tha subh-o-sham
Misl_e morat bana wo palk b jhapkata na tha
aj reh reh kar yad aya woJo dua de kar b dua Batata na tha.
Wa§¡M
...........
Apne Labon Ko, Dushman-e-izhar Mat Bana
Sachey Hain Jo Unhain, Gunahgaar Mat Bana
Jitney Bhi Lafz Hain Wo, Mehaktey Gulaab Hain
Lehjey K Farq Se Unhain, Talwaar Mat Bana
Ilzaam Kuch To,Gardish-e-ayamKo Bhi De
Apney Har Ek Ghm Ko,Ghum-e-yaar Mat Bana
Har Ek K Liye Khula, Mat Rakh Isey "Qateel"
Yeh Dil Ek Ghar Hy, Isey Bazaar Mat Bana..!!
Wa§¡M
............
Apne markaz se agr door nikal jaaoge,
Khak ho jaaoge afsaanon ma dhal jaaoge,
Apni muhabbat ka kahin rang bhula na dena,
Surkh sholon se jo khelo ge tu jal jaaoge,
Hamsafar dhoondo na rehbar ka sahara chaho,
Thokrain khaoge tu khud hi sanbhal jaaoge,
Apni mat'ti pe chalney ka saleeqa seekho,
Sangey marmar par chalo ge tu phisal jaaoge,
Tum ho Ek zinda-o-javed riwayat k ameen,
Tum kohi sham ka sooraj ho k dhal jaaoge.
Wa§¡M
.............
Apni Marzi se Juda TU b Nahi,Main b Nahi
Shayad Ab K BEWAFA TU b Nahi,Main b Nahi
Gardash e Halaat se bas Kat Chukay hain Raastay
Qaabil e Qaid o SAZA TU b Nahi,Main b Nahi
Kya Khabar thi Is Qadar Naa Aashna ho Jayen gay
Aaj K Pehchanta TU b Nhi,Main b Nhi
Naam Likhay thay Darakhton par Jahan Mudat huwi
Wo Jaga ab Janta TU b Nahi,Main b Nhi
Hm Jisay CHAHAT Samajhtay thay Woh Koi Kheil tha
Dard e DIL se Aashna TU b Nahi , Main b Nahi
Faaslon se b Guzarna , Phir Zara sa dekhna
Aisa Lagta hai Khafa TU b Nahi , Main b Nahi
1 Doojay ki bohat Tareef karna Ja baja
Maan le DIL ka Bura TU b Nahi,Main b Nahi
.............
Bari Pursakoon thi Zindagi
Neya dard kis ne jaga dia
Kisi beniaz nigah ne
Meri wehshaton ko barha dia
Mere ham'sukhan ka ye Hukam tha
K kalam us se mai kam karun
Mere hont aese sile k phir
Meri chup ne us ko rula dia
Mujhe apne ishq pe naaz tha
Magr us k Qoul ka pas tha
Mere chara saz b rou pare
Wo kamal-e-zabt dikha dia
Ose shair sun'ne ka zoq tha
Mujhe arz-e-hal ka shoq tha
Isi zoq-o-shoq me 1 din Ose dil ka haal suna dia..
Wa§¡M
...........
Chandni Raat Aur Alam-E-Tanhai Hai
Zindagi Yaad K Daaman Mein Simat Aayi Hai
Maar Dale Na Kahin Dard-E- Judaai Mujhko
Ab To Aaja Ke Meri Jaan Pe Ban Aayi Hai
Utre Utre Nazar Aate Hein Phoolon Ke Chehre
Tere Jaane Se Gulistan Par Khizan Chhaai Hai
Jis ne Barbaad Mohabbat Mein Kiya Tha Kal Tak
Woh Aankhein Aaj Mere Haal Pe Sharmaai Hai
Tere Maikhane Mein Jitni Bhi hai !
De Saaki Aaj To Maine Bhi Peene Ki Kasam Khayi Hai
Jis Jagah Kuch Nazar Nahi aata Hai Jalwon Ke Siwa
Zindagi Us Mod Pe Mujhe Le Aayi Hai..
Wa§¡M
..............
Zra sa Dhiyaan Rakh LenaMeri Pehli Mohabat Hy,
Wafa ka Maan Rakh LenaMeri Pehli Muhabat Hy.
Kahan is Omr Me Hm Bheis Badlen Ge FaQeeron ka,
Milan Aasaan Rakh Lena Meri Pehli Muhabat Hy.
Judai k Dinon Me Log Chehre Bhool Jaate Hain,
Meri Pehchaan Rakh Lena Meri Pehli Muhabat Hy.
Judai To Main Seh Longa Mgr Tm Phir se Milne ka,
Koi Imkaan Rakh Lena Meri Pehli Muhabat Hy.
Agr Shaya Krao Apna Pehla Sheri Majmua,
To Ye Onwaan Rakh Lena"Meri Pehli Muhabat Hy
............
Yakeen To Ata Nahi K tu mujh me Ab tak Baqi Hai,
Phir sochta hoon kya mera wajood b ab tak baqi hai
Wo shokh fiza jo har lamha tere sath rehti thi
Kya wo shokhi wo shararat tujh me ab tak baqi hai
Wo mere hath me apna chehra jo tu ne chupaya tha
Mere us hath me to wo lams tera ab tak baqi hai
Wo nishani pyar ki to shayad hamesha hi rahe gi
Lekin kya tere dil me wo pyar b ab tak baqi hai
Tere wajood ki wo khushbu jo mere wajood me ponhchi
Mere har pal me to us ki mehak ab tak baqi hai
Wo teri tirchi nazar ka teer jo pewast mere dil me hua
Mere dil me pewast wo teer b ab tak baqi hai
Jana teri kasam tu ye to ek haqeeqat hai
Tu meri soch ka mehwar hai
"TU MUJH ME AB TAK BAQI HAI"
Wa§¡M
..........
No comments:
Post a Comment