RSS

May 27, 2009

ghazals

Dhondtey Thay Aap Se MiLne K Bahaney Kitney,
Samney Reh Kar B Rahy Beganay Kitney,
Hum Ne To Payar ka iK Pegham Hi Dya Tha Lekin,
Logon Ne Bana Liyey Afsaney Kitny,
DiL FÄQÄT iK Mazaar Pe Sajda Raz Raha,
Sar Utha Kar Dekha To Beet Gaye Zamany Kitney,
Jab B MiLa Zindagi Main Faraib Hi MiLa,
Hum Khud ko Smajtay Rahey Sayany Kitney,
Jab SuLagte Raston Par Qadm Rakha To MaLom Para
Pata Nahi Yahan OR B Hain Dewany Kitne.
Wa§¡M

..........


Dhoop ho chhaon ho tum saath nibhaya karna,
Mere chehre pe sada palkon ka saya karna,
Raah dekhon gi tumhari,Kabhi jaldi kabhi dair se aya karna,
Daant lenasar-e-mehfil koi baat nahi,
Phir akele me gale laga k manaya karna,
Jaan jaongi main khusboo se tumhari,
Tum peeche se mari aankhon ko chupaya karna,
Jaagna chahon to raat bhar karna batain,
Neend aajaye to seenay pe sulaya karna..
Wa§¡M


.............


Ek Jalwa-e-Mehboob say Roshan tha Mera Zehn
Wajdaan yeh kehta hY Wohi Mera Khuda tha
Veraan na ho iss darja koi Mousam-e-Gul bhi
Kehtay hain kisi shakh pay ek Phool khila tha
Ek tu keh guraizaa'n hi raha mujse behr tore
Ek mein keh Teray Naqsh-e-Qadam Choom raha tha
Daikha na kisi nay bhi meri simth palat kar*Mohsin*
mein bikhartay huway sheeshon ki sada tha......!
Wa§¡M

.
.............


Garmi e hasrat e nakam say jal jatay hain
Hum chirago ki tarah sham say jal jatay hain
Shama jis aag main jalti ha numaesh kay liay
Hum usi aag main gumnam sy jal jatay hain
Bach nikaltay hain agar aatish e syal say hum
Shola e aariz gulfam say jal jatay hain
Khud numai tou nahi sheva arbab e wafa
Jin ko jalna ho wo aram say jal jatay hain
Rabt bahum pay hamain kia na kahen gay dushman
Ashna jub teray paigam sy jal jatay hain
Jub bhi ata ha mera nam teray nam kay sath
Janay kio log meray nam say jal jatay hain..,.
(Qateel Shafai)


...........


Khatam Hoga Zindagi ka ye Safar dekh Lena,
Tanha Chale Jayenge Ham Dekh Lena,
Zindgi mei Nahi koi Mukam Apna,
Baad Marne k Hogi Qader dekh Lena,
Mujhe ab koi Kali Bhi nahi Deta Per,
Pholoon se Mehke ge Kabar Meri dekh Lena,
Tanha hi Zindgi me Chal Raha Hoon,
Janazey mei Hoga Sara Shehar dekh Lena......
Wa§¡M


.........


Khawab khoday to teri yaadon k khander niklay,,
Khud mein doobay to teri zaat k ander niklay,,
Bewaja na thi bejaan baaton ki chahat,,
Dil jo toota to tery pyar k mandar nikley,,
Hum to samjay they k hongay do char ansoo,,
Ronay bethay to samander k samander nikley.
Wa§¡M


.........


Kia milay ga tujhey bikhrey howay khabon k siva,
Rait pe chand ki tasveer bananey walay.
Maikadey band hoay,dhond raha hoon tujhko,
Tu kahan hai mujhey ankhon se pilaney waley,
Mar gaye hum to ye katbey pe likha jaey ga,
So gaey aap, zamaney ko jaganey waley,
Dar-o-diwar pe hasrat si barasti hai QATEEL,
Janey kis dais gaey sath nibhaney waly.
Wa§¡M


...........


Kisi ke yad main jalta howa chand
kal shab main nay dekha sulgta ho chand
karwat pay karwat badal raha tha
kisi apnay k liye pighalta howa chand
saray zamanay k dukh apnay aangan main
samaitay howay rota tha sitaron say glay milta howa chand
chand ko dekha to apna gum yad aya
chand say phair le aankhain dekha na gaya ubalta howa chand
shab k maron ko kia thi khabar
hamaray dard ke ik akela main tha
our ik tha girta sabhlta howa chand.
Wa§¡M

.............


Meri Hasrat K Janazay Ko Uthanay walay,
Kitnay Be-dard Hain Ye Log Zamanay Walay,
Koi Apna Nahi Matlab Ki Hay Dunya Sari,
Ab Kahan Miltay Hain Wo Yaar Puranay Walay,
Main Dua-goh Hun Sada Neendein Hon Mubarik Tujh Ko,
Hijar Ka Dard Mujhay De K Jagaanay Walay,
Bus Yehi Soch K Her Baar Manata Hun Usay,
Laut K Aatay Nahi Rooth K Janay Walay,
Hamaray Seenay Mein Kabhi Jhaank K Daikho To Sahi,
Kitnay Afsurda Hain Auron Ko Hansaanay Walay . . .
Wa§¡M


............


MesSages OF THE DAY1.
Ahmiyat dukh ki nahi Dukh dene waalay ki hoti hai.
2. Khuwabon k ander zinda mat raho Lekin apne ander khuwabon ko zinda rakho.
3. Hum kisi ko apni merzi se chah to saktay hein Lekin ye nahi keh saktay k wo bhi hume chahe.
4. Mohabat uss se nahi ki Jaati Jo khoobsoorat ho Khoobsorat wo hota hai Jis se mohabat ho..
4u
Wa§¡M

..........


mohabat ther jati hai
ham aksr ye samajhte hain
jise ham pyar karte hain
use ham bhool bethe hain
mager esa nahi hota
mohabat aik sach hai
haan mohabat ther jati hai
humari baat k ander
humari zat k ander
mager yeh kam nahi hoti
kisi bhi dukh ki soorat main
kabhi koi zarorat main
kabhi anjan se ghum main
kabhi lahje ki thandak main
udasi ki zarorat main
kabhi barish ki soorat main
humari ankh k ander
kabhi qatre ki soorat main
bazahir esa lgta hai
use ham bhol bethe hain
magr esa nahi hota
yeh hergiz kam nahi hoti
mohabat ther jati hai
mohabbat kam nahi hoti..
Wa§¡W


.............

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails